Shia Islamic questions and answers in Hindi
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
- Ibteda e Islam me Musalmano ko kis kis se takleef pahonchi?
3. Wo kaun se kalmaat hain jinki barkat se Allah ne Hazrat Adam As ki tauba qubul ki ?
Wo kalmaat Asma e Panjetan hain yank Mohammad sw, Ali as , Fatima sa, Hasan as, Hussain as jinki barkat se Allah ne Hazrat Adam as ki tauba qubul ki.
4. Hazrat Moosa as ka naam 'Moosa' kaise rakha gaya?
"Moosa" Kibti zaban me "Mu" aur "Sa" ke mani darakht hai. Aur wajah e tasmiya ye hai ke wo sandook jisme Hazrat Moosa as ba hukm e Khuda band kar ke dariya me dale gaye the aur behte behte wo sandook firaun ke mahel ke niche dariya kinare aa laga tha, waha ek darakht bhi tha. Darakht aur pani ke pas se baramad hone ki wajah se apka nam Moosa pad gaya.
5.Apni ghaibat me kis Nabi ne apna janasheen banaya?
Bani Israil ke dariya se chhutkara pane ke bad Khuda ne Hazrat Moosa as se wada kiya tha ke tum ek mahina Koh e Toor par aa kar raho to tumhe "Tauret" ata hogi. Hazrat Moosa as apne bhai Haroon ko apna nayeb bana kar Toor par tashrif le gaye.
6.Qaum e Moosa ka kya naam tha?
Bani Israil qaum e Moosa thi.
7.Wo kaun se Nabi the jinko duniya me badshahi mili thi aur jinke qabze me Jinn wa Ins the?
Hazrat Suleman As
8."Inna lillahe wa inna elaihe raajeoon" kalma sab se pehle islam me kiski zaban se nikla?
Jab Janab e Hamza ki shahadat ki khabar Hazrat Ali as ko mili to aapne farmaya "Inna lillahe wa inna elaihe raajeoon ". Us waqt ye Ayat nazil hui (2/156) aur ye kalma sab se pehle Hazrat Ali as ki zaban se nikla.
9. Ayyam e Tashriq se kya murad hai?
Maah e Zilhajj ki 11, 12, 13 tarikh ko ayyam e tashriq kehte hain.
10.Hajj ki kitni kisme hain?
Hajj ki 3 kisme hain:-
- Hajj e Tamattu
- Hajj e Ifraad
- Hajj e Qiran
11. Karbala ki jung kis san me hui?
Karbala ki jung San 61 Hijri me hui.
12. Duniya me sab se pehle marne wala admi kaun hai?
Duniya me sab se pehle marne wala admi Hazrat Adam as ka chhota beta Habeel tha.
13. Shia me hadees ki sab se badi kitaab kaun si mani gayi hai?
Shia me kitaab Usool e Kaafi sab se badi hadees ki kitab mani gayi jiske andar 16199 hadees hain.
14. Jung e Jamal kab khatm hui aur usme kaun kaun lade the?
Jung e Jamal J. Awwal ki 15wi ko khatm hui. Jung e Jamal Hazrat Ameerul Momineen aur Aaisha ke darmiyan Basrah ke karib hui thi.
Aaisha ke giroh me Talha aur Zubair the jabki Hazrat Ali as ke giroh me unke aur Hazrat Mohammad Mustafa sw ke wafadaar sahabi the.
15. Duniya me wo kaun aur kitne shakhs the jo sari zameen ke badshah bane?
Duniya me do momin ek Hazrat Suleman as aur dusre Sikandar(Zulqarnain)
aur do kafir ek Namrood aur dusra Bakhtansar puri duniya ke badshah bane the.
Comments
Post a Comment