Toofan e Nooh As


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Qaum ko aagah karna:-


Hazrat Nooh As ne jab darakht e khurma ki kaasht ki thi to logo se kaha tha k toofan ayega aur sari duniya gharq ho jayegi. To logo ne mazak udate huye kaha k is shakhs ka dimag kharab ho gaya hai aur ye behki behki baate karta hai. Fir jab darakht tayyar hue aur arse tak takhte khushk hote rahe. Uske bad kashti tayyar hone lagi to logo ko mazak udane ka aur mauka mil gaya wo kehne lage k dekho ye kya ho raha hai pani ka nam o nishan tak nahi hai aur itni badi kashti tayyar ho rahi hai.


Hazrat Nooh As un se kehte the, mazak na karo aur imaan le aao warna apni sarkashi ka maza khud chakhoge. Toofan ayega aur sab k sab doob jaoge. Magar koi aap ki baat pe dhyan na deta tha aur apki bat ko bakwas se zada nahi samjha jata tha. Bil'akhir wo waqt aa hi gaya jiska zikr Hazrat e Nooh As kiya karte the.


Tandoor se pani ka ubalna:-


Hazrat Nooh As ki biwi maqam e Masjid e Kufa par us tandoor me roti paka rahi thi jo bibi Hawwa ka tha k usme se pani ubalna shuru hua. Unhone ne jaldi se Hazrat Nooh as ko ba'khabar kiya. Hazrat Nooh as ne is andeshe se ki kahin is toofan me mai aur mere bachche bh gharq na ho jaen us tandoor k muh par bada sa patthar rakh diya aur bargah e Khuda me arz kiya,

       

    "Malik kya hum sab is me gharq ho jayenge?"


Irshad hua k,


      "Ay Nooh, maine tumhe, tumhari ahl o ayaal aur momineen ko bachane ka waada kiya hai, main unhe halaakat se bachaunga. Ab tum fauran sab ko le kar kashti me sawaar ho jao aur apne humrah sab makhlooqat ke ek ek jode le lo".

 

.

Kashti par tamam makhlooqat ka sawaar hona:-


Hazrat Nooh as us kashti me jis ke 3 tabqe aur 90khaane the khud bhi sawaar hue, bal-bachcho ko bhi sawaar kiya aur makhlooqat k jode bhi le liye, lekin Hazrat Nooh as ko sab ko sawaar karne me jo dushwari thi wo ye thi k tamam makhlooqat ko jama karna wo bhi itni ujlat k sath unke liye mushkil tha.


Lihaza bargah e Khuda Wandi me arz ki,


  Malik sari duniya se janwaro ko kaise jama karu?


Irshad hua,

   

   Main sabko bhej deta hu.


Lihaza wo sari makhlooq jiska kashti me sawaar karna maqsood tha, ek hawa k jhonke se Hazrat Nooh as tak pahonch gayi aur unhone sabko sawaar kar liya.


       Niche k tabqe me darindo aur chopaiyo ko rakha


       Darmiyani tabqe me khane pine ki chize rakhi


       Aur upar ke tabqe me insano ko thehraya


Ek riwayat me hai k dusre tabqe me hi parinde bhi the. Janwaro me choonti sab se chhoti thi uske kuchal jane ka andesha tha lihaza use baalai tabqe me rakha. Ek riwayat me hai k darraj ko bhi pehle hi tabqe me rakha gaya tha.


Ek riwayat me hai k tamam janwaro ko hidayat kar di gayi k ek dusre ko sataye nahi. Lihaza sher wa bakri sab ek sath pur aman tariqe par thehar gaye. Ek riwayat me hai k Hazrat Adam as ke us taboot ko jo shamshad ki lakdi se tayyar kiya tha. Dusre tabqe me aur ba'riwayate teesre tabqe me rakha.


Ek riwayat me hai k us waqt zameen par billi aur suwar maujud na the, isliye rawangi ke waqt wo kashti me na the.


Ek riwayat me hai k kashti me jab janwar dakhil hone lage to sab se pehle Darraj dakhil hua aur sab se aakhir me gadha sawaar hua.


Kashti me shaitan ka sawaar hona:-


Muarrikhin ka bayan hai k jab Gadha sawaar hone laga to shaitan uski dum se chimat gaya aur use apni taraf khinchne laga. Gadhe ka do paon kashti k andar tha aur do paon kashti k bahar tha. Wo darwaze me ada raha tha. To Hazrat Nooh As ne farmaya k ay shaitan jald dakhil ho aur wo dakhil ho gaya aur usi k sath shaitan bhi andar chala gaya. Shayad yahi wajah hai ki gadhe ki fitrat me adna qarar paa gaya hai. 


Ek riwayat me hai k jab kashti me janwar dakhil hone lage to bakri ne na'farmani ki jiski wajah se Hazrat Nooh as ne use jabran dakhil kiya. Isi khinch taan me uski dum toot gayi yahi wajah hai ki uski dum aaj tak chhoti hai.


Ek riwayat me hai k jab sab kashti me dakhil ho gaye to Hazrat Nooh as ne kashti k androoni nizam ka jayeza lene k liye ek chakkar lagaya to dekha k ek kone me shaitan bhi baitha hai. Aapne farmaya k ay mal'oon tu kaise kashti me dakhil ho gaya? Usne kaha k aap ne khud mujhe dawat di hai. Jab Hazrat Nooh as ne farmaya k maine to tujhe nahi bulaya. Usne kaha k jab main gadhe ki dum ko pakde hue tha us waqt aap ne farmaya tha k ay shaitan dakhil ho, isliye main dakhil ho gaya. Hukm e Khuda hua k ay Nooh isse behes na karo aur ise bhi rehne do.


Hazrat Nooh as ki nafarman biwi aur beta:- 


Jumla muarrikhin aur mohaddisin ka bayan hai aur Quran Majeed me bhi hai k Hazrat Nooh as ne kashti me logo ko sawaar karte waqt apne farzando aur biwiyo ko hukm diya k kashti me sawaar ho jao.


Is hukm ki tameel Saam, Haam, Yaafis aur unki momina biwi Amoora ne ki aur sab fauran kashti me sawaar ho gaye.


Lekin unka ek farzand jiska naam Kanaan  aur ek biwi jiska naam Daghla tha. Un dono ne puri nafarmani ke sath tameel e hukm se inkar kar diya. Jiske radd e amal me unhone bahot koshish ki k wo log kisi bhi tarah kashti me aa jaen lekin un logo ne ek na suni. Jab Hazrat Nooh As ne  apne bete Kanaan ko baa israr sawaar hone ko kaha to usne jawab diya k main nahin sawaar hone wala aur aap meri fikr na kare. Ye bade bade pahaad khade hain main in ke zariye khud ko bacha lunga. Aakhir me wo bhi us toofan me gharq ho gaya.


Hazrat Imam Jafar Sadiq As farmate hain ki,


   

       "Kanaan ne jis pahaad par bharosa kiya tha wo Koh e Najaf tha jo us waqt sab se baland pahaad tha. Farzand e Nooh as ke hawala dene se Khuda ne use raig narm bana kar shaam ki taraf uda diya. Fir us jagah dariya behne laga jiska naam "Ne" rakha gaya. Fir wo dariya khushk ho gaya, Khushk hone ko arbi me "Jaf" kehte hain. Bil'aakhir kasrat e istemaal se "Ne jaf" ke bajaye use "Najaf" kaha jane laga. Ye wahi jagah hai jahan Hazrat Adam As, Hazrat Nooh As, aur Hazrat Ali As dafn hain." 


Toofan ka aaghaz:-


Al'gharaz Hazrat Nooh As ne sabke kashti par sawaar ho jane k bad tandoor ka munh khol diya aur khud bhi kashti me sawaar ho kar us ke tamaam darwaze band kar diye aur upar se is tarah se dhank diya k kashti me ekdam andhera ho gaya.





Tandoor ka munh khulna tha k pani tezi se ubalne laga aur chunki aasman ke 7to sitare burj "Sartan" me aa gaye the jiska ta'alluk aab baraani se hai lihaza pani barasne laga aur aisa barsa k fir kabhi na barsa, andhera chha gaya aur sari duniya tareek ho gayi aur yahi silsila 40 shab o roz tak jari raha. Yahan tak k duniya ke baland tareen pahaad se 15 hath pani ooncha ho gaya aur ek riwayat k hisab se pani itna baland hua k kashti aasman ko chhune lagi aur duniya ki tamam chize doob gayi aur makhlooq khatm ho gayi.


Khaana e Kaaba:-



 Kaseer riwayaat me hai k sirf ek Khaana e Kaaba dubne se bach gaya aur isi liye ise "Bait ul Ateeq" kehte hain.


Ek riwayat me hai k pani jab Khaana e kaaba ke qareeb pahoncha tha to wahan pahonch kar usne daurah ikhtiyar kar liya tha aur wo khaana e kaaba k gird halqa bana kar aasman tak baland ho gaya tha.





    Al'gharaz kashti pani par chali aur sari sari duniya ka daura karti hui Khaana e Kaaba ke qareeb pahonchi aur uska 7 martaba "Tawaf" kar ke wahan se rawana hui.


Taarikh me hai k kashti me chunki tareeki thi aur duniya bhi sari tareek thi. Lihaza Khuda ne do noorani moti Nooh as ki darkhwast pe bheje the. Ek din me roshan hota tha aur dusra raat me roshni deta tha. Usi k zariye se din raat aur namaz ka waqt maloom ho jata tha.

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal