Alim ka martaba

 

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Ilm sikhane wale ka martaba:-


Hazrat Imam Jafar Sadiq as se riwayat hai ki,


            Jis kisi ne bhi kisi ko ilm sikhaya aur usne us par amal kiya to sikhane wale ko bhi amal karne wale ke barabar ajr milega.


Sawal:-


          Agar wo sikhne wala bhi kisi dusre ko wo ilm sikhaye to?


Imam Jafar Sadiq As ne farmaya, 


          Agar wo sikhne wala tamam insano ko bhi sikhata rahega to bhi yahi surat rahegi yani use pehle sikhane wale ko uska ajr milta rahega. Har amal ka sawab us sikhane wale ko milta rahega.


Sawal:-


         Agar pehla sikhane wala mar jaye aur dusra uski taleem logo ko yad dilaye to bhi pehle sikhane wale ko sawab milta rahega?


Imam Jafar Sadiq As ne farmaya,


         Agar pehla sikhane wala mar bhi jayega tab bhi usko un logo ke amal ka sawab milta rahega jo uske sikhe hue logo se sikhte rahenge.


Hazrat Imam Mohammad Baqir as se riwayat hai ki,


.



       Jo shakhs deen wa hidayat ke kisi baab ki taleem deta hai uska wahi ajr hai jo us par amal karne wale ka hota hai. Jabki usse amal karne wale ke ajr me koi kami nahi hogi.

        Aur jo shakhs kisi shakhs ki burai aur gumrahi ki kisi bat ki taleem deta hai to uska wahi gunah hai jo amal karne wale ka hai. Jabki amal karne wale ki saza me koi kami nahi ki jati.


Hazrat Imam Jafar Sadiq as se riwayat hai ki,


          jis ne ilm ko sikha aur us par amal bhi kiya aur fir Allah ko khush karne ya Allah se ajr hasil karne ki niyat se us ilm ko  dusro ko bhi sikhaya to usko tamam aasmano me izzat ke sath pukara gaya. Yani ki aasman ki tamam makhlooqat me use izzat aur shohrat di gayi.


Hazrat Imam Zain ul Abdeen as se riwayat hai ki,


      Khuda ne Hazrat Daniyal As par "wahi" ki k,

     

      Mera sab se bada dushman wo jahil admi hai jo ahl e ilm ke haq ko chheenta hai( yani unki azmat aur badai ko nahi batata) unki ita'at aur pairwi ko tark kar deta hai.


        Aur mera sab se zada pasandida aur mehboob aur mere sawab ka sab se zada talab karne wala wo shakhs hai jo ulama ke sath sath rehta hai aur ilm ki raah me zehmate bardasht karne wale logo ki ita'at karta hai aur ulama ki bato ki pairwi karta hai. 


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal