Hazrat Adam as
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Adam As
Hazrat Adam as ke jism ki tameer:-
Muarrikhin ka bayan hai ki jab zameen par hukumato ke mukhtalif daur guzar chuke aur aakhir me jinn aut nasnaas ko khatm karne ke bad azazeel ba'riwayat e Tabri e1000 saal hukumat kar ke ananiyat me mubtila ho kar apna bhanda fod baitha to Khaliq e Kayenat ne apne farishto ko mukhatib kar ke kaha,
"Ab main apna khalifa apnee hatho se bana kar zameen par bhejunga aur use aisa qarar dunga ki usi ki nasl se Aimma, Rasool aur Ambiya paida honge aur uski beshumar aulad hongi. Main usi ke zariye se nasl dar nasl nizam e arzi ko chalaunga aur jinn aur nasnaas ko satah e arz se utha kar hawa aur faza me faila dunga. Aur jinn aur Adam ki aulad ke darmiyan ek aisa parda jo unhe nazar nawaz bhi na hone dega .Khaliq e kayenat ke is elaan ko sunne ke bad farishto ne apna sar isliye tasleem kar liya kyu ki wo jante the ki jo bhi Khaliq karega wo behtar karega aur jise banayega wo beshaq humse behtar hi hoga.
Lekin kuchh farishto ne jinki tadad Allama Nematullah jazayri 2 hi thi ne jinn aur nasnaas aur deegar makhlooqat e arzi ke kirdar ki roshni me jise wo achi tarah se dekh chuke the ye arz karne ki jurrat kik,
" Ayy palne wale kya ab tu fir zameen par aisi makhlooq ki buniyad qayam farmayega jo misl e sabiq fasad karne wali aur qatl karne wali aur nafarmani aur sarkashi karne wali ho?" Malik ye hamari ghuzarish hai k khilfat e arzi hamare hi supurd farma de. Kyuki tu dekh raha hai ki hum teri ata'at wa farmabardarikis tarah karte hain.
Ye sun kar Khaliq e Kayenat ne pehle to ye farmaya k jo main janta hu tum nahi jante. Fir irshad kiya tumhara moallim aur tumhe taleem dene wala jo apne dil mr chhupaye hain usse achi tarah waqif hu. Ye sun kar farsihto ne maafi mangi.
Allama Majlisi ba'hawaa e Imam Mohammad Baqar as tahreer farmate hain ki farishto ne bhale hi ye sawal ta'ajjub ke taur par kiya tha aur uske bad fauran maafi bhi mang li thi par mazaj e Qudrat ne ise bardasht nahi kiya aur un farishto ko apni bargah se 500 meel door bhej diya.
Aur fir Jibrael ko hukm diya kr zameen par ja kar ek mutthi mitti lao. Meraj e nabuwat me hai k Jibrael ko bhejne se pehle Khuda ne zameen ko mukhatib kar ke kaha ke main tere ajzaa se ek banda khalq karna chahta hu jiski nasal me farmabardar aur gunahgar dono honge. Jo farmabardar honge unhe jannat me bhejunga aur jo nafarman honge unhe jahannam me.
Zameen ne ye sun kar arz ki mere malik jahan tak mujh se bane hue bande ki nasl me farmabardaro ka ta'alluk hai main usse bahot khush hu lekin ye malum kar ke mujhe sakht ranj hai is bande ki nasl se nafarman bhi honge aur unhe jahannamme bheja jayega. Zameen ne ye keh kar rona shuru kar diya.
Khaliq e Alam ne Jibreel ko hukm diya ki zameen par jao aur uske mukhtalf hisso se mukhtalif qism ki mitti le aao. Janab e Jibrael ba'hukm e rabb e jaleel aaasman se rawana ho kar zameen par pahoche aur unhone chaha ki hukm ki tameel kare , lekin zameen tharthara uthi aur giriya o zari karte hue arz karne lagi,
" Ayy Khuda ke bheje hue farishte mujhe ye baat sakht nagawar aur mere liye sakht taklif ka sabab hai ki mujh se bane hue bande ki nasl jahannam me jayegi. Isliye main darkhwast karti hu ke tu mitti le jane se baaz aa ja aur bargah e Ahdiyat me meri fariyad pahocha de."
Zameen ne kuchh is dard se fariyad ki k jana Jibreel uthe aur dobara bargah e Khuda me aa gaye aur bargah e Ahdiyat me zameen ki darkhwast pesh kar di.
Khitab hua ki,
" Ayy Jibreel tum khali hath wapas aa gaye?"
Janab Jibreel ne arz ki,
"Ay mere malik tere rahem o karam pe yaqeen rakh kar ke zameen ki fariyad pahochane aaya hu."
Jibreel as ke is tarah wapas ane ke bad Khuda ne Mikael ko hukm diya ke tum jao aur mitti lao. Janab Mikael zameen par pahoche to zameen ne fir fariyad ki aur wo bhi Jibrael as ki tarah wapas aa gaye. Jibreel aur Mikail ne isliye zameen ki fariyad sun li thi kyuki usne unhe zaat e Zul jalal ki qasam di thi. tabri me hai ki jis zameen ne farishti se fariyad ki thi wo zameen Khana e Kaba ki thi.
Iske baad Khuda Wande Alam ne Izrail ko hukm diya ke jao aur mitti le aao. Izrail ke pahochte hi zameen ne ek bar fir fariyad ki lekin unhone kaha main mitti le jaunga aur zarur le jaunga behtar hoga ki tu apni fariyad ka silsila band kar de kyuki mere nazdeek hukm e Khuda ki tameel hi sabse aham hai. mere upar teri fariyad ka koi asar nahi pad sakta keh kar Izrail ne zameen ke mukhtalif hisso se mitti le li.
Izrail ne narm aur sakht, sahal aur jabal, nasheb aur faraz har jagah se mitti li aur iska bhi hukm ke mutabiq khyal rakha ki mitti mukhtalif rang ki ho. Isliye unhone surkh, siyah, neem surkh, safed, kabood aur gandumi rang ki mitti hasil ki kuchh miti shoriyat wali thi aur kuchh me shoriyat nahi thi.
Ek riwayat me hai ki Adam ki ajza e khususi ke liye makhsoos maqam ki mitti layi gayi. Jaise ki sar ke liye maqam e kaba ki mitti, gardan ke liye Baitul Muqaddas ki mitti, hath aur paon ke liye mashrik aur maghrib ki mitti.
Ek riwayat me Imam Jafar e sadiq as se manqool hai ki jab Izrail zameen ke mukhtalif hisso se mukhtalif qism aur muktalif rang ki mitti la chuke to Khuda Wande Alam ne Juma ki awwal sa'at me Jibareel ko hukm diya ki 7we aasman se le kar aasman e awwal tak ki mitti se ek ek mutthi le aao aur zameen e haftam se zameen e baala tak mitti se ek ek mutthi mitti le aao aur fir sabko mila do. Aur fir Jibreel as ne aisa hi kiya.
.Ye mitti jo aasman se layi gayi thi Khuda ne isse Rasool, Nabi, Aimma, Ausiya, Siddiqeen, Shohda, Saleheen, Momineen khususi aur Sa'adatmand logo ki paidaish ki buniyad qayam ki aur makhsus qism ki mitti jo zameen ke makhsus tabqe se layi gayi th usse kuchh khas qism ke Bani Adam paida karne ka bandobast kiya gaya.
Mukhtasar ye ki mitti jo Hazrat Adam as ki tameer ke liye jama hui thi us par Behrala e hazan se jo ki zer e arsh ek dariya hai 40 din ya 40 saal lagatar barish hoti. isle baad uska khameer kiya gaya. Jab mitti achi tarah tayyar ho gayi to usme khushki paida ki gayi aur Adam as ka putla banaya gaya. Sabse pehle sar aankh, reedh ki haddi banai gayi fir chehra tayyar kiya gaya.
Muarrikhin ka bayan hai ki jab Adam as ka putla tayyar ho gaya to Khuda wande alam ne un 4 malak ke zariye jo baad e shimal, baad e junub, baad e saba, baad e dabur par mowakkil the Adam as ke jism me soda, sifra, balgham, khoon rago ki tameer ke bad jari kiya. Inhi ikhtilat e arba se khwahishat ki buniyad padi.
Sroohoda ka ta'alluk aurto aur bachcho ki mohabbat, khwahishat e duniya au hirs se hai.
Sifra ka ta'alluk khane pine ki khwahish aur mohabbat, hasool e neki, narm rawi waghairah se hai.
Khoon ka ta'alluk aurto se mohabbat aur unki taraf jinsi jhukao se hai.
Fir Khaliq e alam ne Jibreel ko hukm diya ki 4 tarah ka pani lao.
1. Sheerin pani
2. Namkeen pani
3. Kadwa pani
4. Gandla pani
Jab Jibreel pani le aaye to unhe hukm diya ki sheerin pani ko Adam as ki halq me dalo taki use aur uski aulado ko khane pine ki lazzta hasil ho sake.
