Mazhab aur la'mazhabiyat
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Mazhab aur la'mazhabiyat
Bachcha jis chiz ko dekhta hai usi ki taraf lapakta hai use ene ke liye. Use nahi maloom hota hai ki kya chiz achi hai aur kya chiz buri hai. lekin us bachche ke maa bap use use un chizo ke liye mana karte hain jo buri hain chahe wo bachche ko achi hi kyu na lagti ho. Aur un chizo ke lene hukm karte hain chahe jo unke liye achi ho chahe wo bachche ko buri hi kyu nahi lagti ho.
Isi tarah Khuda ne apne bando ko mazhab ke zariye achi aur buri baate batai hain kyuki bande sab chizo ki achai aur burai ko nahi jante hain.Mazhab hame achai aur burai ka farq wazeh kar ke batata hai. Neki karne ke hukm deta hai aur burai se rokta hai.
Duniya me jo tamam log baste hain unme se kuchh to maazhab ko mante hain kuchh nahi. Jo log mazhab ko mante hain wo bhi kayi tarah k hote hain aur jo log mazhab ko nahi mante wo bhi kayi tarah ke hote hain.
Musalman:-
Musalman yani tauheed, risalat aur qayamat ka iqrar karne wale.
Kafir:-
Kafir yani usool e deen, namaz, roza ya islam ke kisi bhi maane hue hukm ka inkar karne wale.
Mushrik:-
Mushrik yani bahot se Khuda'o ko manne wala.
Munafiq:-
Munafiq yani zaban se kalma padhne ke bawajood dil me kufr rakhne wala.
Murtad:-
Murtad yani wo musalman jo kafir ho jae.
Murtad milli:-
Murtad milli yani wo kafir jo musalman hone ke bad fir kafir ho jae.
Murtad Fitri:-
Murtad Fitri yani wo musalman jiske maa baap me se koi ek musalman ho aur wo khud kafir ho jae.
Yahudi:-
Wo log jo Hazrat Moosa as ke baad kisi nabi ko nahi mante.
Isai:-
Wo log jo Hazrat Isa as ko aakhri nabi mante hain.
Majusi:-
Wo log jo aag ko Khuda mante hain.
Kafir Zimmi:-
Kafir Zimmi wo kafir hain jinka Nabi as ya Imam as se koi muahida ho.
Kafir Harbi:-
Kafir Harbi wo kafir hai jiska Nabi as ya Imam as se koi muahida na ho.
Comments
Post a Comment