Hazrat Nooh A.S

 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Hazrat Nooh A.S


Hazrat Nooh as ka naam Abdul Ghaffar ya abdul malek ya Abdul Aala tha. Unhone 500 baras tak khauf e Khuda se giriya kiya tha is wajah se unhe Nooh kaha gaya yani ki 'Nauha karne wala'. aap pehli shari'at laye the aur aapka shumaar "ulul-Azm Ambiya me se hai.  Aapko  "Aadam e Saani" aur "Shaikhul Ambiya" bhi kehte hain


Aap Hazrat Adam as ki wafaat k 126 baras k bad paida hue aur aap k qabl 10 paighambar wa awsiya guzre. Aapki zindagi 2500 baras ki thi. 850 baras qabl e nabuwat aur 950 baras baad e nabuwat taleem wa hidayat me aapne guzare. 200 baras kashti ki tayyari aur toofan, 500 baras toofan k bad shaher'on ko aabad karne aur logo ko basane me khatm hue. 



Itni toolani umr hote hue bhi aapne apne liye makaan nahi banaya aur zindagi ek jhopdi me basar kar di jo ki itni chhoti thi k aapka ek pair bahar rehta tha. Aapne apni qaum ko 950 baras tak hidayat ki aur unke hatho aise masayab uthaye k bas Al Hafeez wa al Amaan!


Jab aap logo ko hidayat karte the to wo aapko itna marte the ki aap behosh ho jate the. Baaz awqaat itne patthar marte the k aap pattharo k niche dab jate the. Raat ko Hazrat jibraeel aa kar apko pattharo k niche se nikalte the aur apne paron se apke zakhmo ko acha kar dete the. Subah aap fir se logo ko hidayat karna shuru kar dete the.


Jab 900 baras k bad aap ne tang aa kar bad'dua ki to aurat'en baanjh ho gayi, baagh jal gaye, chopaee halaq ho gaye, 40 baras tak pani nahi barsa aur ap kehte rahe "imaan Laao" sab balaa dafa ho jaegi, magar jinhe imaan nahi lana tha wo nahi laye.


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal