Ek sharabkhor (Hazrat Ali as ke faisle)
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Ek Sharabkhor
Ek martaba ek shakhs ko darbar e khilafat me hazir kiya gaya k is shakhs ne sharab pi hai is par had jaari ki jaye. Abu bakar ne had jari karne ka hukm de diya.
Is shakhs ne kaha theek hai maine sharab pi hai lekin main sharab ke haram hone ko nahi janta tha aur jis gharane me meri parwarish hui hai wahan log isko jayez samajhte hain aur aaj tak mujhe hurmat e sharab ka hukm nahi maloom tha.
Abu bakar ne jab ye sab suna to pareshan hue aur sochne lage ab kya hukm laya jaye. Darbari ulama se se poochha gaya sab lajawab ho gaye.
Bil'aakhir Hazrat Ali as ko bulaya gaya. Aap aaye aur sara masla aapke samne rakha gaya. Aapne hukm diya k is aadmi ko do aadmi le kar muhajir wa ansar ke pas le jaye aur maloom kiya jaye k kya kisi ne ise hurmat e sharab ke bare me bataya hai ya nahi? Hurmat e sharab wali Ayat sunai hai ya nahi?
Agar do gawah mil jaye to had jari ki jaye agar na mile to chhod diya jaye. Do afrad use le kar chale, magar kisi ne gawahi nahi di aur use chhod diya gaya.
Hazrat Ali as ne farmaya k ab tauba karo aur aainda sharab ho hath lagay to ab had jari hogi isliye k ab hukm se tum waqif ho gaye ho.
Books for refrence:-
Usool e Kafi
Al Irshad Shaikh Mufeed
Manaqib Ali ibn Abi Talib.
Comments
Post a Comment