Chor sufi aur mamoon

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

 Chor sufi aur mamoon

Mohammad ibne sinan bayan karte hain,

Main Khurasan me apne Maula Imam Ali Raza as ki khidmat me tha aur Mamoon ne aapko apni dayi janib bithaya hua tha.

Ittefaqan usi waqt Mamoon ko khabar di gayi ki ek sufi ne chori ki hai. Mamoon ne use apne darbar me talab kiya.Usne dekha ki wo nek aur muattaqi logo ka libas pehne hue hai aaaaaaaaur peshani par sajde ka nishan hai.

.

Mamoon ne kaha,

" Afsos! itni achi surat shakal aur is par chori jaisa bura kaam!"

Sufi ne kaha,

" Maine ye kaam majburan kiya hai. Ye amal isliye mujh se sarad hua kyuki tune khums aur maal e ghanimat me se mujhe mera haq nahi diya."

Mamoon ne kaha,

"Tumhara khums aur maal e ghanimat me kya haq hai?"

Sufi ne bataya'

" Khuda ne khums ke 6 hisse karte hue Surah Anfal ki 41wi ayat me irshaad farmaya hai ki,

" Aur jaan lo jo kuchh tum ghanimat lo uska 5wa hissa makhsoos hai Khuda, Rasool sw, Rasool ke qarabat daro, yatimo, miskeeno, aur pardesiyo ke liye."

Aur Surah Hashr ki 7wi ayat me maal e ghanimat ko taqseem karne ke silsile me irshad e Rabbul Izzat hai ki,

" Khuda ne apne rasool sw ko dehaat walo se be laade jo jo maal dilwaya hai wo khas hai Khuda, Rasool sw, Rasool sw ke qarabatdaro , yateemo, mohtajo, aur pardesiyo ke liye."

In dono ayato ki daleel qayam karne ke bad us sufi ne mazeed kaha,

" Ab tune mujhe pardes me dauran e safar be'sahara aur tangdast ho jane je bawajood mere haq se mehroom rakha hai!"


.

Mamoon ne kaha,

" Kya main tumhare is manghadat afsane ko sun kar hukm e Khuda nafiz na karu aur is tarah Allah tala ki qayam kardah hadd e sharyi tum par jari na ki jaye?"

Sufi ne kaha,

" Sabse pehle tum khud par Hukm e Khuda nafiz karo! Aur apne upar hadd e sharyi jari kar ke khud ko gunaho se paak karo. Iske baad dusro par hadd e sharyi jari karne ka hukm do."

Ye daleel sun kar Mamoon ka sar sharm se jhuk gaya aur wo Imam ALi Raza as se bola,

" Aap is silsile me kya bayan karte hain?"

Imam Ali Raza as ne farmaya,

" Is aadmi ka kehna hai ki chunki tumne chori ki hai lihaza isne bhi chori ki hai."

Mamoon ye baat sun kar sakht barham hua aur jhunjhla kar us sufi se kehne laga,

" Khuda ki qasam main tumhara hath zaroor katunga."

Sufi ne kaha,

" Bhala tum kaise mera hath katoge jabki tum mere ghulam ho."

Mamoon taish me aa kar bola,

" Hairat hai tujh par! Bhala main kaise tera ghulam hu?"

Sufi ne jawab diya,

" Tumhari maa ko baitul maal se kharida gaya tha aur baitul maal par tamam musalmano ka haq hota hai. Lihaza is aitbar se tum mashrik se le kar maghrib tak tamam musalmano ke tb tak ghulam rahoge jab tak wo tumhe azad na kar de. Aur maine abhi tumhe azad nahi kiya hai. iske alawa tumne khums ka maal nahaq khaya hai. na to tumne aal e Rasool sw ka haq ada kiya hai aur na hi mera aur mujh jaise dusre logo ka. Aur kya tumhe nahi maloom ki koi najis aur aaloda shakhs kisi ki najasat aur aalodgi ko us waqt tak door nahi kar sakta jab tak apni aalodgi ko door na kare. wo shakhs jo khud hadd e sharyi ka sazadar ho bhala wo kaise kisi aur par hadd jari kar sakta hai? Ha ye ho sakta hai ki wo is chiz ki shuruwat khud se kare! Kya tumne nahi suna hai ki Khuda ne Surah Baqrah ki 44wi ayat me irshad farmaya hai ki,

" Tum logo ko neki ka hukm dete ho aur khud apne aapko bhulaye baithe ho, halanki tum kitab e Khuda ki tilawat karte ho."

.

Ye sun kar Mamoon ne Imam Ali Raza as se poochha is shakhs ke bare me apki kya raaye hai?

Imam Ali Raza as ne farmaya,

"  Khuda ne Mohammad Mustafa sw se farmaya hai Khuda ke liye Hujjat e Baligha hai. Hujjat e Baligha wo hujjat hai ki agar koi is tarah ka kaam padha likha aur nadaan shakhs bhi ise qayam kare to tujh jaise dana shakhs ko ise ise samajh lena chahiye aur maan lena chahiye. Duniya aur aakhirat isi daleel par qayam hai aur ab is shakhs ne tumhare khilaf ye daleel pesh kar di hai."

Imam Ali Raza as ki baat Mamoon ke dil ko lagi aur aakhirkar usne ye hukm de hi diya ki sufi ko riha kar diya jaye aur logo ke samne sharminda ho ke reh gaya. Lekin i waqiye ke baad mamoon ka dil Imam Ali Raza as ki taraf se khatta ho gaya tha aur usne Imam as ko apne rste se hatane ka ahad kar liya tha. Aur aakhirkar ek roz usne Imam Ali raza as ko zaher de kar shaheed kar diya.


Book for refrence:-

Bikhre Moti part2


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal