Imam aur hakimo ki kisme


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Ameer ul momineen hazrat Ali as ne farmaya,


Rasool e Khuda Mohammad Mustafa sw ki wafat ke bad logo ne 3 qism ke logo ko apna wali aur sar'parast banaya:-


  1. Wo alim jo Khuda ki janib se (ilm hasil kar ke) hidayat par hai aur Allah ne use dusro ke ilm se beparwah bana diya hai yani ki use dusro se ilm hasil karne ki koi zaurat nahi hai. jaise ki Alh e Bait as
  2. Dusra wo jahil jo alim hone ka dawedar hai jab ki uske pas koi ilm nahi hai. Magar jo kuchh bhi wo janta hai us par hi ghamand karta hai. Duniya ne use dhoke me dal rakha hai aur usne duniya ko dhoke me dal rakha hai. Jaise ki Bani Umayya, Bani Abbas aur tamam zalin hukmran aur unke muqarrar kiye hue mufti aur mohaddis
  3. Teesra wo alim jo aise alim se ilm hasil karta hai jo Allah ki taraf se hidayat par hai. yani ki Allah ka muqarrar kiya hua Imam hai. 


.


Jis shakhs ne bhi alim hone ka jhootha dawa kiya wo halaak ho gaya aur jisne apni taraf se jhuthi hadise banai wo tabah o barbad hua.


Hame sirf un haqiqi ulama ko jin ki taharat ka elaan khud Khuda ne "Ayat e Tatheer" ki shakl me "Qur'an" me utara hai, apna hakim aur sar'parast banana chahiye.


Ya fir un ulama ko apna hakim manna chahiye jo Ahl e Bait se ilm hasil karte hain.


Zalim hukmrano ke muqarrar kiye hue mufti aur alim apne mafadaat ke tahat Qur'an se hadees gadhte hain aur sirf duniyawi fayda hasil karne ke liye deen ka labada odh kar logo ko dhoka dete hain. Aise ulama se ilm e deen hasil karna khud ko barbad karne jaisa hai.

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal