Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat adam as ka imtehan
Khuda Wande Alam ne farishto ki galatfehmi door karne ke liye jo ye samajhte the ki khilafat ki salahiyat unme zada hai Hazrat Adam as ko imtehangah me talab kiya. Khuda ne Hazrat Adam as ko pehle hi ilm ki daulat se nawaz diya tha kyu ki wo khilafat ke liye banaye gaye the aur khilafat ki awwal shart hi ilm hai. Farishto ko in ilm se koi ta'alluk nahi tha kyuki wo is maqsad ke liye paida hi nahi kiye gaye the unka kaam to bas ibadat karna ya jis maqsad ke liye mamoor kar diye jaye bas wo hota hai.
Quran majeed me hai ki Khuda Wande Alam ne tamam asmaa Adam ko taleem kar diye aur fir farishto ke samne pesh kar ke kaha k inke naam batao. Agar tum ye samajhte ho ki khilafat e arzi ke tum asl mustahaq aur haqdar ho to. Farishto ne arz kiya Malik hum to bas wahi kuchh jante hain jo tune hame bataya hai. Iske bad Adam as se kaha k chalo ab tum naam batao. Hazrat Adam as ne sare naam bata diye. Is tarah Hazrat Adam as ki afzaliyat farsihto par sabit ho gayi. Ek riwayat me hai ki Hazrat Adam as ne duniya ki un tamam zabano me ashbah ke namo ko bataya jo aasmano par rayej thi aur duniya me qayamat tak rayej hongi. Khaliq e Alam ne Hazrat Adam as ko kayenat ki jumla makhlooqat ke asma taleem kar diye the. Jinme ambiya, awsiya, saleheen, shohda, jinn, farishte, aasman, zameen aur unme basne wali jumla makhlooqat aur yahan tak ki jo chize paida ho chuki thi aur qayamat tak jo paida hone wali thi unki taleem de di thi.
Tarikh Tabri me hai ki jab Adam as ne farishto ke samne naam bayan kar diye to farishte hairan reh gaye. Aur unhone is baat ka aitraf kiya ki beshak fazilat ilm aur hikmat se hai aur ilm ko ibadat par fazilat hasil hai.
.Hazrat Adam as ka jannat me dakhila:-
Muarrikhin ka bayan hai ki jab Adam ko sajda kiya ja chuka aur wo imtehan me bhi kamyabi hasil kar chuke to unhe jannat me dakhil kar diya gaya.
Allam Abdul Wahid apni kitab Ajaib ul qasas me likhte hain ki jab Khuda ne farishto ko sajde ka hukm diya to sabse pehle Jibreel ne fir Mekail ne fir Israfeel ne aur fir Izrail ne sajda kiya tha.In 4ro farishto ke bad jumla malaika ne tameel e irshad e Khuda Wandi ki thi. Isi bina par Khuda Wande Alam ne inhe aijaz e khususi se sarfaraz farmaya tha.
Janab Jibreel ko Ameen Wahi qarar diya.
janab Mikail ko kaleed ar razzaq inayat ki.
Janab Israfeel ko Nafakh Soor ka ameen qarar diya.
Aur Janab Izrail ko Wa AL Ajaib ul Ajaib ka zamin bana diya.
Jab Adam as jannat me sakunat ikhtiyar karne ke bad ek humnasheen ke khwahishmand hue to usi dauran unhe nind aa gayi aur wo mehw e khwab the k Khaliq e Alam ne unki bachi hui mitti se Janab Hawwa ko paida kar ke unke dono pairo ke darmiyan faroksh kar diya. Imam Jafar Sadiq as ka irshad hai ki Adam as ke dono pairo ke darmiyan Hawwa ko isliye janm diya gaya k aurte mardo ki tabedar rahe.
