Tauheed aur Khuda ki sifaat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

Tauheed yani ki Parwardigar e Alam k ek hone ka iqrar karna aur uski sift'on se maarefat hasil karna, jaise k wo sirf ek aur ek hi hai. 


Wo kadeem hai, Azli aur Abdi hai, Hay hai, Aleem hai, Qadeer hai, Mudreek hai aur La'shareek hai, Lamyalid Walamyulad hai, Laa'makaan hai, Khaliq hai, Malik hai.

Kadeem:-

Yani hamesha se hai aur hamesha rahega.

Azli aur Abdi:-

Na jiski ibteda hai na jiski inteha hai.

Hay:-

Hamesha se zinda hai aur hamesha zinda rahega.

Aleem:-

Koi chiz usse chhupi nahi hai.

Qadeer:-

Har chiz par qudrat rakhne wala hai.

Mudreek:- 

Aankh kaan na hote hue bhi dekhne sunne ki taqat rakhne wala.

Laa'shareek:-

Uska koi shareek nahi hai na ki koi uski barabari ka hai.

Lamyalid Walamyulad:-

Na kisi ko jana hai aur na kisi se janam liya hai.

Laa'makaan:-

Har jagah maujood hai.

Khaliq aur Malik:-

Har chiz ka khalq karne wala aur har chiz ka malik hai.






Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal