Hazrat Ilyas As

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

 

                 Hazrat Ilyas As


Hazrat Ilyas As usi tarah masoom, afzal aur alim e zamana the jis tarah baki ke sare ambiya wa mursaleen the. Wo beinteha narm dil aur Khuda parast the aur Hazrat Moosa ke deen ki tableegh karte the. Apko nabuwat Hazrat Hizkeel aur Hazrat Ismail ke bad ata hui thi. 


Hazrat Ilyas ka nasb nama:-


Hazrat Ilyas As Hazrat Haroon ki aulad me se the. Imam Salbi ne inka nasabnama is tarah bayan kiya hai,


Ilyas Yaas ke farzand the aur wo Fakhas ke bete the aur wo Haroon bin Imran ke farzand the.


Hazrat Ilyas ki besat:-


Muarrikhin ka bayan hai k Hazrat Yusha bin Noon ne jab arze sham ko fatah kiya tha to unhone mukhtalif asbat ki naslo me ise taqseem kar diya tha. Ye log sham aur misr ki zamino me faile hue the. Thode zamane tak ye log raah e rast par rahe. Uske bad jab Hazrat Hizqeel as apni manzil e hayat guzar kar chale gaye to in logo me bepanah sarkashi paida ho gayi aur beshumar afrad deen e Moosa ko chhod kar butparasti me mashghool ho gaye. Ye log sakht butparast ban gaye the. 


In logo me ek badshah bhi tha jiska nam Lajab tha. Usne ek but bana rakha tha jo 20 hath lamba tha aur uske 4 muh the. Ba'riwayat e Rauzat us Safa shaitan uske andar se bolta tha aur uski hifazat ke liye 400 afraad taynaat rehte the.


Jab butparasti aur nafsparasti had se zada badh gayi aur logo ne Khuda ko bilkul bhula diya to Khuda ne Hazrat Ilyas as ko un me mab'oos farmaya aur hukm diya k badshah Lajab aur uski riaya ko raah e rast par laya jaye. Hazrat Ilyas as ne in logo me tableegh shuru ki lekin un logo me se siwae ek shakhs k jo badshah Lajab ki biwi ka katib tha koi imaan na laya.


Badshah ki aurat sakht fasqa(bad chalan) thi zinakari iska shuaar tha. Usne Bani Israil ke 7 badshaho se rabta paida kiya aur sab ko makr o fareb se qatl kar diya tha. Ye aurat is badshah Lajab pat chhai hui thi. Iska ye tariqa tha k jab iska shauhar bahar kahin chala jata tha to ye amoor e saltanat ki khud nigrani karti thi aur ehkam naqid karti thi.


Zan Fajrah aur Mard e Momin ka Qatl:-


Ye aurat is darja zalim thi k jiski koi had na thi. Bahot se Ambiya ko qatl kara chuki thi.


Iske pados me ek mard e saleh rehta tha jo Wahdaniyat ka parastar tha. Jiske pas ek baagh tha jo qasr e badshah ke qareeb tha. Ye baagh beinteha khubsurat tha aur yahi baagh uske guzare ka zariya tha. Is baagh ki shohrat door door tak faili hui thi isme aksar badshah aur uski biwi bhi aa kar tafreeh kiya karte the aur aksar isme dopeher ko aram bhi karte the.


Badshah is mard e momin se bahot khush tha lekin uski biwi usse bepanah hasad karti thi. Usne bahot bar ye chaha ki is mard e saleh ko qatl karwa kar is baagh par qabza kar liya jaye lekin badshah uski mukhalefat karta raha use samjhata raha aur is irade se baaz rakhta raha. Aurat badshah ki wajah se majboor thi aur use qatl e momin ka mauka nahi milta tha.


.


Ek din badshah kisi taweel safar par chala gaya to uski aurat ko mauka mil gaya. Usne apne logo ko bula kar samjha diya ki main mard e momin par ilzam lagaungi ki usne badshah lajab ko gaaliya di hain aur tum log uski gawahi de dena k haa usne aisa kiya hai. Idhr sazish ho rahi thi aur udhr wo mard e momin ibadat me mashghool tha use kuchh khabar na thi k uske khilaf kis tarah ke mansoobe banaye ja rahe hain.


Subah k waqt jab darbar lag chuka to ek shakhs ko us mard e momin k pas bheja gaya aur wo use bula kar laya. Jab wo darbar me pahocha to is zalim aurat ne kaha k maine suna hai tum badshah e waqt ko gaaliya dete ho. 

Usne kaha ye bilkul galat hai badshah ne mera kya bigada hai k main use gaaliya du?

Usne kaha nahi mujhe yakeen hai k tumne zarur badshah ko gaaliya di hain. 

Usne fir se kaha k nahi aisa hargiz nahi hua hai ye jhuth hai.


Ye sunte hi us zalim aurat ne majme ki taraf rukh kar ke usse gawahi chahi. Sare majme ne kaha k haa ap sahi kehti hain isne badshah ko gaaliya di hain humne apne kaano se suni hain.


Gawahi milte hi us aurat mard e momin ko qatl kar diye jane ka hukm diya aur wo mazloom begunah jhuthi mard e momin qatl kar diya gaya. Qatl is liye kiya gaya kyu ki us zamane me qanoon tha ki jo badshah ko gaaliya de uski saza maut hai.


Mard e momin k qatl k bad us aurat ne uske baagh par qabza kar liya. Jab badshah safar se wapas aya aur use is zulm ki khabar hui to wo sakht naraz hua aur apni biwi se kaha ki tune bahot bada zulm kiya hai aur tere is zulm e azeem k bad hum log kabhi sukun nahi pa sakenge. Ye tune badi himaqat ki aur bahot bura kiya. Wo hamara behtareen padosi tha humne hamesha usko achi nazar se dekha aur hum uski hamesha izzat kiya karte the. Us zalim aurat ne kaah k ye sab maine tere liye kiya hai aur tu naraz hota hai khair ab jo kuchh hona tha wo ho chuka hai.


Us mard e momin k qatl k bad ghazab e Khuda bhadak utha. Usne Hazrat Ilyas as ko hukm diya k tum ja kar Lajab se keh do k wo aur uski aurat dono tauba kare aur baagh ko uske wariso ko wapas kar de warna main un dono ko usi baagh me maut ka wo manzar dikhaunga k duniya ibrat hasil karegi.


Hazrat Ilyas As ne ja kar Lajab ko hukm e Ilahi se agah kiya to wo bhadak utha aur usne kaha ki ye sab kuchh bakwas hai main tumhari ek bhi baat ko nahi manta na tum mera kuchh bigad sakoge na tumhara Khuda mera kuchh bigad sakta hai. Main bhi dekh raha hu k bahot se aur badshah butparasti kar rahe aur kabhi kabhi unse zulm bhi ho jaya karta hai lekin un par to koi azaab nahi aya wo aish se reh rahe hain.


Hazrat Ilyas as ne kaha k maine farman e Rabbani tum tak pahonchaya diya aur mera kaam itna hi tha ab aainda halaat ki zimmedari khud tum par hogi aur tum bahot jald hi apna aur apni aurat ka haal apni aankho se dekh loge.


Ye sunte hi un logo ne Hazrat Ilyas as ko usi jagah qatl kar dene ka faisla kar liya. Wo apni jaan bacha kar nikal gaye aur aabadi chhod kar pahado me panah le li. Wo aisi jagah jaa kar chhupe ki badshah aur uski riaya unhe talash na kar saki. Wo rat din Hazrat Ilyas as ko talash karte rahe lekin wo mile nahi.


Ba'riwayat wo pahad me 7 saal tak rahe aur jungal k phal khate the aur chashme ka pani pite the. Khuda ne unhe sab se chhupa kar rakha tha aur unhe hifazat se har bala se door rakha tha.


Ghaibat ke bad Hazrat Ilyas as ka zahoor:-


.



Hazrat Ilyas as isi alam e ghaibat me rahe aur Khuda ki taraf se muayyin mudday ke bad baramad hue aur uski surat ye hui k badshah Lajab ka aziz tareen farzand bimar hua aur uski sehat roz ba roz girti rahi. Jiski wajah se badshah aur uski aurat ko shadeed fikr hui. Un logo ne pehle to uska ilaj karwaya lekin jab usse bhi koi fayda na hua to ye faisla kiya ki apne mabood(But) ki taraf ruju karna chahiye.


