Hazrat Shees As
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Shees As
Shees k maa'ni hote hain "Atiya e Khuda".
Hazrat Adam As ko qatl e Habeel As k ek arse bad Allah ne ek farzand ata kiya jiska naam Hazrat Adam As ne ba'riwayat e Allama Majlisi 7 din k baad "Shees" rakha.
Shees As k bade hone k baad Hazrat Adam As ne unki shadi ek hooriya se ki jise Khuda ne Shees As k liye jannat se bheja tha.
Apni umr k aakhri hisse me Hazrat Adam As ne ba hukm e Khuda Hazrat Shees As ko apna wasi aur janasheen bana kar tamam jinn o ins par unhe haakim bana diya aur zameen ki milkiyat aur hukumat unke supurd kar di.
Hazrat Adam As ki wafat k waqt unki nasl 40 hazar ki tadaad tak pahoch chuki thi. Un 40 hazar me Hazrat Shees As hi sab se layak, aalim, fazil, ibadat guzaar aur muttaqi the.
"Ek riwayat me hai ki Hazrat Adam As ne apne inteqal k chand yaum qabl apni tamam aulad ko jama kar k unhe hidayat ki aur khususi taur par ye kaha k maine ba'hukm e Khuda "Shees" ko khalifa banaya hai aur tum unki puri ki puri pairwi karna aur unki kisi tarah mukhalafat na karna aur Qabeel ki aulad se doori banaye rakhna. Fir Hazrat Shees As se farmaya k ye Noor e Mohammadi jo tumhare sulb me aya hai iski puri hifazat karna aur ghair pakeeza reham me ise jane na dena aur ye bhi farmaya k in chizo k mutalliq nasl dar nasl wasiyat jari rakhna."
Hazrat Shees As ka Mu'allim e Awwal Hona:-
Muarrikhin ka bayan hai k Hazrat Adam As janab e Shees As ko bahot chahte the aur unhone wo tamam taleem unhe di thi jiske wo khud aalim the.
Lihaza Hazrat Shees As ne dars o taleem aur tafheem ka silsila shuru kar diya aur logo ko gauhar e ilm o hikmat se malamal bana diya. Yahi wajah hai k ahl e "Tauret"
inhe "Aureya e Awwal" yani "Mu'allim e Awwal" kehte hain.
Hazrat Shees As ka daur e nabuwat:-
Muarrikhin ka bayan hai k jab Hazrat Adam As ka inteqal ho gaya tha aur aap un k janasheen ki haisiyat se tableegh kar rahe the to Khuda ne inhe risalat ataa ki aur in par "Sahaif" ka nazool shuru hua. Aksar riwayat me hai k aap par 50 sahife nazil hue. Kuchh riwayato me hai k aap par 235 sahife nazil hue.
Aap inhi sahifo k zariye se dalael e wahdaniyat aur tableegh k farayez anjam dete the. Aur inhi sahifo k zariye se aap hadood e Khuda wandi bayan farmaya karte the, farzandan e Adam As ko taleem dete the aur unhe ibadat e Khuda ki taraf mayel karne ki koshish karte rehte the.
Nizam e Saltanat k Mut'alliq Hazrat Shees As k Irshadat:-
Nizam e saltanat k bare me Hazrat Shees As ne irshad farmaya k:-
- Badshah ki nisbat riaya k sath aisi hi hai jaise nafs ki nisbat jism k sath hai. Jis tarah nafs insan k badan se ek lamhe k liye bh ghafil nahi hota usi tarah badshah ho bhi apni riaya se ek lamhe k liye bh ghafil nahi hona chahiye.
- Badshah ko chahiye k wo ahl e fan aur ahl e daanish par ehsanat kare aur unki himmat afzai kare taki unke zariye se mulk tarakki kar sake.
- Badshah ko chahiye k wo khush akhlaq ho taki uski riaya bh jawahar e akhlaq se arasta ho sake.
- Badshah ko ranj o masayeb ko bardasht karne k mamle me diler hona chahiye.
- Badshah husn e tadbeer ka malik ho aur ahliyat aur salahiyat rakhta ho.
- Mukhlis dost bhai se behtar hota hai kyu ki use meeras ki koi lalach nahi hoti lihaza badshah ko chahiye k uski pur'khulus khidmaat ko nazar andaz na kare.
Hazrat Shees As ki Alalat aur Wafaat:-
Ba'riwayat e Allama Majlisi Hazrat Shees As ki umr jab 912 saal ki ho gayi to wo aleel ho gaye. Fir jab unki wafaat ka waqt qarib aya to unhone apne Bete aur unki aurato ko bulaya aur unhe dua'en di aur khoon e Habeel ki qasam de kar farmaya k tum log is muqaddas pahaad se niche na utarna aur aulaad e Qabeel se mel jol na paida karna.
Iske bad apne bete Anoosh ko apna janasheen muqarrar kiya aur unhe hukm diya k "Taboot e Adam As" ki hifazat karna aur taqwa ikhtiyar karna. Apni qaum ko taqwa ki hidayat dena aur unhe ibadat e Khuda wandi ki taraf dawat dete rehna. Aap mangal k din 27 maah e aab ko wafaat paa gaye.
MASHALLAH ❤️
ReplyDelete