Khauf ke sabab zina ka iqrar (Hazrat Ali as ke faisle)
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Khauf ke sabab zina ka iqrar
Khalifa e dom ke zamane me ek hamila aurat ko darbar me laya gaya. Khalifa ne poochha kya tu zina ki murtakib hui hai? Is aurat ne Khalifa se dar kar iqrar kar liya aur Khalifa ne sangsari ka huk de diya.
Jab isko had jari karne ke liye le chale to raste me Hazrat Ali as mil gaye aapne sawal kiya is aurat ka jurm kya hai? Logo me bataya ki zina ka jurm sabit ho gaya hai aur Khalifa ne had jari karne ka hukm diya hai.
Hazrat Ali as ne kaha isko wapas le chalo. Aapne Umar se poochha kya tumne is oar had jari karne ka hukm diya hai? Umar ne kaha haa mere nazdik iska jurm sabit ho gaya hai. Hazrat Ali as ne farmaya beshak tu hakim hai aur is aurat par haq e hukumat rakhta hai lihaza is aurat ko saza de sakta hai magar wo bachcha jo iske pet me hai us par tera koi haq nahi hai na us oar hukumat hai na had jari karne ka haq hai.
Iske bad Hazrat Ali as ne Umar se kaha kahin aisa to nahi ke tune iqrar karane ke liye isko daraya ho? Umar ne kaha haa aisa hi hai. Hazrat Ali as ne kaha tumne suna hai Rasool e Khuda sw ne farmaya hai...
" Agar kisi se zabardasti dara dhamka kar aur maar peet kar iqrar karaya jaye to us par had jari nahi hogi aur dara dhamka kar aitraf karana durust nahi hai."
Ye sun Umar ne is aurat ko azad kar diya aur ek tarikhi jumla kaha..
"Agar sari duniya ki aurate jama ho jaen tab bhi is baat par aajiz hain k Ali as jaisa koi dusra paida kare."
Books for refrence:-
Faraid us Simtain
Manaqib Khwarizmi
Comments
Post a Comment