Hazrat Shaiya aur Haiqooq As

Hazrat Shaiya aur Haiqooq As

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

Hazrat Shaiya bhi "Bani Israil" k nabi me se ek the. Inka zamana ba'riwayat e "Rauzat us Safa" Hazrat Suleman As k bad tha.


Daur e Nabuwat:-


Wo jis zamane me mab'oos hue us zamane me "Bani Israil" me ek numaya qism ka badshah tha. Wo un par hukumat karta tha aur aise halat the k badshah aur riaya dono hi Khuda Wande Alam k tabedar aur farmabardar the. Sarkashi nahi karte the aur ibadat-guzari ko apne shewa samajh kar use har kaam me awwaliyat dete the. Shaitan ka un par koi qaabu nahi chalta tha.


Lekin kuchh arse bad Shaitan un par ghalib aa gaya aur ye log bid'aton me masroof o mashgool ho gaye aur bad'failo me is had tak aage badh gaye k Khuda Wande Alam ko tawajjoh deni padi.


Usne apni nabi Hazrat Shaiya As ko tableegh karne ki hidayat ki. Hazrat Shaiya As ne unhe samjhane ki kafi tadbeer ki, tabligh ki magar unhone ek na suni aur apne kaamo me mashgool rahe.


Bil'aakhir Khuda ne badshah e "Babil ko un par musallat kar diya aur us ne unhe tabah o barbad karna shuru kar diya. Pehle to ye log muqabla karte rahe lekin azab e ilahi se kaun muqabla kar sakta hai?


Aakhir me un logo ne bargah e Khuda wandi me peshani rakh kar tauba wa istighfar kiya aur apni sarkashi se baaz rehne ka ahad o paiman kar k maafi mangi.


Allah jo raheem o kareem hai us ne Hazrat Shaiya ko "wahi" ki k mere nabi maine unke aaba o ajdad ki nekiyo ki wajah se unki tauba o istighfar ko qubul kar liya hai aur ab main chahta hu k filhal un ko koi taklif na pahoche aur ye jis taklif me mubtila hain us se inhe nijaat dila di jae.


Hazrat Shaiya As ki qaum par azab:-


Idhar qudrat ne ye intezam kiya k badshah e  "Babil" jiske pas be'shumar lashkar tha use tabah o barbad kar diya aur dusri ki subah ko sab halaaq ho gaye aur un me se 5 shakhs k siwa koi na bacha. Woh bhag kar "Babil" chale gaye.


Iske bad se "Bani Israil" sidhi raah par chalne lagi aur us waqt tak sirat e mustaqeem par baki rahi jab tak k unka nek badshah zinda raha. 



.

Lekin uske marne k bad wo fir bhatak gaye aur ek bar fir sarkashi aur nafarmani par utar aye. Hazrat Shaiya As unhe samjhane ki puri koshish karte rahe lekin unhone ek naa mani aur ba'dastoor te di i raah par chalte rahe jiske natije me wo sab k sab halaak ho gaye.


Hazrat Ali As ka bayaan:-


Hazrat Ali As ne unki halaqat ki dastaan yun bayan ki hai k Khaliq e Alam ne Hazrat Shaiya As ko "wahi" ki k main tumhari qaum k 40 hazar bad'karon aur 60 hazar nek'karon ko halaak karne ka faisla kar chuka hu aur unhe an'qareeb halaak kar dunga. 


Janab e Shaiya As ne bargah e Khuda Wandi me arz ki k malik unki halakat to samajh me aati hai jo nafarman hain lekin jo nek hain aur farmabardar hain unki halakat samajh me nahi aai, wo to nek hain, farmabardar hain, ahkaam ko mante hain aur us par amal karte hain fir unko kyun halaak kiya jaega?


Irshad e Baari hua k ay mere nabi :-


Main unhe is liye halaak karunga k wo gunahgaro, badkaro ki khushamad aur chaplusi karte hain aur mere azab se na unhe darate hain na unse izhar e narazgi karte hain aur na unko gunaho se baaz rakhne ki koshish karte hain.


Matlab ye ki wo unke bad'fail par razi hain aur unke gunaho ko nazar andaz karte hain aur unse izhar e nafrat nahi karte lihaza wo bhi azab k mustahaq ban gaye hain. Main dono qism k logo ko tabah o barbad kar dunga.


Hazrat Shaiya As ne ghazab e Ilahi se aagah kiya aur unhe samjhane ki bahot koshish ki lekin unhone koi parwah nahi ki jiske natije me wo sab halaak kar diye gaye. 


Hazrat Shaiya As ki shahadat:-


Ek riwayat me hai k "Bani Israil" ko bar bar samjhane ki wajah se unhone Hazrat Shaiya As ko qatl karne ki sazish ki. 


Wo wahan se faraar ho kar ek darakht k qareeb pahonche wo darakht shigafta ho gaya. Aap uske tane me dakhil ho gaye.


.


Ittefaq se unke kapde ka ek kona bahar reh gaya. Shaitan ne dushmano ko baa'khabar kar diya. 


Unhone pehle to unhe nikalne ki koshish ki jab kamyab na hue to us darakht k tane ko 'aari' se cheer dala jiske natije me un k jism k do tukde ho gaye aur ye bargah e Khuda Wandi me jaa pahonche.


( Hayat ul Qulub Vol 1, Tabari Vol 2 pg no 202)


Hazrat Haiqooq As:-


Apke mutalliq Hazrat Imam Raza As ka bayan:-


Hazrat Imam Raza As Mamoon Rashid k darbar me tashrif farma the aur "nasraniyo" k alim Jasleeq aur "Yahudiyo" k alim raas al jalut bhi wahan maujud the.


Hazrat Imam Raza As ne farmaya k ay Jasleeq aur ay Raas al Jalut ye batao k tum Hazrat Haiqooq As jo nabi Allah se unke bare me kuchh jante ho? aur unke halaat se waqif ho? Unhone kaha k haa jante hain wo Nabi e Khuda the. 


Imam As ne farmaya k acha ye batao k kya tumhari kitab me ye nahi hai k Khuda Wande Alam bayan e haq ko Koh E faaran se zahir karega aur ilm ki roshni wahin se failegi aur tamam aasman o zameen hamd e Ilalhi se bhar jayenge. Uski ummat k log jis tarah khushki me ladenge usi tarah dariya me bhi lad sakenge aur wo ek kitaab baitul muqaddas ki tabahi k baad layega aur us kitaab se murad "Quran Majeed" hai. Kya tum is kitaab ko jante ho?


Raas al Jalut ne kaha be shak ye haiqooq paighambar ka irshad hai aur hum is se inkar nahi kar sakte.


Books for ref:-


Tarikh e islam 

Hayat al Qulub 

Tabari


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal