Hazrat Ali as ke naam par qarz
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Kitab Kalma Tayyab me hai ke Ibrahim ibn Mehran bayan karte hain ki
Kufe me ek mere pados me ek shakhs rehta tha jiska nam Abu Jafar tha. Wo bade ache akhlaq ka malik tha aur logo ke sath bade ache salook se pesh ata tha.
Jab koi Alvi Sayyed uske pas aa kar koi khwahish karta to wo uski farmaish puri kar deta tha. ye raqam wo sehme saadat se ada karta tha aur agar sadaat ka ye hissa na hota tha to wo apne ghulam se kehta
Ye raqam Ali ibn e Abi Talib ke naam ba'taur e qarz likh lo.
Isi tarah kafi arsa guzar gaya aur abu jafar tangdast aur pareshan haal ho gaya. ab ye tanha apne ghar me baitha hua dikhai deta tha. apni zaruriyat e zindagi puri karne ke liye usne register dekhna shuru kiya aur jis jis ko bhi qarz diya tha unka jayeza lene laga. Qarz lene wale afrad me se baaz aise the jinka inteqal ho gaya tha lihaza unke naam usne register se kaat diye. Aur jo zinda the unke pas aadmoi bhej kar raqam wapas talab kar ke apna waqt guzarne laga.
Inhi dino ek martaba wo apne darwaze par baitha register dekh raha tha ke ek dushman e ahl e bait ne raste se guzarte hue us par tanz kiya aur uska mazak udate hue bola
Tum apne bade maqrooz Ali ibn e abi talib ka kya karoge?
Abu Jafar ne jab ye baat suni to bahot ranjeeda hua aur uth kar apne kamre me chala gaya. fir raat ki tariki chha gayi aur wo soya to usne khwab me dekha ki Hazrat Rasool e Khuda sw Hazrat Imam Hasan as aur Imam Hussain as se farma rahe hain ki,
Tumhare walid kahan hain?
Itne me Ameerul Momineen ne jawab diya
Ayy Allah ke rasool main yahan hu
Goya hazrat Ali as Rasool Allah sw ke pichhe tashrif farma the.
Rasool Allah sw ne unse farmaya
Tum is shakhs ka haq kyu nahi ada kar rahe ho?
Ameerul Momineen as ne jawab diya
Ya Rasool Alllah sw ye main isi shakhs ka haq le kar aaya hu.
Rasool Allah sw ne farmaya
To ye iske hawale kar do.
Fir hazrat Ali as ne oon se bana hua ek safed thayla us shakhs to dete hue kaha ke ye lo ye tumhara haq hai.
Iske bad Rasool e Khuda sw ne farmaya,
Ayy shakhs ye ye tumhaara haq hai ise apne pas rakho aur jo bhi tumhare pas inke farzando me se aye aur mutalba kare use de diya karo. aur tumhare liye behtari aur bhalai hai aur ab iske bad se tumhe tangdasti aur fikr o faqa ka samna nahi karna padega.
Kufe ka wo abu jafar nami shakhs kehta hai k main wo khwab dekh kar bedaar hua to thaila mere hath me tha. maine apni biwi ko jaga kar kaha k chiraagh jalao
Aur fir jab maine us thayle me maujud ashrafiyo ko gina to unki tadaad ek hzaar thi.
Biwi ne kaha ayy shakhs Khuda se daro kahin aisa to nahi ke tumne fikr o faqa se tang aa kar kisi tajir ko dhokha de kar uska maal hathiya liya ho?Abu Jafar ne jawab diya nahi aisa nahi hai balki mamla kuchh yu hai keh kar usne biwi se apna pura khwab bayaan kar diya.
fir abu jafar ne register mangwa kar us raqam ka hisab kiya jo Ali ibn e abi talib ke naam ba'taur e qarz unki aulad ko di gayi thi to uski tadaad ek hazaar ashrafi thi na usse ek kam na usse ek zada.
Comments
Post a Comment