Hasad karne wala chief justice
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hasad karne wala chief justice
Imam Mohammad Taqi as ke zamane me runuma hone wala ye waqiya tawajjoh se sunne ke qabil hai
Is zamane me mutawakkil Abbasi ka chief justice Abu Laila khilafat ke tamam qanooni amoor jo ki islami kehlate the anjam diya karta tha
Ek din chief justice jab apne dukandar padosi dost Zarqa ke ghar aya to khasa pareshan tha. Zarqa ne poocha,
Chief Justice sahab aap itne pareshan kyu hain?
Chief Justice ne kaha,
Kya tum sun sakoge ke aaj Khalifa ke darbar me mujh par kitni badi musibat tuti hai?
Ek chor ko laya gaya uska jurm sabit ho chuka tha aur ab had jari karne ka mamla tha. Mujhse Khalifa ne poochha k iska hath kahan se kata jaye?
Maine kaha k
Quran Majeed me Khuda Wande Alam irshad farmata hai ki chor ka hath kaat dalo.
Aur wazu ka hukm bayan karne wali Ayat me hai ki kohniyo se le kar pura hath dhona chahiye.
Lihaza maloom hua ke iska hath kohniyo se kata jayega.
Khalifa ne darbar me maujud dusre judge se poocha to unhone kaha
Chor ka hath kalai se kata jayega kyuki Parwardigar Alam ne tameem ka hukm bayan karne wali Ayat me hath se murad kalai tak farmaya hai.
Fir Khalifa ne shia ke Imam Mohammad Taqi as se poocha to unhone farmaya
Dusre apni raaye de chuke hain.
Khalifa ke israar karne par majburan Imam Mohammad Taqi as ne farmaya
Chor ki ungliya kati jayen kyuki Khuda Wande Alam farmata hai ki
Masajid Khuda ke liye hain.
Masajid se masjid ki jama hai aur usse murad wo aaza hain jo sajde ki halat me zameen par rakhe jate hain.
Lihaza ye chor bhi jab namaz padhega to use bhi sajde ki halat me zameen par 7to azaa rakhne honge yani ki dono hatho ki hatheliya bhi rakhni hongi. Lihaza asraaf iski ungliya hi kati jayengi.
Jab shia ke Imam Mohammad Taqi as ne ye baat kahi to Khalifa ne kaha bahot khoob shabash!
Aur fauran hi ye hukm diya k Imam as ke bataye hue farman par amal kiya jaye. Aur fir chor ke hath ki ungliya kaat di gayi.
To ayy Zarqa tum khud andaza kar sakte ho k meri kya halat hui hogi jab us 25 saala jawan ko mujh par foqiyat di gayi hogi.
Zahir hai isi baat se main behad pareshan hu aur jab tak apna inteqam nahi le leta chain se nahi baithunga. Halanki main janta hu ki jo shakhs bhi is jawan ke qatl me shareek hoga wo aatish e jahannam me dal diya jayega. Fir bhi jab tak wo qatl na ho jaye main use nahi chhodunga.
Zarqa kehte hain k maine use nasihat ki lekin usne use qubool karne se inkar kar diya.
Darhaqiqat Abu Laila Chief Justice hasad ki aag me jal raha tha. Dusre hi din wo Khalifa ke pas pahocha aur kehne laga,
Jante ho kal tumne kya kiya hai?
Wo shakhs jise musalman ki achhi khasi tadaad apna Imam as samajhti hai aur use Paighambar e Akram sw ka janasheen manti hai aur tujhe baatil aur ghalat kehti hai. Aapne bajaye usko girane aur mitane ke mazeed numaya aur mazboot kar diya. Wo log jo kehte hain k wo haq par hain ab kahenge ki dekha khud Khalifa ne bhi isi baat ka aitraaf kar liya hai aur dusro ke nazariyat par uske nazariye ko muqaddam kar diya. Zara sochiye ke ye aapne kitni badi siyasi galti ki hai.
Mukhtasar ye ki Abu Laila ne Khalifa ke kaan is qadr bhare ke wo Imam Mohammad Taqi as ke qatl par aamada hi gaya aur aakhirkar Imam as ko zaher de diya.
Comments
Post a Comment