Namkeen pani ko aankh me tapkao taki aankh quwaat hasil kar sake aur wo kharab na ho.
Kadwa pani kaan me dalo taki hashratul arz yani keede makode kaan me dakhil na ho sake.
aur gandla pani naak me dalo taki naak me jo bhi gahri munasib cheez dakhil ho wo isi me jazb ho ke reh jaye.
Malaika ko Hazrat Adam as ka sajda karne ka hukm:-
Hazrat Adam as ke jism ki tameer ke baad Khaliq e Kayenat ne Noor e Mohammadi ko jo ki 14 anwaar ka majmua tha salb e Adam me dakhil karne ke bad farishto ko mukhatib kar ke farmaya,
" Ayy mere Malaika suno jis waqt main is kalbad Adam me rooh foonk du tum bila takheer sajde ke liye apni peshani iske aage rakh dena.
.Kalbad Adam as me rooh :-
Jism ki tameer ke ek arse baad tak hazrat Adam as ka jism yuhi pada raha aur ek din Khuda Wande Alam ne Hazrat Adam as ke jisme me rooh foonk di aur iski shurwat sar se ki gayi. Rooh jab aankho tak pahochi aur beenai aai tp arsh ki taraf nigah uthi dekha ki kuchh noorani shabah chamak rahe hain ye dekh kar aankhe khul gayi aur hairan reh gaye. Rooh aage badhi aur kaano tak pahochi to tasbeeh ki awaz sunne lage fir naak tak pahochi to fauran chhink aai ilham hua k Alhamdulillah kaho. Hazrat Adam as ne Alhamdullilah kaha, ya raham'kallah se jawab mila.
Ek riwayat me hai ki jab Adam as ke seene ya kamar tak rooh pahochi to unhone uthne ki koshish ki. Is ujlat par kaha gaya jaldi mat karo. isi ujlat ki wajah se insan me jaldbazi payi jati hai.
Jab Hazrat Adam as ke jism me rooh foonk di gayi tamam farsihte yahan tak ke wo farishte bhi jinhe 500 meel door bhej diya gaya tha hukm e Khuda Wandi ke mutabiq us noor ki tazeem ke liye jo Hazrat Adam as ke salb me tha unke samne sajde me jhuk gaye.
Sirf shaitan ne sajda nahi kiya. Uske dil me jo baat chhupi hui thi wo zahir ho gayi. Khuda Wande ALam ne farmaya tune mere hukm ki tameel kyu nahi ki tune Adam ko sajda kyu nahi kiya? Kya tu khud ko Mohammad sw jaisa samjhta hai?
Shaitan ne kaha ye baat nahi hai. Baat sirf itni si hai ki tune ise mitti se banaya haiaur mujhe aag se paida kiya hai to isliye main isse behtar hu. Aur jab main isse behtar hu to fir main ise sajda kyu karu? Shaitan ke is jawab par Khuda ne use mardood kar diya aur sabse pehle use apni rehmat se door kar diya aur apni inayat se mehroom kar diya, libas e jannat usse chhina aur husn se mehroom kar ke badsurti de di aur uski shakl darawni bana di fir aasman se utar kar zameen par feka aur hukm nafiz kar diya ki ye aabadi me na rehne paye aur samandaro ke jazeere me panah le. Shaitan ne arz kiya ki malik maine hamesha teri ita'at aur ibadat ki hai aur ab sirf ek sajda na karne se mere upar itna bada azab? Fir bhi meri tujh se ek iltija hai mujhe qayamat tak ki zindagi de de. Irashad hua ja de di. Iske bad shaitan ne kaha fir meri ek baat aur sun le ki mere sath jo kuchh hua hai isi Adam as ki wajah se hua hai ab mujh se jo ho sakega iske sath karunga aur iski aulad ke sath bhi. iski aulad ko behkar kar sirat e mustaqeem se hata dunga. Khuda ne kaha main Adam ki aulad ko aql dunga aur use ache bure ki tamiz sikhaunga. iske baad bhi agar unhone teri pairwi ki to main jahannam ko unse bhar dunga.
Iske bad Adam as ko hukm diya ki un farishto ko ja kar is tarah salam karo
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
Hazrat Adam as ne sab farishto ko shukriya ke taur pe salam kiya aur unhone
وَعَلَيْكُمُ ٱلسَّلَامُ وَرَحْمَةُ ٱللَّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
se jawab diya.
Fir Khuda ne Adam se farmaya ke ye salam ka tariqa tum me aur tumhari nasl me qayamat tak jari rahega.
Comments
Post a Comment