Imam Musa Kazim as aur ek rahib
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Imam Musa Kazim As ka ek Rahib ke sawal ka jawab dena aur uska musalman hona
Muarrikh khawind shah hirwi apni mashhoor tarikh Rauzat us Safa me tehreer farmate hain ki jis zamane me Hazrat Imam Musa Kazim as ke badshah e waqt sakht mukhalif tha aur aap apne dushmano ki wajah se poshida the. Ek din sham me ek gaon se guzar rahe the wahan dekha k bahot se admi ek pahad par chadhe ja rahe hain.
Aap unke qarib gaye aur un logo se puchha k is oahad par kya hai k tamam log is par ja rahe hain. Logo ne bataya ki is pahad par ek aise "Rahib" rehte hain jo saal me sirf ek bar hi bahar nikalte hain aur shariyat e Musa as ke mutabiq halal o haram ki taleem dete hain aur jo Isai kisi mushkil me mubtila hota hai use nijat dilate hain. Imam Musa Kazim as ne jab ye suna to aapne bhi us pahad par jane ka faisla kiya aur sab logo k sath waha chale gaye. Wahan pahoch kar aapne dekha ki ek nihayat hi zaeef shakhs ek baland maqaam par baitha hai.
Rahib ki jab nazar aap par padi usne dekha ki apke chehre se noor nikal raha hai ye dekh kar wo hairan reh gaya aur usne foran Imam Musa Kazim as se puchha aap hamare deen par hain ya nahi?
Imam Musa Kazim As ne jawab diya mai tumhare deen par nahi hu.
Fir usne kaha to kya aap deen e Mohammad sw par hain?
Imam Musa Kazim As ne farmaya haa mai deen e Mohammad sw par hu.
Rahib ne fir sawal kiya aap aalim hain ya jahil?
Imam Musa Kazim As ne jawab diya main jahil nahi hu.
Fir Rahib ne kaha aap se main sawalat karu ya aap mujh se sawalat karenge?
Imam Musa Kazim As ne farmaya ye teri marzi par hai. Tera ji chahe to sawal kar ya tu chahe to mai sawal karta hu.
Rahib ne kaha k acha fir theek hai mai kuchh sawalat karta hu
Imam Musa Kazim As ne kaha jo chahe puchh le...
Rahib ka pehla sawal:-
Usne kaha aap bhi is bat ke qayel hain aur hum bhi ye mante hain ki Jannat me ek darakht hai jise "Tooba" kehte hain.
Hum iske bare me ye kehte hain ki iski jadd khana e Isa As me hogi aur aap kehte hain ki iski jadd Hazrat Mohammad Sw aur Hazrat Ali As ke ghar me hogi aur iski shakhe Jannat ke tamam goshe me pahonchi hongi.
Aap ye bataiye k kya duniya me koi aisi misal hai jiski wajah se darakht Tooba ki is talimi sifat ka yaqeen kiya ja sake?
Imam Musa Kazim As ka jawab:-
Imam Musa Kazim as ne iske jawab me irshad farmaya k iski misaal "Aaftab" hai wo jab nikalta hai to uska noor duniya ke har goshe me pahoch jata hai.
Rahib ka dusra sawal:-
Hamara aur apka is par yaqeen hai ki Ahl e Jannan bahisht me jo kuchh khayenge piyenge usme kami nahi hogi.
Yani wo jis chiz se khate aur pite rahenge usme kami na hogi, wo kha pi lenge aur wo chiz jaisi ki taisi rahegi. Aap iski duniya me koi misaal dijiye.
Imam Musa Kazim As ka jawab:-
Iski misaal duniya me Kitab e Khuda(Quran) ki hai. Ye ek aisi kitab hai k duniya me jitne bhi Ahl e Ilm hain wo iski tilawat karte hain aur iske beshumar maani nikalte hain aur iski gehrai apne ilm ke mutabiq jante hain aur har jagah mukhtalif andaz me isse fayda uthate hain. Lekin ye Kitab e Khuda fir bhi apni jagah waisi ki waisi hi rehti hai isme koi kami nahi hoti.
Rahib ka teesra sawal:-
Hum aur aap iske qayel hain k Jannat me Ahl e Jannat khana khayenge pani piyenge lekin fir bhi peshab ya pakhana nahi karenge. Ye kaise mumkin hai?
Aap is duniya me aisi koi misal dijiye jisse is bat par yaqeen kiya ja sake.
Imam Musa Kazim As ka jawab:-
Imam Musa Kazim As ne farmaya beshak aisa shak har aam insan k dil o dimag me aata hai. Log aisa khyal karte hain ki jab khana pani khayenge piyenge to aisa kaise mumkin ho sakega?
Lekin main is shak ko isi waqt khatm kar deta hu. Iski misaal duniya me us bachche ki hai jo batan e madar me hota hai. Jise yaqeenan mukammal ghiza pahochti hai lekin wo bol wa baraz nahi karta na use hajat hoti hai.
Rahib ka chotha sawal:-
Rahib ne kaha mujhe bataiye k Jannat ki kunji sone ki hai ya chandi ki?
Imam Musa Kazim As ka jawab:-
Imam Musa Kazim As ne iske jawab me farmaya ki Jannat ki kunji na sone ki hai na chandi ki balki uski kunji hai kalma
لا إله إلا الله محمد رسول الله
Yani jo shakhs is kalme ko iski puri sharayet ke sath apni zaban se jari kare to bahisht uske liye khol di jayegi.
Rahib ka panchwa sawal:-
Rahib ne kaha k ab main ek aakhri sawal karta hu kya aap uska jawab bhi sahi denge.
Imam As ne farmaya beshak sawal karo insha Allah kai bilkul sahi aur wazeh jawab dunga.
Lekin jis tarah tumne sawal kiye aur uske jawab se mutmayeen hue to kya agar main is sawal ka bhi tasalli bakhsh jawab du to tum mere deen ko qubul karoge aur usme aa jaoge.
Rahib ne kaha haa qubul kar lunga aur aa jaunga.
Isi ahad o paiman ke bad usne sawal kiya sawal ye hai. .
Wo do bhai kaun se hain k ek hi shab me batan e madar se paida hue aur ek hi din dono ne sath hi wafat payi lekin marne ke waqt ek ki umr 200 sal aur ek ki umr 100 sal ki thi?
Imam Musa Kazim As ka jawab:-
Iske jawab me Imam as ne kaha k Sharhaya nami ek shakhs ke do bete the ek ka naam Uzair tha jo Nabi e Khuda the aur dusre ka nam azar tha.
Uzair nabi ko Khuda ne maar kar 100 sal ke bad zinda kiya tha jiska zikr Quran majeed me bhi hai.
Jab unhe maut aai thi to unki umr 50 sal ki thi aur zinda hone k bad bhi wo 50 sal mazeed zinda rahe aur unke bhai jo unke sath paida hue the wo shuru se hi is duniya me rahe.
Fir jab dono ko maut ek sath ai to jo Nabi the unki umr 100 sal thi aur dusre bhai ki umr 200 sal.
Ye sun kar Rahib ne kaha aapne bilkul durust jawab diye hain mai apke deen par imaan lata hu mai musalman hota hu aur gawahi deta hu ki Allah ek hai aur Mohammad Mustafa Sw uske Rasool hain.
Ye dekh kar us bazm ke tamam logo ne us rahib ke humrah hi islam qubul kar liya.
Comments
Post a Comment