Hazrat Hood A.s
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Hood A.s
Aap Hazrat Nooh ki 8wi pusht me se the. Aap saam ki aulaad me se the.
Aapka shajrah yun hai:-
Hood bin Abdullah bin Riyah bin Halus bin Aad bin Aws bin Saam bin Nooh.
Apka daur e nabuwat:-
Aapki nabuwat ki peshangoyi Hazrat Nooh A.s kar k gaye the.
Aap qaum e Aad ki hidayat k waste Paighambar bana kar bheje gaye the. Qaum e Aad ka us waqt bahot charcha tha. Us waqt sari duniya me unke barabar koi aur qaum na thi.
Ye log bahot baland qad jaseem aur taweelul umr hote the. Aur ek but ki pooja me mashgool rehte the.
Hazrat Hood A.s ne inhe har tarah se hidayat ki lekin inhone unki ek na suni aur apni manmaniya karte rahe.
Qaum e Aad pe Azab:-
Aur jab qaum e Aad ki shararat aur nafarmaniya had se badh gayi to pehle in par paani band hua aur 3 baras tak pani ka ek qatra bhi nahi barsa.
Jab is par bhi ye log baaz nahi aye to Khuda ne ek siyaah baadal bheja jo in par chha gaya. Aur is qaum ne samjha k ab isme se pani barsega aur sab k sab iske pichhe jama ho gaye fir kya tha!
Khuda ka ghazab aaya, ek sakht aandhi chali jisme chingariya'n bhari hui thi, aur 8 roz tak barabar chalti rahi.
Aur wo bhi is shiddat se ki bojh se lade hue oont ko upar le jati aur fir se zamin pe de marti hatta k surang me chhupe hue logo ko bh wahan se nikal fekti.
gharaz ye ki ek char shamba ki subah se shuru hui thi aur dusre char shamba ki sham tak rahi aur sari qaum e Aad ko halaaq kar k hi ruki.
Is aandhi k aane se pehle hi Hazrat Hood A.s apne chand saathiyo ko lekar us jagah se kooch kar gaye the.

Wah Mashallah
ReplyDelete