Hazrat Ali as ka Malik e Ashtar se dard e dil bayan karna
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Ali as ka Malik e Ashtar se dard e dil bayan karna
Malik e Ashtar jo Hazrat Ali as ke mukhlis, chahne wale aur raazdar the, ek din aapki khidmat me aye to Maula ne kaha,
"Ay Malik, dekho jin logo ne hamari bayat ki thi wo log hum se door ho gaye, hamari bayat tod kar Muawiyah ke sath ho gaye."
Jab Malik ne Hazrat Ali as ka dard e dil suna to kaha Aaqa hum kya kar sakte hain? Humne ahl e Kufa wa Basrah ke sath mil kar jung ki us waqt tak ye log hamare hum khyal the aur bad me yahi log hamare dushman ho gaye.
Chunki aapne unke sath adl o insaf se kaam liya aur unko kisi tarah ka imtiyaz na diya lihaza jo log pehle aapke sath the ab wahi log aapke aadilana rawayye ko dekh kar aap se door ho gaye. Ye log duniyadar ho gaye aur bahot kam hi log aise hain jo duniya talab karne ki lalach me nahi rehte. Agar khud Aap hi maslehat samajh kar baitul maal ka darwaza in logo par khol de to in logo ki gardane aapki taraf jhuk jayengi aur aapki dosti ka dum bharne lagenge aur dushmano ke khilaf ho jayenge.
Hazrat Ali as ne jab ye baate suni to ek sard aah bhari aur kaha ayy Malik,
Sari tarife Khuda ke liye hain aur Mohammad sw aur Aal e Mohammad sw par durood o salam ho, tumne jo meri adalat ke silsile me kaha suno Quran is silsile me kya kehta hai...
"Jo nek amal karega apne liye karega aur jo burai ki taraf jayega apne liye jayega yani wo neki aur badi ka khud zimmedar hai aur Khuda Wande Alam to apne bando par zulm karta hi nahi hai."
Yani Maula e Kayenat ye farmana chahte hain ki agar main adl se pesh na aau to jo tum keh rahe ho wo zada khatarnak hai yani adl ka daman chhod kar main zulm ko ikhtiyar kar lu, ye Ali as se hargiz nahi ho sakta.
Ayy Malik mujh se zulm mumkin nahi hai aur tumne jo kaha hai ki adl ke qayam karne me hamara rawayya bahot sakht hai aur log isiliye humse door ho rahe hain ye to hona hi tha. Isliye ke hum adl ka sath nahi chhod sakte aur ye log Adalat e Ilahi aur Adalat e Alvi ko bardasht nahi kar sakte.
Ayy Malik jo tum ye kehte ho ki main baitul maal ka darwaza khol du taki log mere sath ho jaen aur mera sath de to is silsile me farman e Khuda kuchh yu hai..
Aksar chhote chhote giroh bade giroh par izn e Khuda se ghalib aa jate hain.
Surah Baqrah
Khuda ne Mohammad Mustafa sw ko maboos kiya jabki sara Arab mukhalif tha lekin na to Rasool e Khuda sw ne paise de kar apne haami banaye aur na main aisa karunga. Hamara behtareen madadgar Khuda hai aur hum usi par bharosa karte hain.
Ayy Malik jo kuchh tumne kaha agar un bato me Khuda ki raza shamil ho gayi to main zaroor karunga isliye k tum mere liye aise hi ho jaise Rasool e Khuda sw ke liye main tha. Tum meri nazar me ameen aur mohtram tareen afrad me se ho.
Imam Ali as Malik e Ashtar ko kitna azeem samajhte the iska andaza aap is misaal se laga sakte hain...
Jab aapko Misr ki janib bheja ja raha tha to Misr walo ko khatt likha aur kaha k ayy Misr walo maine tumhari taraf Allah ki shamsheero me se ek shamsheer bheji hai jo na to zarb se rukne wali hai ma kund hone wali hai. Aur jab Imam as ko unki shahadat ki khabar mili to Imam Ali as ne giriya karte hue farmaya k ayy Malik tere jaise shakhs par rone wali aurato ko rona chahiye k ab Malik ki misl kahan?
Ab agar hum Malik e Ashtar se bayan kiye gaye Imam as ke dard e dil par ghaur kare to ye mehsoos ho jayega ki Ali as ko ummat ke munharif hone ka kitna dard tha. Isliye nahi k log aapka sath chhod rahe the balki isliye ke wo log gumrah ho gaye the aur Hazrat Ali as jo ki ummat ke baap hain wo ye kaise bardasht kar sakte the.
Comments
Post a Comment