Hazrat Adam as jab khwab se bedar hue aur unhone apne jins ki ek aisi makhlooq ko jo unse zada khubsurat aur nazuk thi apne qarib paya to puchha tu kaun hai? Hawwa ne kaha main tumhari dilbastagi aur humnashini ke liye paida ki gayi hu. Ye sun kar adam as khush hue aur sajda e shukr baja la kar unki taraf hath badhane lage. Farishto ne kaha ki aap ujlat na kare aur us waqt tak ka intezar kare jab tak aqd na ho jaye. Ba'riwayat e Rauzat us Safa Khaliq e Alam ne khud nikah ka khutba padha aur apni tasbeeh wa tehleel aur taqaddus ko mehar qarar diya. Jab nikah ho chuka to farishto ne zar o jawaharat aur phool un par nichhwar kiye aur khushi manai. Hazrat Adam as bhi beinteha khush hue aur unki is khushi ko dekhte hue Khaliq e Alam ne kaha ayy Adam ye shadi ka mauka tumhare aur tumhari aulad ke liye khushi ki naved taa qayamat tak qarar de di gayi.
.Nikah ke baad dono miya biwi nihayat pursukun zindagi basar kar rahe the aur kisi qism ka unko gham na tha kyuki Khuda ne farmaya tha ki be gham ho kar aram se raho. Sirf ye khyal rakhna ki tum dono us darakht ke qarib na jana aur shaitan se hoshiyar rehna kyuki wo tum logo ka shadeed tareen dushman hai.
Jannat ki sair:-
Khuda Wande ALam ne Jibreel ko hukm diya ke in dono ko jannat ki sair karao aur yahan ke behtareen maqam dikha do. Hukm se Khuda se Jibreel in dono ko le kar rawana hue. Janab Adam aur Hawwa jannat ki aainadar aur roshan deewaro me apni haseen aur jameel shakle dekh kar ye sochne lage ki Khuda ne hum se behtar aur hum se hassen o jameel kisi ko paida hi nahi kiya hai.
Yahi sab kuchh sochte hue aage badh rhe the ke unki nazre ek aise qasr ki taaf uthi jusne kangure zumrad sabz ke the. Jab uske andar gaye to unki aaankhe khuli reh gayi. Dekha yaqoot e ahmar ka ek takht hai aur us par noor ka ek qaba bana hua hai aur us takht par ek nihayat hi khubsurat hasti baithi hui hai aur uske sar par ek shandar taaj aur kaano me yaqoot sabz wa surkh ke do goshware hain aur gale me noor roshan ka guluband hai. Ye dekh kar wo hairan reh gaye aur bargah e Ahdiyat me arz ki Ayy mere Malik ye kaun mohtarma hain? Jawab mila Ye Mohammad Mustafa sw ki dukhtar aur meri kaneez e khas Fatima Zehra sw hain aur ayy Adam aur Hawwa suno iske sar par jo taaj hai usse Mohammad sw aur dono goshwaro se iske farzand Hasan as aur Hussain as aur guluband se Ali ibne Abi talib murad hain.
.Iske bad Adam as ne apna sar utha kar jo nazar ki to 5 darwaze nazar aye jin par Panjetan ke naam likhe hue the. Jibreel ne kaha ayy Adam in namo ko zara aql o hosh se yaad rakhna kyuki ek din wo bhi aane wala hai jab ye naam tumhare kaam ayenge.
Iske baad Adam as ne sawal kiya achha ye batao ke inke dono goshware ke rang me farq kyu hai?
Jibreel ne jawab diya sabz rang se zehar ki taraf aur surkh rang se khoon ki taraf ishara hai. Ayy Adam inke dono farzand Islam ke liye shaheed kiye jayenge. ek ko zehar diya jayega aur dusre ko Karbal ke tapte hue ban me teen din ka bhookha pyasa shaheed kiya jayega. Ye sun kar Adam as rone lage aur rote rote behosh ho gaye aur bad me unhe farishte hosh me laye.
Hazrat Adam wa Hawwa aur shaitan:-
Shaitan ko chunkijannat se nikala ja chuka tha aur use ye bhi maloom tha ki Adam as jannat me hain lihaza usne apne bughz aur hasad ke tahat jo use Adam as se tha ye koshish shuru kar di k kaise bhi jannat me dakhil ho kar Adam as ko jannat se nkharij kar du.
IS maqsad ke liye usne sabse pehle ye chal chai ki jannat ke darrwaze ke qarib musalla e ibadat bichha diya aur us par 100 saal tak ibadat karta raha. jab jannat ke darbano par apni ibadat ka asar jama chuka to ek din Mor ke paas gaya jo jannat ka khazin tha aur use ye kaha ki hum tum pehle se hi ek dusre par meherbani karte chale aaye hain aur ab mujhe teri madad ki zarurat pad gayi hai. Tu meri guzarish ko maan le aur mujhe apne paro me chhupa kar jannat me le chal taki main apne dushamn Adam ko jannat se nikalwakar sukun ki sans le saku. Mor ne jawab diya ki main aisa nahi kar sakta kyuki Rizwan e jannat mujh par nigraan hain aur agar unhe maloom ho gaya to meri khair nahi hogi. Main is mamle me majboor hu lekin tumhe kisi aise ke pas bhej deta hu jo tumhe kamyabi ki manzil tak pahocha dega. Aur fir Mor ne shaitan ko sanp ke pas pahocha diya aur use halaat se aagah kar diya. Shaitan ne sanp se kaha ke apna muh kholdo taki main tumhare muh me baith kar jannat me dakhil ho jau. Sanp ne aisa hi kiya aur shaitan is tarah jannat me pahoch gaya.
Jannat me dakhil hone ke bad shaitan ne sanp ko shajar al khuld dikha kar rukhsat kar diya. ye wahi darakht tha jiske qareeb jane ki Adam aur Hawwa ko ijazat nahi thi. Sanp ke chale jane ke bad shaitan us maqam par aaya jahan Hazrat Adam aur hawwa rehte the aur unke samne baith gaya. Un dono ko ye mloom na tha k iblees yahi hai. Shaitan ne unke samne baith kar rona shuru kiya aur kuchh is tartah roya ki wo dono bhi rone lage. Fir Adam as ne puchha tu kyu rota hai? Usne kaha main tum par ro raha hu. Mujhe is baat ka afsos hai ke tum dono anqarib mar jaoge aur tumhara ye jaah o hasham tabah o barbad ho jayega.
Ye sun kar unke dil me ye baat ghar kar gayi aur wo dono behad ghamgeen ho gaye. Iblees ye dekh kar fir roya aur uth kar chala gaya. Fir thode arse ke baad aya aur kehne laga Ayy Adam agar tum chaho to min tumhe shajar e khuld tak pahocha du aur aise malak ki taraf rehbari kar du jo ki kabhi purana na ho sake. Adam as ne kaha behtar hai. Shaitan ne aha k aisa karo k shajar e khuld se kuchh kha lo. adam as ne kaha ke Khuda ne hame mana kiya hai. Shaitan ne kaha ke tum samajhte nahi ho Khuda ka matlab ye hai ki agar isme se kuchh kha loge to ya to malak ban jaoge ya hamesha hamesha rehne wale ho jaoge.
Adam as ne kaha ye sab kuchh sahi hai par Khuda ne mana farmaya hai to main isme se kuchh bhi nahi kha sakta. Shaitan ne sun kar Khuda ki qasam kha kar kaha ki main jo kuchh bhi keh raha hu sahi keh raha hu aur tum dono ki hamdardi me keh raha hu. Ye sun kar janab Hawwa uski bato me aa gayi aur unhone us shajar ke samar ko khud bhi khaya aur janab Adam as ko bhi khila diya.Ye log shaitan ki qasam se dhokha gaye inhe is baat ka gumaan tak nahi tha ke koi Khuda ki jhuthi qasam bhi kha sakta hai.
Ek riwayat me hai ki Adam ne us shajar se jo phal khaya tha wo unke mede me 30 din tak tha isiliye unki aulad par 30 din ke roze wajib kiye gaye hain.
Amal e Adam as ka qudrat ki taraf se radd e amal:-
Muarrikhin ka bayan hai ji juhi Hazrat Adam as ne gandum khaya Khuda ne JIbreel ko hukm diya ke inhe jannat se bahar nikal do. Jibreel abhi amal wrid bhi nahi kar paye the ki Adam as ke jism se wo libas jo noori tha alag ho gaya aur ye wo barahna ho gaye. Ye dekh kar Adam aur Hawwa sharm se pani pani ho gaye aur khud ka parda karne ke liye darakhto ki taraf bhage lekin kisi bhi darakht ne unhe apne patte nahi diye aur itne baland ho gaye ki Adam as unhe chhu bhi nahi sake.
