Posts

Showing posts from April, 2021

Hazrat Ilyas As

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ                    Hazrat Ilyas As Hazrat Ilyas As usi tarah masoom, afzal aur alim e zamana the jis tarah baki ke sare ambiya wa mursaleen the. Wo beinteha narm dil aur Khuda parast the aur Hazrat Moosa ke deen ki tableegh karte the. Apko nabuwat Hazrat Hizkeel aur Hazrat Ismail ke bad ata hui thi.  Hazrat Ilyas ka nasb nama:- Hazrat Ilyas As Hazrat Haroon ki aulad me se the. Imam Salbi ne inka nasabnama is tarah bayan kiya hai, Ilyas Yaas ke farzand the aur wo Fakhas ke bete the aur wo Haroon bin Imran ke farzand the. Hazrat Ilyas ki besat:- Muarrikhin ka bayan hai k Hazrat Yusha bin Noon ne jab arze sham ko fatah kiya tha to unhone mukhtalif asbat ki naslo me ise taqseem kar diya tha. Ye log sham aur misr ki zamino me faile hue the. Thode zamane tak ye log raah e rast par rahe. Uske bad jab Hazrat Hizqeel as apni manzil e hayat guzar kar chale gaye to in logo me bepanah sarkashi paida ho gayi ...