Jannat ki zamanat (Waqiya Imam Jafar Sadiq as)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

 Jannat ki zamanat

Ali ibne Abu Hamza bayan karte hain ki mera Bani Umaiya ke drbar me mulazmat karne wale ek shakhs ke sath uthna baithna tha. Ek din wo mujhse kehne laga,

" Main Imam jafar Sadiq as se milna chahta hu tum is silsile me ijazat hasil kar lo."

Ijazat hasil karne ke bad jab main use le kar Imam Jafar Sadiq as ke pas pahocha to salam ke bad usne kaha,

" Qurban jau! main Bani Uamiya ke darbar me mulazamat kiya karta tha. Waha maine kafi miqdar me duniyawi maal o daulat hasil ki aur is silsile me maine halal o haram ko koi parwah nahi ki."

Uski ye baat sun kar Imam jafar Sadiq a ne irshad faramaya,

" Agar log unke darbar me daftari kaam kar ke maal e ghanimat jama kar ke aur unke dushmano se lad kar Bani Uamiya ka sath na dete to wo labhi bhi hamara haq ghasab nahi kar sakte the aur agar log Bani Umaiya ko usi halat me chhod dete jis par wo the to unhe mazeed kuchh maal o daulat hasil nahi hota."

Fit usne puchha,

" jo kuchh maine kiya hai kya usse nijat ka koi tarika hai?"

Imam Jafar Sadiq as ne kaha,

" Jo kuchh main tumse kahunga kya tum us par amal karoge?"

Usne kaha ji haa main amal karunga.

Imam Jafar Sadiq as ne irshad farmaya,

" Jo kuchh bhi tumne Bani Umaiya ke darbar se hasil kiya hai use ek taraf nikal kar rakh do, Fir jinka jo haq hai agar tum unhe pehchante ho to wo unke hawale kar do aur agar nahi pehchante to wo unki janib se raah e Khuda me sadqa de do taki main Khuda se tumhare liye jannat ki zamanat le lu."

Ali ibne Abu Hamza kehte hain ki fir us shakhs ne sar jhuka kar kuchh der socha aur kaha,

" Jo kuchh bhi aapne irshad farmaya hai main us par amal karunga."

Iske bad wo shakhs mere sath Kufa aa gaya aur jo kuchh bhi uske paas tha Imam ki hidayat ke mutabiq wo jinhe pehchanta tha unke hawale kar diya aur baqi maal raah e Khuda me sadqa kar diya. Yahan tak ki usne apne jism ka libas tak bhi de diya!

Yahi wajah thi k maine apne dosto se kuchh le kar uske liye ek libas kharida aur kuchh raqam kharch ke liye muhaiyya ki. Is tara chand mahine guzar gaye. Yahan tak ki wo bimar pad gaya. 

Isi bimari ki halat me ek martaba jab main uske paas pahocha to wo jaakni ki halat me tha k ek bar usne apni aankhe kholi aur kaha,

" Ayy ali ibne Abu hamza Khuda ki qasam tumhare Aaqa ne apna wada pura kar diya hai."

Ye kehte hi uska inteqal ho gaya. Fir humne uski tadfeen kar di aur jab kuchh mahine bad main Madina pahocha aur Imam Jafar Sadiq as ki khidmat me agaya to Imam as ne mujhe dekhte hi farmaya,

" Ayy Ali Khuda ki qasam maine tumhare sathi se jo waada kiya tha use pura kar diyia hai."

Ali ibne Abu Hamza ne kaha,

" Beshak! usne bhi marte waqt yahi alfaz mujh se kahe the."


Book for refrence:-

Bikhre Moti Part2

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal