Hazrat Nooh As Gardab e Masayeb me


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Hazrat e Nooh As Gardab e Masayeb me :-


Murrikhin ka kehna hai k Hazrat Nooh As 'Besat' k bad se har waqt tableegh me masroof rehte the aur is maqsad k liye na din dekhte the na raat. Unhe jab kisi jagah majmaa nazar aata tha wo waha chale jate the aur aisa bhi karte the k raat me darwaza khatkhata kar kehte the k "tum log is amr ka iqrar karo k Allah k siwa koi maa'bood nahi hai".




Hazrat Nooh As ki tableegh k radd e amal me log unhe deewana kehte the aur unhe pattharo se mar mar kar zakhmi kar dete the. Aisa bhi aksar hua k unhe dande se mar mar k apne khyal me halaak kar k taat me lapet kar unke ghar me daal aate the. Par Ba hukm e Khuda se wo fir se sehatamand ho jate the aur fir se logo ko tableegh karne me mashghool ho jate the.


Aksar aisa bhi hota tha k baap apne beto ko humrah le ja kar Nooh As ko dikhlate the aur wasiyat'en karte the k ye deewana hai, bakwas kiya karta hai, iski baat na tum kabhi manna aur na apni aulad ko manne dena aur suno tum apni aulad ko bhi wasiyat kar dena k woh apni aulad se wasiyat kare k koi iski baat na maane.





Ek martaba aisa hua k ek shakhs apne ek farzand ko le kar Hazrat Nooh As k pas pahoncha aur apne khandani dastoor k mutabiq use hidayat karne laga k ye deewana hai, is se hoshiyar rehna, iski baat kabhi na qubul karna. Ye sun kar us ke bete ne baap k hath se danda le kar Hazrat Nooh As k sar e mubarak par itni zor se maara k aapka sar fat gaya.


Bil'aakhir Hazrat Nooh As ne aajiz aa kar dast e dua bargah e Khuda me baland kar k arz kiya k,


" Ay Khuda agar tujhe apni is na'hanjaar makhlooq se bahot hi zada pyar hai, tu yaa to inhe hidayat farma ya mujhe sabr ki tafeeq ata farma kyu ki ab mera jaam e sabr labrez ho gaya hai, Ya fir mujhe ye bata de k in me se koi aisa nahi hai jis ki nasl se muslim paida hoga taaki mai iske radd e amal me koi aur darkhaast karu".


Hazrat Nooh As ki is dua aur guzarish par Khuda Wande Alam ne farmaya k,


" Ay Nooh ye aise log hain k jin ki nasl me musalman ka paida hona bahot mushkil hai. Ab tum iske radd e amal me jo kuchh kehna chahte ho kaho main tumhari sununga".


Ye sun kar Hazrat Nooh As ne hath baland kar diye aur kaha,


"Khudaya in kafiro me se kisi ko zinda na chhod, Ay mere malik ek aalam geer toofan e aab ru'numa kar de k ye sab halaak ho jaen kyu ki na ye musalman hote hain na kisi ko musalman hone dete hain, in k wajood se tera deen kabhi farogh na paa sakega".


Khaliq e Alam ne Hazrat Nooh As ki dua qubul kar li aur farmaya acha ab toofan ka intezam kar diya jaega aur inhe halaak kar ke nayi qaum paida ki jayegi.


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal