सूरह कुरैश की फजीलत बताएं/ Surah Quraish ki fazilat bataye
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Surah Quraish ki fazilat:-
Surah Quraish Quran majeed ki 106 number ki Surah hai isme kul 4 ayat hain.
Surah Quraish ke mut'alliq Rasool e Khuda sw ne irshad farmaya hai ki jo shakhs bhi Surah Quraish ki tilawat karega Khuda wande alam use 10 nekiyo ke barabar sawab dega .
Imam Jafar e Sadiq as ne manqool riwayat hai ki Surah Quraish ki ba'kasrat tilawat karne wale shakhs ko Khuda wande alam ba'roz e qayamat is tarah rakhega ki wo ek bahishti sawari par sawar hoga, yahan tak ki noor ke dastarkhwan par ja baithega.
Deegar riwayat me ye bhi aaya hai ki Surah Quraish dil ki bimariyo aur ghiza ke zahrile asraat ko door karta hai.
Comments
Post a Comment