Qatl e Habeel | Duniya ki pehli mayyat | Zameen ke khoon na choosne ki wajah | Habeel ibne habeel | Wiladat e Shees
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Qatl e Habeel ka waqiya:-
Qurbani qubul ho jane ke baad Hazrat Adam as mutmayeen ho gaye aur unhe laga ki Qabeel ko ab pura itminan ho gaya hoga lihaza wo Hajj ke liye rawana ho gaye.
Arais al Salbi me hai ki Hazrat Adam as jab hajj ko jane age to unhone ne aasman se kaha ke mere bete Habeel ki amanat ke taur par hifazat karna lekin aasman ne inkar kar diya. Fir zameen se kaha aur usne bhi inkar kar diya. Fir pahado se kaha usne bhi inkar kar diya. Fir Qabeel se kaha aur usne apne maqsad ke tahat iqrar kar liya.
Hazrat Adm as ke chale jane ke baad shaitan Qabeel ke pas aya aur kehne laga k ye to bahot bura hua k Habeel ki Qurbani qubul ho gayi aur tumhari nahi. Ab to ye hoga ki jab tumhri aulad paida hogi to Habeel ki aulad tumhari aulad ka mazak udayegi aur kahegi ki hum Habeel ki nasl se hain jiski Qurbani qubul hui thi aur jo Adam as ke Khlifa the aur tum log uski nasl se ho jo har tarah se mehroom raha tha.
Qabeel ne kaha ye hai to bilkul durust lekin ab kya kiya ja sakta hai?
Shaitan ne kaha ki iski ek hi surat hai aur wo ye ki tum Habeel ko qatl kar dalo. Jab Habeel qatl ho jayega to har haal me adam as ko tumhe hi apna ja'nasheen banana padega kyuki unki aur koi to aulad hai nahi abhi.
Qabeel ne kaha tumhari raaye to durust hai lekin mujhe ye nahi maloom ki qatl kaise kiya jata hai.
Shaitan ne kaha isme kaun si badi baat hai main tumhe abhi bata deta hu ki qatl kaise kiya jata hai. Ye keh kar shaitan ne ek parinde ko pakda aur patthar par lita diya aur fir uske sar ko dusre patthar se kuchal dala.
Qatl ki tarqeeb sikhne ke bad Qabeel Janab Habeel ke paas aya aur kehne laga k main tumhe qatl karunga. Habeel ne puchha k maine aisi kya khata ki hai jis wajah se tum mujhe qatl karna chahte ho?
Qabeel ne kaha k Adam as ne tumhe apna ja'nasheen banaya hai aur tumhari Qurbani qubul hui hai yahi wajah hai ki main tumhe zarur qatl karunga.
Habeel ne kaha agar ye sab hua bhi hai to isme meri kya khata hai?
Qabeel ne kaha khata ho ya na ho lekin main tumhe qatl karunga hi kyuki agar maine aisa nahii kiya to tumhari aulad meri aulad ka mazak udayegi.
Habeel ne jab jaan liya ki Qabeel apne irade se baaz nahi aane wala hai to wo apni jaan bachane ke liye ghar se bhag nikle aur jungal jungal mare mare firte rahe aur Qabeel unka pichha karta raha.
Yahan tak ki ek din Qabeel ne Basrah ke us maqam par jahan Jama Masajid bani hai Habeel ko ek patthar par sota hua paya, wo unke qareeb gaya aur ej bahot bada patthar utha kar usne Habeel ke sar par de mara. Habeel ke sar se khoon behne laga aur usne wahin par tadap tadap kar dum tod diya. Hazrat Ali as farmate hain ki jis din Habeel qatl hue wo din aakhri chahar shambah {Budhh} ka tha.
Habeel ka qatl hona tha ki sare aalam me tabdeeli paida ho gayi, aasman ka rang badal gaya, suraj ko gahan laga, siyaah aandhi chali, darakhto se phal gir gaye, zameen me zalzala aaya aur darakhto me kaante nikal aaye.
.
Duniya ka ye haal dekh kar Hazrat Adam as ne Jibreel se puchha ke in sab tabdeeliyo ka sabab kya hai? Mujhe isa maloom hota hai k jaise koi bahot bada hadsa pesh aaya ho.
Jibreel ne kaha k ayy Adam as tumhare bade bete qabeel ne tumhare chhote bete Habeel ka shaitan ke behkane ki wajah se qatl kar diya hai. Ye sun kar Adam as bepanah ranjida hue aur giriya karne lage. Iske baad unhone Jibreel se kaha ke mujhe wapas le chalo. Jibreel ne kaha ke aap pehle apna Hajj mukammal kar le fir wapas chalte hain.
Yahan Qabeel Habeel ko qatl karne ke baad unki lash ko chhupane ki koshish karta raha lekin use samajh nahi ke aakhir kare to kya kare. Kyuki ye pehli mayyat thi aur pehla qatl tha jo zameen par hua tha.
Imam Jafar e Sadiq as farmate hain ki jab Habeel as qatl ho gaye to faad khane wale janwaro ne unhe gher liya aur is koshish me lag gaye ki unki mayyat ko kha jaye. Ye dekh kar Qabeel ne use apni pusht par utha liya aur aise hi liye liye ba'riwayat ek saal ya ek mahine tak firta raha. Wo jahan bhi jata tha darinde uske pichhe pichhe jate the aur isi koshish me rehte the ki ye use feke aur hum kha jaye.
