Baitul maal ki taqseem ke chand waqeyat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Baitul maal ki taqseem ke chand waqeyat 


Thandak ka libas:-


Haroon bin antarah apne baap se naql karta hai ke ek din main Hazrat Ali as ke khidmat me hazir hua, thandak ka mausam tha. Hazrat Ali as ek mamooli sa kambal odhe baithe hue the aur thandak ki shiddat se kanp rahe the maine arz kiya ke maula baitul maal me sabka haq hai, aap baitul maal se koi garm kapda kyun nahi le lete?


Aapne uske jawab me farmaya ayy Antarah ye kambal bhi maine baitul maal se nahi liya balki ye meri zaati milkiyat hai jise main Madine se le kar aya tha.



Kal ke bare me kise maloom:-


Hilal bin muslim naql karte hain k ek din asr ke waqt kuchh maal aya. Imam as ke sahabi ne usko baitul maal me rakh diya, Imam Ali as ne farmaya ke isko taqseem kar do.

Apke sahabi ne kaha Maula raat ho rahi hai kal tak ke liye intezar kar lijiye taqseem kar diya jayega.

Imam Ali as ne farmaya k kise maloom ki kal kaun zinda rahega? Mumkin hai jiska haq ho wo aaj rat hi mar jaye ya main mar jaun aur haq ko haqdar tak na pahocha saku.

Iske baad shama layi gayi aur raat hi me maal taqseem kar diya gaya.


.

Duniya ka sabse behtareen insan:-


Shabi bayan karta hai


Ek din main kufe ke bazar me gaya, wahan par dekha k ek taraf maidan me Hazrat Ali as khade hue hain aur unke samne sona aur chandi ka dher laga hua hai. Aapne mustahqeen ko bulaya aur logo me sara maal bant diya, lekin aapne khud kuchh nahi liya.


Shabi kehta hai main apne baap ke pas aya aur kaha,


Aaj maine ya to duniya ke sabse behtareen insan ko dekha hai ya to sabse nadaan insan ko dekha hai. Baap ne majra puchha usne sab kuchh bata diya to uska baap rone laga aur kaha k ay mere farzand tune aaj duniya ke sabse behtareen insan ko dekha hai wo musalmano ke khalifa Hazrat Ali as hain.


Arab aur Ajam sab barabar:-


Ek din do aurto ne Imam Ali as se aa kar fiqr o faqa ki shikayat ki. Aapne kisi shakhs ko bazaar bheja, taki unke liye libas aur ghiza waghairah kharid laye. Iske bad aapne un dono ko 100 100 dirham bhi diye.


Is baat par ek ne aitraz kiya ke Maula mai to Arab ki hu aur ye Ajmi hai. Aapne hamare sath ye kaisa salook kiya hai k is Ajmi ko maal me mere barabar qarar diya hai, halanki ye hum se afzal nahi hai. 


Imam Ali as ne farmaya, 


Maine Quran paak ko padha aur usme khoob ghaur aur fikr kiya, lekin maine  usme kahin bhi nahi dekha ki ek baal ke barabar bhi Ismail as aur Ishaq as ki aulad me farq rakha gaya ho aur ek par dusre ko bartari di gayi ho. Yani meri adalat ka taqaza hai ki tum dono insan ho aur baitul maal me tum dono ka hissa barabar hai.


Umme Hani bhi barabar ki haqdaar:-


Ek martaba apki behen Umme Hani ne aap se atiya daryaft kiya. Imam Ali as ne unko 20 dirham diye. Iske bad unki kaneez ne bhi atiya manga to aapne use bhi 20 dirham ata kiye jab ki wo Ajmi thi.


Jab Umme Hani ko ye baat maloom hui to unhone Imam Ali as se shikayat ki, to us waqt Imam Ali as ne farmaya,


Ayy Umme Hani tum baitul maal me sabke barabar ho, baitul maal me tumhara zada hissa nahi hai. Yani ke Arbi ya Ajmi hone me koi farq nahi hai isliye ke maine Quran Majeed me Arab aur Ajam me kisi kism ki bartari nahi dekhi hai.


Imam Ali as ne ek dusre maqam par farmaya,


Hazrat Adam as na to duniya me ghulam the aur na hi Hazrat Hawwa sw kaneez ban kar aai thi, Khuda ke sare bande azad hain aur mere paas jo bhi maal hai main usko logo me barabar taqseem karunga isme siyah aur safed ka farq nahi rakhunga.



Books for refrence:-
Wasail us Shia
Al Kamil Fi Tareekh
Tareekh e Yaqoobi
Ansab al Ashraf


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal