Hazrat Dawood ke usool par Hazrat Ali as ka ek azeem faisla
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Dawood ke usool par Hazrat Ali as ka ek azeem faisla
Ba'riwayat e kitab Man la Yahzar ul Faqih Hazrat Imam Mohammad Baqir as farmate hain ki Jadd e namwar Hazrat Ameerul Momineen as ek din masjid me dakhil hue to mulahiza farmaya k ek shakhs zaro qatar ro raha hai aur kuchh log use samjha bujha rahe hain.
Aap ne puchha k kya bat hai ?
Usne kaha k in logo k sath mera bap safar me gaya tha. Ye sab wapas aa gaye aur mera bap wapas nahi aya. Maine in se puchha to inhone kaha k wo raste me faut ho gaya hai. Maine puchha k uska maal o asbab kahan hai to inhone kaha k uske pas kuchh bhi na tha. Jab ki wo kafi paise humrah le ke gaya tha.
Aap ne kaha k tumne qazi ki taraf ruju nahi kiya?
Usne kaha k qazi e sharah ki adalat me gaya tha usne inhi logo ke haq me faisla kar diya hai.
Hazrat Ali As usko un logo samet le kar qazi e sharah ke pas pahonche aur us se kaha k tumne aise nazuk mamle me kis tarah faisla kiya?
Usne kaha k hum ne is jawan se gawah talab kiye isne kaha mere pas koi gawah nahi hai. Fir maine un logo se qasam ka kaha un logo ne qasame kha li. Isliye maine unhe chhod diya.
Hazrat Ali As ne kaha k acha is mamle ka faisla main karunga aur aisa faisla karunga k aaj tak Hazrat Dawood as ke alawah kisi ne nahi kiya.
Aap masnad e qaza par baithe aur Qambar ko hukm diya ke police ke mazbut se mazbut sipahi mere pas bula kar lao. Qambar ne tameel e hukm ki. Jab police aa gayi to aap ne ek ek shakhs ko ek ek sipahi ke hawale kar diya aur un sab ki taraf mukhatib ho kar farmaya k,
Tum kya samajhte ho k hum tumhari harkat se nawaqif hain? Hame sab kuchh malum hai. Hum halaat se jahil nahi hain.
Iske bad aapne hukm diya ke in sabke chehre kapde se band kar diye jaen aur jnhe masjid ke ek ek khambhe(pillar) ke pichhe kar diya jae. Sipahiyo ne aisa hi kiya.
Fir aapne apne katib Ubaidullah ibne Rafey ko awaz di aur kaha k qalam dawaat aur kaghaz le kar mere pas aao, jab wo aa gaya to aapne police walo se farmaya k jab main takbeer kahu to ek admi ko hazir karna.
Iske bad aapne masnad e qaza par baith kar kaseer afraad ki maujudgi me baland awaz se takbeer kahi. Un sab logo ne bhi takbeer kahi aur ek mulzim laya gaya.
Hazrat Ali As ne use apne samne bitha kar hukm diya k uska muh khol diya jae, jab muh khola gaya to aapne apne katib se farmaya k mera sawal aur iska jawab qalamband karo.
Aapne puchha k tum kis din apne ghar se iske baap ke sath rawana hue the ?
Usne jawab diya ki falan din falan mahine me.
Aapne sawal kiya k rawana ho kar kis manzil par utre?
Jawab aya falan maqaam par.
Aapne puchha kis shakhs ke makaan par?
Jawab aya falan shakhs ke makaan par.
Aapne puchha marne wale ko kaun sa marz lahaq hua tha?
Jawab aya falan marz.
Aapne puchha kitne din bimar raha?
Jawab aya itne din.
Aapne puchha kis din mara?
Jawab aya falan din.
Aapne puchha kisne ghusl diya?
Jawab aya falan shakhs ne.
Aapne puchha kisne kafan diya?
Jawab aya falan shakhs ne.
Aapne puchha kafan kis qism ka tha?
Jawab aya falan qism ka.
Aapne puchha kisne namaz padhai?
Jawab aya falan shakhs ne.
