Usool e Deen Furoo e Deen

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Usool e deen 

Usool e deen 5 hain,

  1. Tauheed
  2. Adl
  3. Nabuwat
  4. Imamat
  5. Qayamat



Usool e deen ka imaan wa iteqad yaqeeni daleel ke sath har baligh wa aaqil insan par wajib hai. Is mamle me kisi taqleed ya gumaan par aitamad karne ki gunjaish nahi hai.


                           Tauheed


Tauheed k maani ye hain ki Khaliq e kayenat ke wajood aur uski yaktai aur uski sifaat e sabootiya wa salbiya ka ayteqad paida kiya jaye. 


Sifaat e sabootiya:-


        Wo sifaat hain jo Khuda me paye jate hain jaise ki ilm wa qudrat wagairah...


Sifaat e salbiya:-


         Wo sifaat hain jo usme nahi paye ja sakte jaise ki jism makaan wagairah...

 

                                   Adl


Adl yani is bat ka ayteqad paida karna ki Khuda Adil hai. Na koi bura kaam karta hai na kisi ache kaam ko chhodta hai. Zulm uske qareeb aa nahi sakta aur Besat e Ambiya jaisa lutf o karam usse dur ho nahi sakta.


                              Nabuwat



Is baat ka ayteqad ki Malik e Kayenat ne apne lutf o karam se logo ki hidayat ke liye  Ambiya as bheje hain. Jin me awwal Hazrat Adam As hain aur aakhir Hazrat Mohammad Mustafa sw hain. Aap islam jaisi behtareen shariyat le kar aaye hain jisme insani zindagi ki sa'adat ki mukammal zamanat di gayi hai. Ambiya as ki tadaad 1lakh 24hazar hai.


                             Imamat


Is bat ka ayteqad ki aakhri Nabi Hazrat Mohammad Mustafa Sw ke 12 nayab hain jo hukm e Khuda se deen wa duniya ke amoor me unki nayabat ka farz anjam dete hain. Aur insani masa'el ki nigrani karte hain.


12 Imamo ke naam yun hain:-


  1. Imam Ali as
  2. Imam Hasan as
  3. Imam Hussain as
  4. Imam Zain ul Abdeen as
  5. Imam Mohammad Baqir as
  6. Imam Jafar Sadiq as
  7. Imam Musa Kazim as
  8. Imam Ali Raza as
  9. Imam Mohammad Taqi as
  10. Imam Ali Naqi as
  11. Imam Hasan Askari as
  12. Imam Mehdi as


In 12 Imamo ke sath Hazrat Mohammad Mustafa sw aur Bibi Fatima Zehra sw ko mila kar inhe 14 masoomeen kaha jata hai.

 

                             Qayamat


Is bat ka ayteqad ke Parwar Digar Alam ek din tamam murdo ko unke jism samet dobara uthayega taki unke amaal ka hisab kiya ja sake aur usi ke mutabiq sawab ya azab diya ja sake.



.



Furoo e deen:-


Ibadaat, Muamalaat, Ikhlaq, Aadab jaise tamam ehkam e shar'ii jin ki pabandi zaruri aur lazmi hai unko furoo e deen kaha jata hai.


                           Ibadaat

 

Wo amaal hain jinki adayegi me qurbat e Ilahi ki niyat zaruri hai. Jaise Namaz, Roza wagairaa...


                         Muamalaat


Wo masayel hain jin me qurbat e Ilahi ki shart nahi hai. Jaise ki tijarat, Zara'at wagairaa...


Furoo e deen ki tadaad:-


Yun to furoo e deen ki tadaad bahot zada hain lekin un me se khas khas ye hain,


      Namaz, Roza, Hajj, Zakat, Khums, Jihad, Amr bil maroof, Nahi anil munkar, Rasool wa aal e Rasool se mohabbat aur unke dushmano se bezaari.



Furoo e deen par amal 3 hi tariqe se ho sakta hai,


  1. Ijtihad
  2. Taqleed
  3. Ehtiyaat


Ijtihad Yani masayel e shariyat ki zati tehqeeq


Taqleed yani sahab e tehqeeq par aytemad 


Ehtiyat maidan e amal me aise amal ka nam hai jis se farize ki adayegi ka yaqeen paida ho jae.


Jis shakhs ki taqleed ki jae us me jin chizo ka hona zaruri hai wo ye hain,


Baloogh, Aql, Imaan, Mardangi, Ijtihad, Adalat, Halalzada hona, Aam aadmiyo se kam quwwat e hifz wa zabt ka na hona, Zinda hona. 


Murde ki ibtidayi taqleed nahi ho sakti. Ha uski taqleed par baki rehne ka imkan hai ba'shart iske ki zinda mujtahid is baat ki ijazat de ki ye bhi dar haqiqat zinda hi ki taqleed hai.


Book for refrence


Ahkam e shar'ii

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal