Hazrat Hanzala Bin Safwan As


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Hazrat Hanzala Bin Safwan As


Hazrat Hanzala as Khuda k bheje hue nabi the aur unme wo tamam sifaat maujud thi jo kisi bhi nabi me hona lazmi hoti hai. 

Wo bahot hi nek seerat, khush akhlaq, mehman nawaz, aur narm tabiyat k the.

Khuda wande aalam ne unhe Azerbaijan me bheja tha. 


Ashaab e Rass:-


Wahan ek nahar thi jise "Rass" kehte the. Yahan k log ek "Sanobar" k darakht ki parstish karte the.

Inke mard mardo se aur aurat'en aurat'on se ta'alluqat qayam karti thi. Inki aurat'en mard'on se aur mard aurat'on se beniyaz rehte the. 

Inka tarika tha k ye apni maa, beti, behno ko apne padosiyo aur dosto ko istemal k liye de dete the. Ek riwayat me ye bhi hai k ye log bakrah ladkiyo ko poojte the. Jab ek ladki 30 saal ki ho jati thi to use maar ka dusri ko uski jagah rakh liya jata tha.


Ashaab e Rass k mut'allik Ameer ul Momineen As ka bayaan:-


Hazrat Imam Ali Raza As tehreer farmate hain k "Qabila e Bani Tameem" k ashraaf me se ek shakhs jiska naam "Umru" tha Hazrat Ameerul Momineen As ki khidmat me aapki shahdat se 3  roz pehle hazir hua aur arz ki, 

Maula mujhe aagah farmaiye k "Ashaab e Rass" ka qissa kya hai?

Aur wo kaun se zamane me the?

Aur kis maqam k rehne wale the?

Inka badshah kaun tha?

Khuda ne inki janib kisi paighambar ko bheja tha ya nahi?

Wo kis tarah halaaq hue?

Isliye k hum kitaab e Khuda me inka zikr to paate hain magar in ke halaat isme darj nahi hain.

Hazrat Ameerul Momineen As ne farmaya k tune wo baat daryaft ki hai jo tujh se pehle kisi ne nahi poochhi thi aur mere baad koi unke halaat bayan bhi nahi kar sakta aur ye bhi mujh se hi riwayat karega. Kitaab e Khuda me koi ayat aisi nahi hai k jis ki tafseer main nahi janta hu, Mujhe ilm hai k kaun si ayat kahan nazil hui, kis maqaam par nazil hui, din me nazil hui ya raat me nazil hui. Fir apne seena e mubarak ki taraf ishara kar k farmaya k is me be'inteha ilm bhara hua hai. Jiske talab karne wale bahot kam hain aur jo yakeenan mere bad pachhtayenge k humne ye ilm kyu na hasil kiya?


Aapne farmaya k baradar inka qissa ye hain k wo ek giroh the jo darakht "Sanobar" ki parastish karte the aur use "Shah Darakht" kehte the jise "Yafis bin Nooh" ne ek chashme k kinare boya tha. Jise "Roshtab" kehte the jo baad toofan, Hazrat e Nooh as ke liye jaari hua tha.



.



In logo ko Ashaab e Rass is liye kehte the k inhone Khuda k ek paighambar Hanzala Bin Safwan ko zinda dafn kar diya tha.

Ye log ek nahar k kinare 12 shahero me aabad the wo nahar jis ko "Rass"  kehte the balad e  mashriq me thi. Jis ko us zamane me "Rass" kehte the aur in logo ko isi munasibat se"Ashaab e Rass" kehte the. Us zamane me mithe pani se labrez koi bhi nahar is roo e zamin par "Rass" se behtar na thi aur inke shahero se behtar aur zyada aabad duniya me aur koi shaher na tha. 


Ashaab e Rass k shahero k naam:-

  1. Aayan
  2. Azroodi
  3. Bahman
  4. Isfazar
  5. Faroor di'n
  6. Urwi
  7. Bahisht
  8. Khoor daar
  9. Mar daad
  10. Batar
  11. Mahar
  12. Shaher poor

 

In sab me sab se bada "Isfazar" tha jo in ke badshah ka payah e takht tha aur Tarkooz bin Ghaboor bin Barish bin Saazin bin Namrood bin Kannan inka badshah tha. Wo chashmah aur sanobar ka darakht isi shaher me tha. Aur is shaher'on me isi darakht e "Sanobar" k phal k sookhe hue beej boye gaye the aur us chashme se jo bade "Sanobar" k darakht k pas tha nahar jaari ki gayi thi jo jo un darakhto ko sairaab karti thi jo in beejo se uge the. 



.



Ashaab e Rass ne is chashme k paani ko apne liye haraam qarar diya tha wo kehte the k in chashmo ka paani hamare Khuda'on ki zindagi ka sabab hai aur munasib nahi k koi apne Khuda'on ki zindagi ka pani pi kar un ki zindagi aur umr ko kam kare. Wo khud aur unke maweshi nahar e "Rass" ka pani pite the aur usi ko istemaal karte the jis ke kinare unke shaher aabad the.

Inka dastoor tha k har mahine ek shaher me eid manai jati thi aur jis shaher me eid manai jati thi uske bashinde us sanobar k pas hazir hote jo unke shaher me hota aur us par reshmi parda dalte jis par mukhtalif surate bank hoti thi aur gaayo aur bhedo ki qurbani ko is darkaht e sanobar pe pesh karte the aur uske bad lakdiya jama kar k us qurbani par laga dete the. Jab dhua'n hawa me buland hota tha aur aasman chhup jata to ye log giriya o zaari karte the taaki wo darakht un se raazi ho jae. Is waqt Shaitaan aa kar us darakht k tane se ek ladke ki awaz me kehta tha


"Mere bando, Main tum se raazi hua, Tumhare dil masroor aur aankhe roshan ho".

 

Ye sun kar wo sajde se sar uthate , sharaab pite aur daff waghairah bajate aur gaate aur tamam raat din aish o ishrat me masroof rehte  fir dusre din apne apne gharo ko wapas chale jate the. 


Aur jab unke sab se bade shaher ki eid hoti to chhote bade sab is shaher me jaate aur us bade "Sanobar" pe reshmi parda daal kar us par 12 qurbaniya pesh karte the aur 12 din tak jashn manane k bad shaitan k dilaye gaye dilaso aur ummido ko sach mante hue wo log isi tarah aish o ishrat me jite hue wapas apne gharo ko laut jate the.


Hazrat Hanzala Bin Safwan as ko tableegh ka hukm:-


Yahan tak ki jab inka kufr had se zyada badhne laga to Khuda wande alam ne Bani Israil k ek paighambar Hazrat Hanzala Bin Safwan As ko inki hidayat k waste bheja. Hazrat Hanzala as inhe Khuda ki maarefat aur ibadat ki hidayat karte rahe lekin wo unki pairwi se inkar karte rahe. Jab paighambar ne dekha ki wo apne kufr o zalalat me gharq hain aur paighambar ki nasihat wa hidayat se apne khwab e ghaflat se bedaar nahi hote aur apni neki aur bhalai ki janib rukh nahi karte to jab unke sab se bade shaher ki eid ka waqt aya to Hazrat Hanzala As ne bargah e Ilahi me munajat ki k Khuda wande alam tere ye bande meri tableegh aur teri zaat se inkar karte hain aur koi nek amr ki taraf nahi raghib hote. Mere Maalik meri tujh se ye ghuzarish hai ki ye jis darakht ko poojte hain tu use khushk kar de aur apni quwwat aur taqat in ko dikha de.


Is dua ka ye asar hua k dusre roz subah ko in gumraho ne dekha ki in k tamam darakht khushk ho gaye hain. Jis se ye bahot pareshan aur khaufzada hue aur in me do giroh ban gaye.

Ek kehta tha k ye shakhs jo Khuda e aasman o zamin ki paighambri ka daawa karta hai isi ne jaadu kar diya hai taaki tumhari rozi jo tumhare Khuda'on ki janib se milti hai, apne Khuda ki janib se qarar de.

Dusra giroh kehta tha k aisa nahi hai. Balki tumhare Khuda'on ko tum par gussa aa gaya hai. Iska sabab ye shakhs Hanzala bin Safwan As hai jo tumhare samne tumhare Khuda'on k aib bayan karta hai aur unki mazammat karta hai aur tum isko mana nahi karte. Isi sabab se "Sanobar" ne apni taazgi aur shaguftagi ko poshida kar liya hai taaki tum is wajah se Hanzala Bin Safwan as par ghazabnak ho aur is se inteqam lo.


Hazrat Hanzala Bin Safwan As ka qatl:-


Ye sab soch kar in gumraho ne Hazrat Hanzala Bin Safwan ko qatl karne ka mashwarah kiya aur unhe maar dalne par ek raaye ho gaye.


Qatl k liye in "Ashaab e Rass" ne seese k bahot bade se nalke banaye, bahot chaude aur kushada aur ek dusre me jod kar use chashmah e buzurg ki tehh tak le gaye aur in nalko me se paani nikal kar isle andar gaye aur andar ek bada kunwa khoda aur Hazrat Hanzala As ko isi kunwe me daal kar iske muh par ek bahot bada patthar rakh diya aur bahar nikal aye. Fir in nalko ko chashmah se nikal liya k paani is kunwe ke upar se chashmah ki satah tak barabar jaari ho gaya. Aur wo sab kehne lage k ab hamare Khuda hum se raazi ho gaye honge. Kyu ki hum ne us shakhs ko maar dala jo unki mazammat karta tha aur sab se bade Khuda "Sanobar" k niche hi humne isko dafn kr diya , ab mumkin hai k hamare Khuda ki taazgi aur tarawat hamare waste wapas aa jaegi.


Fir ye zaalim log us roz tamam din Hazrat Hanzala As ki naala o fariyad ki awaaz sunte rahe k wo apne Khuda se dua karte the k...


" Ay mere Khuda tu meri is tang jagah aur mere ranj o gham se waqif hai. Tu meri bekasi aur bechargi par rahem farma aur meri rooh ko jald az jald qabz kar le aur isme takheer na farma".


Yahan tak k wo mazloom paighambar rehmat e Ilahi se faut ho gaye...



Ashaab e Rass par Azaab:-



Is waqt Khuda ne Jibrail as ko hukm diya k mere ye bande bahot sarkash ho gaye hain aur ye mere azaab se darte nahi aur but'on ki ibadat karte hain aur inhone mere Paighambar ko maar dala,

Kya ye gumaan karte hain k mere azaab ka rukh inki taraf na hoga?

Aur kya ye meri hukumat aur badshahi se nikal sakte hain?

Halanki mai apne har nafarman aur azab se na darne wale bando se hamesha naraz raha hu aur mujhe apni izzat o jalaal ki qasam hai ki main in logo par is tarah se azab  nazil karunga ki tamam aalam me inka tamasha hoga.


Gharz ye k wo ba'dastoor apni eid manane me mashghool the . Naagah ek surkh hawa e tund un par aai. Jis se wo sab hairan ho gaye aur dar kar ek dusre se lipat gaye. Fir Khuda ne zameen ko un k pairo k niche jalga aur pighalta hua gandhak bana diya aur ek siyaah baadal un par chha gaya, jis se aag barasna shu tu hui jis ne un k badan'on ko pighla ka pani bana diya. Jaise seesa aag me pighal kar paani ho jata hai.


Books for refrences:-


Hayat al Qulub vol 1 page no 682


Safinat Al Bahat vol 1 page no 346


Tarikh e Islam vol 1 

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal