Ulama e Haq ki Sifat
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Ulama e Haq ki sifat
Hazrat Imam Jafar Sadiq as ne Qur'an ki ye ayat padhi,
إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ |
yani Ulama sirf wahi hain jo Allah se darte hain.
Fir farmaya,
Haqiqi ulama wo hain jinka amal unke qaul ke mutabiq ho. Jinka amal unke qaul ki tasdeeq na kare wo alim nahi.
Yani ki jo log ilm ki bate karte hain lekin us par amal nahi karte wo asal me alim nahi hote. Kyu ki agar wo sach me apni kahi bato ko jante aur mante to un lar amal bhi karte. Aise alim bas maal o dolat hasil karne ke liye hadees aur ulama ke irshadat yad karte hain lekin na use samjhne ki koshish karte hain na amal me lane ki.
Firti hain jahalate na maloom kitni
Kandho par aba e ilm o hikmat dale
Comments
Post a Comment