Hazrat Nooh As ki Kashti


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Ye zahir hai k Nooh As ko us qaum se shikayat thi jo us waqt maujud thi lekin un logo se filhal shikayat na thi jo paida na huye the. Is liye unhone darkhwast ki k ab se aurto ko aqeem(baanjh) kar diya jaye taaki aane wali musibato me bachche mubtila na ho. Lihaza Khuda Wande Alam ne aurto ko aqeem kar diya aur unke yahan bachche paida hone band ho gaye.


Kashti ki Tayyari ka Hukm:-


Iske baad Khaliq e Alam ne Nooh As ko hukm diya k tum khurme k darakht lagao. Ek riwayat me hai k Khuda Wande Alam ne janab e Jibrail as k hatho kuchh darakht lagwaye the. Hazrat Nooh As ne darakht laga diye. Yahan tak k 40 saal guzarne ke baad darakht tayyar ho gaye. 


Ek riwayat me hai k Khuda ne kayi baar darakht lagane aur tayyar karne ka hukm diya. Is tarah wo azaab ko talta raha aur darakht ki tayyari k dauran Nooh As tableegh par zor dete rahe aur unhe toofan ke aane se aagah karte rahe aur unhe samjhate rahe k dekho imaan le aao warna gharq ho jaoge. Magar kisi ne ek na suni aur apni hi raah par lage rahe.



Dua e zehraa



Yahan tak k darakht kaate gaye aur ba'riwayate 1 laakh takhte tayyar kiye gaye. Iske baad hukm e Khuda Wandi pahoncha k hamari aankho k samne hamare bataye huye usool par kashti banao.


Allama Majlisi ka bayan hai k takhto ki tarash aur kashti ki tayyari ke liye bahot se aadmi ki zarurat thi. Is liye Hazrat Nooh As bargah e Khuda Wandi me arz ki k Malik kuchh madadgaar darkar hain. Hukm huwa k ye elaan karwa do k jo kashti banane me madad karega us ke liye lakdi ke burade chandi aur sone k zarraat ban jayenge. Hazrat Nooh As ne elaan karwa diya.


Ba'riwayate Imam Salbi mazduri par log aye aur kashti  janab Jibrail As ki taleem ke mutabiq tayyar ki jane lagi. Ek riwayat me hai k Hazrat Jibrail As ki Hazrat Nooh As ne kashti ki tayyari ke liye jo takhte muhaiyya kiye the un ki taadad Ambiya ki taadad ke mutabiq 1lakh 24hazaar thi.


Ek riwayat me hai k Hazrat Nooh As ne in takhto par chand ambiya k naam likh diye the lekin shaitan ne unhe mita diya tha aur yahi amal bar bar jari raha. Bil'aakhir Hazrat Nooh As ne Jibrail as se waqiya bataya to unhone farmaya k sab se pehle Khuda ka naam likho aur sab se aakhir me Mohammad Mustafa Sw ka naam tehreer karo taki shaitan ka jadu na chal sake aur wo qabu na paa sake. Hazrat Nooh As ne aisa hi kiya aur shaitan be qabu naam mitane se majbur raha.


Allam Jazari Ba'hawala e Kitab ul Kharaj bayaan karte hain k Hazrat Rasool Allah Sw ne irshad farmaya hai k jab Hazrat Nooh As kashti tayyar karne lage to Jibrail As ne unhe keel'on ki ek kharji(jholi) la kar di. Jis me 1lakh 29 hazaar keel'en thi.


Hazrat Nooh As Jibrail As k batane ke mutabiq kashti tayyar karte rahe aur keel'en thokte rahe. Yahan tak ke 5 aisi keel'en reh gayi ke jab unko Hazrat Nooh As ne hath lagay to wo chamak uthi. Aapne ye maajra daryaft kiya to Jibrail as ne kaha k ye keel'en Panjetan Pak k naam ki hain:-


  1. Hazrat Mohammad Mustafa Sw 
  2. Imam Ali As
  3. Janab Fatima Zehra sw
  4. Imam Hasan As
  5. Imam Hussain As


Ay Nooh pehli keel ko kashti ke dahni(right) taraf, dusri keel ko kashti ke baayi(left) taraf aage ki janib, teesri keel ko kashti k dahni taraf pehli keel k kareeb aur chauthi keel ko baayi taraf dusri keel k kareeb aur panchvi keel ko uske kareeb thok do.


Hazrat Nooh As ne aisa hi kiya. Jab panchvi keel thokne lage to khoon ki tari nazar aai. Hazrat Jibrail As se ghabra kar puchhne lage, 

          Ay Jibrail As ye kya maajra hai? Hazrat Jibrail As ne unhe waqiya e Karbala tafseel se bataya. Hazrat Nooh As aab deedah ho gaye aur qatilan e Hussain As par lanat karne lage.

 



Panjetan e Paak ke naam ki takhti:-


Hazrat Nooh As ki kashti ki tayyari ke silsile me ye bhi qabil e tazkirah hai ke is kashti me "Panjetan e Paak" ke asma e mubarak ki takhti ba'hukm e Khuda nasb ki gayi thi.


Kashti ka Tool wa Araz aur uski Balandi:-


Hazrat e Nooh As ki jaddo jehad se taweel kashti tayyar hui. Kashti ke tool wa arz me thoda sa ikhtelaf hai.


Muarrikh 'Yaqubi' ne 300 hath ba'dast e Nooh As iski lambai aur 50 hath iski chaudai tehreer ki hai.


Imam Salbi ne 300 hath lambai aur 230 hath chaudai aur 33 hath balandi batai hai.


Muarrikh Harwi Khawind Shah ne 660 gazz taweel, 300 gazz araz aur 33 gazz balandi likhi hai.


Muarrikh Tabri ne 1200 gazz lambai aur 60 araz chaudai tehreer ki hai.


Sahab e Ajaib ul Qasas ne 660 gazz lambai, 333 gazz chaudai batai hai.


Lekin Hazrat Imam Jafar e Saqid As ne kashti ki lambai 1200 hath, chaudai 800 hath aur balandi 80 hath farmai hai.

Jaisa k Hayat ul Qulub jild 2 pg no 67 me hai aur yahi qaul e hujjat hai.


Bahot se muarrikhin ne likha hai k Hazrat Isa As se un ke ahad me un ke hawareen ne khwahish ki k kisi aise shakhs ko zinda kar de jo toofan e Nooh ka waqiya bayan kare aur uski haisiyat bataye. Hazrat Isa As ne zameen se ek mutthi khaak utha kar use zinda kiya aur us se waqiya e toofan daryaft kiya. Usne sara waqiya bayan kar diya. Harat Isa As ne us se kashti ki lamban daryaft ki to usne bataya k kashti 1200 hath lambi thi. Muarrikhin kehte hain k wo zinda hone wala shakhs Kaab bin Saam ibn e Nooh tha. (Ajaib ul Qasas)


Books for refrence:-


Tarikh e islam vol 1


Ajaib ul Qasas


Hayat ul Qulub



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal