Waris e Haqiqi ka Faisla (Hazrat Ali as ke faisle)
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Waris e haqiqi
Do shakhs darbar e khilafat me ladte hue aye aur aa kar kaha ay khalifa aap hamare darmiyan faisla kar de.
puchha gaya k faisla kya hai?
To dono ne kaha ke ye mera bhai aur mere baap ka beta nahi hai. Main apne baap ka tanha beta hu aur main hi akela waris hu.
Khalifa ne puchha dono ke pas gawah bhi hain? Dono ne inkar kar diya to khalifa ne kaha ke shariyat me bina gawah ke faisla nahi ho sakta. Un dono ne kaha k ab aap hi bataiye ke is masle ko kaise hal kiya jaye? Khalifa is masle ko hal nahi karega to bhala kaun karega?
Khalifa ne sar jhuka kar sochna shuru kiya magar koi hal na nikal sake. Janab Ammar wahin baithe the bol pade ayy khalifa agar is masle ko Ali as ke hawale kar diya jaye to behtar hal nikal jaega. Isliye ke Rasool e Khuda Sw ne farmaya hai ke Ali as tum logo me sab se behtar faisla karne wale hain.
Umar ne kaha k ay Ammar Allah sw tumhe jaza e khair de jo chiz main bhool gaya tha wo tumne yad dila di.
Masla Hazrat Ali as ke pas pahocha aap dono ko le kar darbar e khilafat me aaye aur un dono se kaha haqiqat maan jao lekin wo dono apni hi baat par israr karte rahe.
Hazrat Ali as ne hijam( Arab me hijamat fasid khoon nikalwane ke liye istemal hota hai) ko bulwaya aur dono ka khun nikala aur murde ki haddi manga kar uske do tukde kiye aur dono ke khun ko juda juda bartano me daal kar haddi usme dal di ek ghante bad dono ko dekha gaya to ek me khun bilkul nahi tha jab ki dusre bartan me sara khun maujud tha. Yani ki jo asl waris tha uska khun uske baap ki haddi ne qubul kar liya aur miras usi ko mili. Ye faisla dekh aur sun kar Umar ne khushi se kaha ya Abul Hasan Khuda aap ke bad mjhe zinda na rakhe.
Great Work MashaAllah keep getting new Interesting post like this
ReplyDelete