Hazrat Adam as | Kalmat e Tauba | Buniyad e Khana e Kaba
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Tauba aur Kalmat e Tauba:-
Hazrat Adam aur Hawwa ne 300 saal rone aur azadari karne ke baad rehmat e Khuda Wandi ki tawajjoh ka istehaq hasil kar liya. Wo ek muddat tak rote rahe aur istighfr karte rahe.Bil'aakhir rehmat e Ilahi ne un par taras khaya aur reham kiya. Unhe ilham hua k ayy Adam! Ab un logo ke waste se dua e maghfirat karo jinke naam tumne arsh par likhe hue dekhe the aur jinke ashbaah tumhe arsh par dikhaye ja chuke hain. Aur ye naam hain Mohammad sw, Ali as, Fatima sw, Hasan as, aur Hussain as.
Hazrat Adam as ne fauran hath uth kar dua ki k ayy Khudaya tujhe Mohammad sw, Ali as, fatima sw, hasan as, aur Hussain as ka wasta mujhe bakhsh de aur meri khoyi hui izzat mujhe fir ata kar de.
Irshad e baari hua ayy Adam maine tumhe bakhsh diya aur tumhari tauba qubul kar li aur tumko fir se tamam karamaat ata kar diye.
Hazrat Adam as aur Buniyad e Khana e Kaaba:-
Khuda Wande Alam ke bataye hue kalamat ke waste se Hazrat Adam as ki tauba to qubul ho hi chuki aur is azeem ehsan par wo behad masroor hue yahan tak ki muddato tak masarrat ke aansu bahate rahe.
Lekin iske bawajood unke di se narazagi e Baari, firaq e jannat aur judai e Hawwa ke gham me wo ba'dastoor ranjida hi rahe to Khuda Wande Alam ne Adam as se farmaya k ayy Adam humne tumko paida kiya, humne hi tumko farishto se muqable me sarfaraz kiya, humne tumko jannat me rakha aur ab tumhare tark e aula ko bhi maaf kar diya aur tumhari tauba ko bhi qubul kar liya aakhir tum ab kyu ranjida ho?
Adam as ne arz kiya ayy mere palne wale apne kiye huye ka jo ajr paa chuka hu aur usse jo kuchh bhi ranj utha chuka huuski talkhi aur asraat dil se nahi jate.
Irshad e Baari hua k Makkah jaa kar Kaba ka tawaaf karo, dil mutmayeen ho jayega aur rooh sukun paa jayegi.
Fir Jibreel ko hukm diya ki Adam as ko Makkah le ja kar inhe mere ghar ka tawaaf karao. Hazrat Adam as Jibreel ke humrah Makkah pahoche aur us ghar ka tawaaf kiya jo khayme ki surat me maqam e Bait par nasab tha.
Ek riwayat me hai ki Jibreel Hazrat Adam as ko paidal le gaye the. Jahan jahan unke kadam padte the sabza lahlahane lagta tha aur rait ka maidan gulzaar banta jata tha.
Ek riwayat me hai ki Khuda Wande Alam ne maqam e Bait par ek yaqoot ka aisa ghar bana diya tha jisme noor ki qandile the aur uske do darwaze the ek sharqi aur ek gharbi. Iske upar ek kahyma zabarjad sabz ka nasab tha jiski tanabey sone ki thi.
Hazrat Adam as Makkah pahoch kar tawaaf me amshghool ho gaye. tawaaf se faraghat pate hi unke dil ko sukun hasil ho gaya. iske bad Jibreel ne unhe Koh e safa par pahocha diya. Koh e safa par pahochne ke baad Adam as ke dil me mulaqat e Hawwa ka ishtiyaq shiddat pakad gaya aur wo unse mulaqat ke liye behad pareshan hue.
Bil'aakhir Adam as Koh e Safa se utar kar ek janib ko chal pade. Jis tarah Adam as bechain the usi tarah Bibi Hawwa bhi bechain thi. Aur wo bhi Adam as ki hi tarah Koh e Marwah se utar kar talash e Adam as me ek janib ko chal padi.
Naa hi Adam as ko maloom tha ki kidhar ja rahe hain naa hi Hawwa ko maloom tha ke kis taraf jaa rahi hain. Ittefaqan dono chlte chalte maqam e Arfat par pahoche aur dono me mulaqat ho gayi aur dono ne ek dusre ko Jibreel ke zariye se pehchana kyuki zamane ki thokar, sadme aur faza e arzi ki wajah se dono ke chehre mutaghayyar ho gaye the aur pechane jane ka ki imkaan na raha tha. dono ek dsure se mil kar behad roye.
Iske baad Jibreel ne in dono ko laa kar usi kahyme me rakha jo farishto ke zariye se maqam e Bait par nasab kiya gaya tha. Fir chand dino ke baad Jibreel ne in dono ko Safa aur Marwa par pahocha diya.
Fir us khayme ko jo maqam e Bait par nasab tha ba'hukm e Khuda aaasman par utha liya gaya aur usi maqam par Koh e safa, Koh e Marwa, Koh e Toor aur Najaf Ashraf se patthar mangwa kar Khana e kaba ki tameer kar di gayi aur Koh e Abu qabees se wo patthar la kar nasab kar diya gaya jo us maqam par mehfooz tha aur jise Hazrat Adam as apne humrah jannat se laye the jiska naam hai Hajr e Aswad.
Qasas al Ambiya me hai ki Hajr e Aswad ko Hazrat adam as apne kandho par utha kar jannat se laye the aur jab wo thak jate the to Jibreel ise utha lete the. Iske baad Jibreel ne adam as ko hajj karne ka tariq bataya aur jab adam as hajj karne ko aage badhe to shaitan aade aa kar unko behkane ki koshish karne laga. Jibreel ne adam as se farmaya ki ise patthar maro, Adam as ne patthar mare, jab 7 patthar lage to wo bhaga.
Iske baad tawaf e Nisa wajib qarar diya gaya hai jo taawaf e Nisa na kare uski aurat hajj ke bad us par halal nahi hoti hai.
Hajj se faraghat ke baad Hazrat adam as ne ba'riwayat e tabri Razuat us safa, Bargah e Khuda me arz ki k Ay Malik mujhe Sarandeep jane ki ijazat de de kyuki Makkah me garmi bahot zada hai. Khuda ne ijazat de di aur iske bad Adam as aur Hawwa Jibreel ki madad se Sarandeep pahoch gaye aur wahin rehne lage.
Tabri me hai ki Adam as aur Hawwa 40 saal tak Hindustan me rahe aur isi kitab me hai ki Hazrat Nooh ke toofan se pehle tak Khana e Kaba ba'dastoor bana raha. Jab toofan aane ka waqt hua to use aasman me utha liya gaya aur ba'hukm e Khuda waha ek pahad ko qayam kar diya gaya.
jab toofan guzar gaya aur ahad e Hazrat Ibrahim as aaya to Khuda ne Ibrahim as ko maqam e bait ki taraf ishara kiya aur pahad ko hukm diya ki apni asli jagah par chala jaye. Pahad hat gaya aur Ibrahim as ne us jagah par Khana e kaba ki tameer mukammal taur par kar di.
Hazrat Adam as ko sari zameen ka malik bana diya gaya:-
Muarrikh Tabri hazrat Ameerul Momineen as ke hawale se likhte hain ki jab Kaaba banaya ja chuka to Jibreel ne ek awaz baland ki,
" Ayy duniya ke logo! tum par hajj wajib kiya gaya hai."
Is awaz ka baand hona tha ki pusht e Adam as se paida hone wale musalmano ne salab e Adam as se Jibreel ki awaz par awaz di.
Hazrat Adam as tameeer e kaba se pehle tameer e khana se nawaqif the lihaza unhone sarandeep ke pehle qayaam me ek darakht ko apna muhafiz qarar de kar uske saaye me rishayish ikhtiyar ki thi. Ye wahi darakht hai jisse baad me Hazrat Moosa as ka Asaa bana tha.
Ek riwayat me hai ki ye darakht us lakdi se ugaa tha jise Hazrat adam as apne miswak ke taur par jannat se laye the.
Hajj se wapas Sarandeep aane ke baad unhone apne liye ek makaan banaya. ye duniya me dusra makaan tha jo Khana e kaba ke bad banaya gaya.Iske baad Khuda wande Alam ne hazrat Adam as ko zameen ka malik bana diya aur zameen ki malkiyat aur hukumat unke supurd kar di. Aur duniya ke tamam janwaro unka farmabardar bana diya. Unki hukumat zameen ke upar bhi thi aur zameen ke andar bhi thi. Duniya e arzi ki tamam makhlooq inki tabedar thi aur ye jab aur jahan bhi chahte the iske bashindo ko istemal karte the.{ tarikh e Tabri}
Allama Majlisi ba'hawala e Imam Jafar e sadiq as likhte hain ki Jibreel Adam as ke pas barabar aya karte the lekin jab kabhi unke aane me bahot arsa guzar jata to wo bahot ghamgeen ho jaya karte the. Ek din unhone Jibreel se iska tazkira kiya.
Jibreel ne farmaya ki jab mere tum tak pahochne me takheer ho aur tumhe isse dukh ho to us waaqt لا حول ولا قوات إلى باللهل العيل عظيم ka vird kiya karo tumko tasalli ho jaya karegi. { Hayat al Qulub}.
Comments
Post a Comment