In logo ne apni peshani hasb e adat patthar k Khuda ke samne rakh kar apne farzand ki sehat ke liye dua ki lekin usse bhi koi fayda nahi hua aur koi jawab bhi nahi mila. Wo shaitan jo us but me dakhil ho jata tha aur logo ko behkata tha Hukm e Khuda se uska us but me dakhila band ho gaya tha isliye us but se koi awaz nahi aa saki aur badshah aur uski biwi behad mayoos hue.


Unhone un 400 logo se kaha jo but ki rakhwali karte the k aakhir mere farzand ka kya banega? Hamara mabood aaj kuchh bola kyu nahi? 

Un logo ne kaha ki mabood tum logo se is bat par naraz hai k tumne Ilyas as ko ab tak qatl nahi kiya. Badshah ne kaha k hum to puri koshish kar rahe hain k unhe jald se jald qatl kar de lekin wo mil hi nh rhe.


Aur meri halat mere farzand ki alalat se aisi ho gayi hai k jab tak mera farzand sehatyab nahi ho jata mai qatl e Ilyas as par koi tawajjah nahi de sakunga. Tum logo ko chahiye k pehle mere farzand k sehatyab hone ki raah nikalo.


Ye sunte hi wo log us But ke pas ja kar usse bat krne lage aur badshah k farzand ki sehat ki dua karne lage lekin wo But ka But hi bana raha aur shaitan bhi usme se na bol saka.


Khadimo ne mashwara diya k in 400 logo ko sham bhej diya taki wo waha k buto se madad le kar aye aur apke farzand ko sehat mile. Ye sun kar badshah ne un 400 logo ko sham bhej diya k tum log jaa kar waha k Buto se hmare But ki sifarish karwao ki wo meri taraf mutawajjah ho kar mere farzand ko sehatyab kar de.


Wo log hukm milte hi rawana hue aur buto k pas ja kar giriya wa zaari ki aur kaha ke hamare mabood "Bail" ki khidmat me sifarish kar de taki wo farzand e badshah ko shifa de de, magar hairat se bas unhe dekhte rahe na unki sun sake na unse kuchh keh sake, bil'aakhir wo bina koi jawab liye wapas aa gaye.


Usi dauraan me jab wo waha se wapas aa rahe the us pahad ki taraf se guzre jisme Hazrat Ilyas As rehte the. Wo jab pahad ke niche pahoche to Hazrat Ilyas as ko hukm e Khuda mila k tum in logo ke samne aa jao. 

Hazrat Ilyas as pahad se utar kar in logo se mile aur kaha k badshah se keh dena k Ilyas ne kaha hai k hamara Khuda jo Ibrahim as, Ismail as, Ishaq as aur Yaqoob as ka Khuda hai wo wahi hai jo zinda bhi karta hai aur marta bhi hai aur usi ne sari kainat paida ki hai. Tum jo buto ke samne sar marte fir rahe ho isse koi fayeda nahi hoga, tumhara farzand bimar hai aur an'qarib mar jaega. Hamara Khuda use maut de dega aur tumhare but use bacha nahi sakenge. Ab bhi behtar hai ke 'Wahdaniyat' ka iqrar kar lo, gunaho ki maafi mang kar buto ki parastish chhod do aur haqiqi Mabood ke samne sar jhuka lo. In logo ne jab ye kalaam suna to laraz uthe aur apne apne gharo ko chale gaye aur waha se badshah ko paigham bhijwa diya k daman e koh se Ilyas ne Khuda ka farman bhijwaya hai.


Ye sun kar badshah ka gussa Hazrat Ilyas as k khilaf aur badh gaya. Use ye yaqeen ko ho gaya k jitne bhi Khuda hai sab hum se isi wajah se naraz hain k ab tk humne Ilyas as ko qatl nahi kiya hai.

Usne 50 sipahiyo ko hukm diya k pahado me jao aur jis tarah bhi mumkin ho sake Ilyas as ko giraftar kar ke qatl kar do. 


Hukm milte hi ye sipahi qatl e Ilyas as ko chale gaye. Jab wo us maqam par pahoche jahan Hazrat Ilyas as amaan e Khuda me mehfooz the Khuda wande Alam ne dua e Ilyas as ki bena par ek shola bhej diya aur sab sipahi jal kar khaak ho gaye. Jab badshah ko ye waqiya maloom hua to usne fir se ek lashkar bhej diya aur wo lashkar bhi tabah o barbad ho gaya.

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal