Fazeelat e Ilm
Fazeelat e Ilm
Ilm hi ek aisi chiz hai jiske zariye Allah ka banda neki ki balandi tak pahonch kar aakhirat k ghar ko aabad kar sakta hai.
Janab e Rasool e Khuda sw ne farmaya hai k Allah ki khushnoodi k liye jo ilm hasil karta hai wo neki ka kaam hai. Jo ilm ki guftgu karta hai wo Allah ki tareef karta hai, jo ilm ko dhundta hai wo Allah ko chahta hai, jo ilm ki taleem deta hai wo jaise k sakhawat karta hai aur jo sahi makaam par ilm ki sakhawat karta hai wo jaise ki Allah ki taraf mohabbat pesh karta hai.
Ilm insan ko haraam aur halaal k darmiyan k fark ko samajhne ki salahiyat ata karta hai aur wo raah dikhata hai jo jannat tak le k jati hai. Ilm bayabaan me ek dost jaisa hai aur akelepan me mehfil jaisa hai. Dosto ki ghair hazri me sathi jaisa hai. Wo hame khushi deta hai aur musibat k waqt me himmat afzai karta hai.
Talabul ilme fareezatun ala kulle muslemeen wa muslemah (Prophet Mohammad S.W)
Ilm ka hasil karna har muslim mard aur aurat par farz kiya gaya hai.
MashaAllah. Good work.
ReplyDelete