Aapne puchha kisne qabr me utara?
Jawab aya falan shakhs ne.
Iske bad Hazrat Ali as ne baland awaz me takbeer kahi aur apke sath hi tamam hazreen ne takbeer kahi. In takbeero se uske sathiyo ne samjha k usne qatl ka iqbaal kar liya hai aur hamara naam bhi bata diya hai isiliye sabne takbeer kahi hai.
Fir uska muh band kar ke use khambhe ke pichhe khada kar diya gaya aur dusre ko samne laya gaya. Hazrat Ali as ne use apne samne bithaya aur uska sar aur muh khulwa kar usse farmaya k tum kya samajhte ho k hame kuchh ilm nahi hai aur tumne iske baap ke sath jo kuchh kiya hai us se hum laa'ilm hain?
Ye sunte hi wo bola ya Ameerul Momineen haa main unhi logo me se ek hu lekin main is qatl par razi na tha aur baki wo sab razi the aur sabne mil kar qatl kiya hai.
Aapne fir teesre ko bulaya usne bhi qatl ka iqraar kiya.
Fir 4the ko bulaya usne bhi qatl ka iqraar kiya. Yahan tak k sabne iqraar kar liya ki humne qatl kiya hai aur uske maal ko bhi apas me baata hai.
Iske bad pehle ko wapas bulaya usne bhi iqraar kar liya. Fir Hazrat Ali as ne hukm sunaya aur khoon aur maal us jamaat par aayed kiya aur faisla us jawan ke haq me ho gaya.
Qazi e sharah jo us waqt waha maujud tha kehne laga ya Ali as zara ye farmaiye ke Hazrat Dawood as ne is qism ka kaun sa faisla kiya tha?
Hazrat Ali as ne irshad farmaya ki Hazrat Dawood as ek din ek raste se guzar rahe the aur raste me 3 bachche khel rahe the. Sab bachche ek bachche ko "Mat ad deen" keh kar pukar rahe the.
Hazrat Dawood as ne us bachche ko apne pas bulaya aur us se puchha k tera nam kya hai?
Usne kaha "Maat ad deen". Jiske maani hain k deen mar gaya. Hazrat Dawood as ne puchha ke tera ye nam kisne rakha hai? Usne kaha k meri maa ne rakha hai.
Hazrat Dawood as us bachche ko le kar uski maa ke pas tashrif le gaye aur usse puchha k iska naam "Maat ad deen" tumne rakha hai?
Usne kaha nahi mere shauhar ne rakha hai.
aapne puchha kis tarah?
Us aurat ne kaha k chand afraad mere shauhar ke humrah safar me gaye the. Sab wapas aa gaye lekin mera shauhar wapas nahi aya. To maine un logo se puchha k mera shauhar tumhare sath gaya tha wo kahan hai?
Un logo ne kaha k wo faut ho gaya hai.
Maine puchha ke uska maal o asbaab kahan hai ?
To un logo ne kaha k uske pas kuchh bhi na tha.
Maine puchha k kya usne marte waqt koi wasiyat ki thi?
To unhone kaha k haa ki thi usne kaha tha k meri biwi se keh dena jo ki haamila hai k jab koi ladka ya ladki tere batan se paida ho to uska naam "Maat ad deen" rakhna. Maine us wasiyat ke mutabiq is farzand ka naam rakha hai.
Hazrat Dawood as ne farmaya tum un logo ko pehchanti ho?
Usne kaha k haa bahot achi tarah se pehchanti hu.
Aapne puchha kya wo sab zinda hain?
Usne kaha k haa wo sab zinda hain.
Hazrat Dawood as uthe aur us aurat ko le kar un logo k ghar par gaye aur un logo ko giraftar kar ke majlis e qazaa me le gaye aur unka faisla bilkul isi tarah kiya jis tarah aaj maine kiya hai. Us aurat ke haq me faisla karne k bad aapne us aurat se kaha k is ladke ka naam "Maat ad deen" ke bajaye "Aash ad deen" rakh dena yani deen zinda ho gaya.
Comments
Post a Comment