Isi tarah se jab ek arsa guzar gaya aur lash me badbu paida hone lagi to Khaliq e Alam ne apna rahem dikhaya aur do Kawwe ko Qabeel ke samne bhej diya. Wo aaye aur apas me lade aur ek ne dusre ko maar diya. Zinda kawwe ne murdah kawwe ko apne panjo aur chonch se zameen khod kar usme dafan kar diya. Qabeel ne jab dafan karne ka ye tariqa dekha to ye kehte hue ki afsos main kawwe jaisa bhi nahi ek gaddha khod kar Habeel ko usme dafan kar diya.
Thode arse baad jab Hazrat Adam as hajj se wapas aye aur aa kar Qabeel se puchha ke Habeel kahan hai to usne kaha k kya aap mujhe us par nigraan kar gaye the jo mujh se puchhte hain. Hazrat Adam as ne kaha ke mujhe sab kuchh maloom hai lekin main fir bhi tujhse puchha hu ke tune aisa kyu kiya. Ye sunte hi Qabeel ne saza ke khauf se tark e watan kar diya aur wahan se bhaag kar Adan { Yamen} chala gaya.
Zameen ke khoon na choosne ki wajah:-
Jab Qabeel ne Habeel ka qatl kar diya to unka khoon 7 din tak zameen par reh kar zameen ke andar jazb ho gaya aur use zameen ne pani ki tarah pi liya.
Khuda Wande Alam ne Qabeel se farmaya k tera bhai Habeel kahan hai?
Usne kaha mujhe nahi maloom main koi nigehban tha?
Irshad hua ke tere bhai ka khoon mujhe pukar raha hai.
Qabeel ne kaha ke agar maine usko qatl kiya hai to uska khoon kahan hai?
Iske baad se Khuda wande Alam ne zameen par kisi ka bhi khoon choosna haram qarar de diya hai. Yahi wajah hai ki zameen me khoon jazb nahi hota.
Ek riwayat me hai ki Hazrat Adam as Habeel ke maqam e qatl par baith kar 40 shab o roz giriya karte rahe the.
Habeel ibne Habeel ki wiladat:-
Allama Nematullah Jazayeri ba'hawala e Imam Mohammad Baqar as tehreer farmate hain i janab Habeel jis waqt qatl hue the unki biwi hamila thi. Unke marne ke chand din baad hi farzand e Habeel ki wiladat hui.
Hazrat Adam as chunki apne farzand Habeel ko behad chahte the isliye unhone unki yaad taza rakhne ke liye Habeel ke farzand ka naam bhi Habeel hi rakh diya.
Hazrat Adam as par qatl e Habeel ka asar:-
Hazrat Adam as Habeel ke qatl ki wajah se is darja ranjeeda hue the k unhone duniya ki har lazzat se khud ko door kar diya tha. Na khane pine ki taraf raghbat rakhte the aur na hi libas ki fikr karte the aur na hi kisi qism ka aaram karna chahte the.
Ek riwayat me hai ki qatl e Habeel ke bad Hazrat Adam as 100 saal tak hanse nahi the aur 100 saal tak Hawwa ke qareeb nahi gaye the.
Wiladat e Shees:-
Ba'riwayat e Meraj e Nabuwat Hazrat Adam aur Hawwa sw ek pakeeza maqam par baithe hue apas me baat kar rahe the itne me Jibreel aasman se kaseer farishto ke sath aaye aur aa kar salam kiya.
Salam ke jawab ke bad unhone Mewe ka tabaq pesh kiya aur kaha ayy adam in Mewo ko tumne dekha hai.
Hazrat Adam as ne farmaya ayy Jibreel maine in Mewo ko jannat me dekha tha aur maine Khuda se tamnna ki thi k mujhe marne se pehle ise khane ka mauka diya jaye.
Jibreel ne kaha ke Khaliq e Alam ne tumhari tamanna ko puri karne ka bandobast kiya hai. In Mewo ko khao aur Aab e Bahisht se ghusl kar ke Hawwa ke pas jao, Aaj Noor e Mohammadi tumhare salab se raham e Hawwa me muntaqil kiya jayega.
Hazrat Adam as hukm ki tameel ki aur bibi Hawwa hamila ho gayi. Fir muddat e hamal guzar jane ke baad ek farzand ki wiladat hui jiska naam Shees rakha gaya.
Hazrat Shees as husn o jamal me apni misaal aap the. fir unke salab me Noor Mohammadi muntaqil ho chuka tha jiska zahoor unki peshani se hota tha.
Jab jHazrat Shees as hadd e baloogh me pahoche to Jibreel ne aa kar kaha k ayy adam as tum falan maqam par Shees ko le kar kal aa jana main bhi bahot se farishto ko humrah le kar wahan pahoch jaunga.
Hazrat Adam as ne iska sabab maloom kiya to Jibrrel ne kaha ki Shees se Noor Mohammadi ke mut'allik Ahad o Misaq lena hai.
Dusre din hazrat Adam as Shees as ko le kar bataye gaye maqam par pahoch gaye aur Jibrrel waha 70 hazar farishto samet maujud the. Jibreel ne Shees as se kuchh ahad e misaq liya aur unhe kuchh hidayate ki aur wapas chale gaye.{ Ajaib ul Qasas, hayat al qulub}
Wiladat e Shees as ke baad hazrat adam ke yahan ek aur farzand ki wiladat hui jiska naam adam as ne Yafis rakha.
Comments
Post a Comment