Bil'akhir anjeer aur ood ke darakht ne unhe apne patte diye jisse unhone apne jism ka parda kiya. Puchha gaya jab kisi bhi darakht ne unhe patte nahi diye to aakhir tumne kyu de diye?
Jawab aya Ayy Malik hum unka urooj dekh chuke the isliye hame un par rahem aya.
Irshad hua k tumhari neki se hum bhi tumhare sath khususiyat bartenge.
Anjeer se farmaya tamam darakht shagufe layenge tab phal denge lekin tujhe shagufe lane ki zarurat nahi padegi tujhe yuhi phal mil jaya karega lekin chunki tune mujhse bina puchhe patte de diye the isliye achhe log tujhe muh nahi lagayenge yani teri tehni se miswak tak nahi karenge.
Aur Ood se farmaya ke tere sare jism me khushbu bhar dunga lekin tune bina ijazat patte de diye the isliye jab tujhe aag laga di jayegi tab hi ye khushbu baramad hogi.
Iske bad adam aur Hawwa ko jannat se bahar nikala gaya aur sath hi sath shaitan, sanp aur mor ko bhi jannat se nikal kar zameen ki taraf fek diya gaya.
HAzrat Adam as ne rawangi ke waqt Jibreel se kaha mujhe bas itni mohlat de do ki main malaika se rukhsat ho lu kyuki mujhe yakeen hai k main iske bad unse nahi mil sakunga. Jibreel ne ijazat de di aur Adam as ne malaika ki taraf mukhatib ho kar kaha Ayy Allah ke malaika tum par mera salam ho. Main tum ko Khuda ke supurd kar ke jata hu, Khuda tumhe salamti se rakhe.
Imam salbi ka bayan hai ki Khaliq e alam ne Hazrat Adam as, janab Hawwa, shaitan, mor, aur sanp ko unke amal ka badla usi waqt de diya tha.
Adam as ko Atab me mubtila kiya. Unki ruwai hui. Unke jism ki kaifiyat badal gayi jisme pehle roshan tha usme tariki aa gayi. Apne Jawar e khas se door kar diya. Miyabiwi me 100 saal tak judai rahi. Adamaur shaitan waghairahme dayemi adawat paida ho gayi. Duniya ko unke aur unki aulad ke liye qaidkhana qarar de diya gaya aur sardi aur garmi ki aziyat se do char kiya gaya. Mehnat wa mashakkat unke aur unki aulad ke liye lazmi qarar de di gayi.
Isi tarah janab e Hawwa ke liye bhi hua. In sab chizo ke alawa wo Haiz me mubtila kar di gayi, meeras me kami, aql me kotahi, iddat, mardo ki pairwi, talaq ka unko haq nahi diya gaya, sharaf e jehad se mehrumi, nabuwat se mehrumi, hukmrani se mehrumi, tanha safar karne se mana, namaz e juma se mehrumi waghairah se matoob ki gayi.
Shaitan ko Khuda ne 10 chizo se matoob farmaya,
1. uski saltanat chhin li aur use zameen o sama duniya ki hukumat se maazool kar diya.
2. Use jawar e rehmat se nikal feka.
3. Uski surat kharab kar di malak ki surat se use shaitan ki surat me kar diya.
4. Uska naam badal ka Azazeel se Iblees kar diya.
5. Badbakhto ka sardar bana diya.
6. Mal'oon qarar diya.
7. Jauhar e marefat usse salb kar liya.
8. uske liye tauba ka darwaza band kar diya.
9. Use khair aur rahemdili se mehroom kar diya.
10. Use dozakhiyo ka khateeb bana diya.
Isi tarah mor ko bhi matoob kiya gaya. pehle uske 600 khubsurat oar the sab noch dale gaye bas bahot thode se hi par chhode gaye. Uske pairo ko intehayi badsurat bana diya gaya.
Isi tarah sanp ko bhi matoob kiya gaya. Uske oont ki tarah 4 pair the Khuda ne sab kuchh khatm kar diya. Paon chhin liye pet ke bal chalna uske liye qarar de diya agay. Ghiza uski mitti bana di aur jis jagah shaitan uske muh me baith ka jannat me agay tha us jagah zehar ki thaili laga di aur Bani Adam ko uska is tarah dushman bana diya ki wo jahan bhi dikhta hai use mar dalte hain.
Comments
Post a Comment