Hazrat Adam as | Bibi Hawwa | Jannat se rawanagi | Zameen par raseedgi
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Hazrat Adam as | Bibi Hawwa | Jannat se zameen par aana
Zameen par raseedgi:-
Hazrat Adam as aur Bibi Hawwa 6 ghante jannat me guzar kar jo ki is duniya ke hisab se 500 saal hote hain jannat ke darakht ke patto me lipte hue Jibreel ke humrah hawa me udte hue ba'riwayat e Majlisi 25 zilqad ko zameen par pahoche.
Jibreel janab Hawwa ko Jeddah me aur Hazrat Adam a ko Sarandeep par pahocha kar wapas jane lage to Hazrat Adam as sakht pareshan hue aur unhone rona shuru kar diya aur kaha mujhe is tarah beyaro madadgar chhod kar kahan ja rahe ho? Jibreel ne kaha main tameel e hukm e Khuda Wandi se majbur hu aur mera fauran wapas jana behad zaruri hai y keh kar wo wahan se gayab ho gaye.
Unke jate hi Hazrat Adam as ne sar par khaak dalna shuru kar diya aur beinteha rone lage aur unke is giriya o zari ka silsila 300 saal tak jari raha. Unke rone ka ye alam tha ki aankho se ansuo ke chashme jari ho gaye the aur unka ye rona khauf e Khuda, shauk e jannat aur firaq e hawwa ki wajah se tha.
Sar'zameen e Hind me khushbu ki farawani ka sabab:-
Kaseer tarikh aur hadees me hai ki Hazrat Adam aas ke jism se lipte hue jo jannat ke darakhto ke patte zameen tak pahoche the wo hawa me udd kar mukhtalif atraf me phail gaye the. Fir un se mukhtalif khushbuo ke darakht paida hue the.
Aur chunki sabse pehle aahu(hiran) ne in patto ko khaya tha isliye khushbu uski ragg me sama gayi thi aur isi wajah se uski naaf me mushk paida ho gayi.
Hazrat Adam as chunki Hindustan me utre the isliye unke jism se jannat ke darakhto ke patte chhut krar zadatar wahin gire aur wahan khushbu ke darakhto ki farawani ho gayi.
Hazrat Adam as ko zameen par pahochte hi mar dene ki shaitan ki koshish:-
Hazrat Adam aas aur Hawwa ki aasman se rawangi se pehle hi shaitan zameen par pahoch chuka tha aur use maloom tha ki bahot jald hi Adam as bhi zameen par pahocha diye jayenge. Lihaza usne un makhlooqat ko jo zameen par baste the jaise sher, cheeta, aur isi qism ke khunkhar janwaro ko mukhatib kar ke kaha k kuchh janwar aasman se zameen par aane wale hain. Tum tayyar raho aur jab wo zameen par aayenge to main tumhe ittela kar dunga tum unhe kha kar behad lazzat mehsus
Shaitan ke kehne ke mutabiq ye sare janwar tayyar baithe the aur isi bich me shaitan ne Adam as aur hawwa ke zameen par aane ki khabar maloom kar li aur ye bhi jaan gaya ki Jibreel wapas ja chuke hain. Usne aa kar in janwaro se kaha ke bas chal pado. Uske kehte hi bade bade khunkhaar janwar shaitan ke humrah manzil e Adam as ki taraf rawana hue.
Rasool e Khuda sw irshad farmate hain ki shaitan unko tezi se liye ja raha tha aur unki aur bhi tezi se aage badhne ke liye shor macha raha tha. Isi shor ke dauran uske muh se kuff ke jaisa kuchh baramaad ho kar zameen par gira aur Khuda Wande Alam ne us chiz se do kutte paida kiye ek nar aur ek maada. Ek Adam as ki hifazat ke liye dusra Hawwa ki hifazat ke liye.
Fir ye dono daud kar Adam aur Hawwa ke paas shaitan aur janwaro se pehle pahoch gaye aur in dono kutto ne Adam aur Hawwa ko un khunkhaar janawaro se bacha liya. Yahi wajah hai ki kutte aur khunkhaar janwaro me aaj tak adawat hai.
Hazrat Adam as jo Jibreel ke hale jane ke baad se giriya me mashgool the shaitan ki layi jane wali is musibat par ghabra uthe ki. Khuda Khuda kar ke jab is musibat se jaan bachi to suraj doob gaya aur raat ho gayi. Hazrat Adam as ne raat kabhi nahi dekhi thi isliye ghabra uthe ayy mere palne wale ye kya chiz hai jisne duniya ko aankho se ojhal kar diya hai aur koi chiz dikhai nahi deti. Jab koi jawab na mil saka to wo ek bar fir hasb e mamool giriya o zari me mashgool ho gaye.
Duniya e arzi me Adam as ki pehli subah aur namaz e subah ki buniyad:-
Hazrat Adam as raat bhar rote rahe yahan tak ki subah ho gayi. Subah hone ke sath hi Jibreel ka nuzool hua. Unhone Adam as se farmaya ke do rakat namaz ada karo. Ek rakat raat ke guzar jane ki khushi me aur dusri rakat subah hone ke shukrana me. Is tarah Adam as ne do rakat namaz ada ki. Yahi wajah hai ki unki aulada par namaz e subah 2 rakat wajib ki gayi hai. Hazrat Adam as ne namaz e subah ki buniyad dali.
Namaz e Zohar:-
Hazrat Ibrahim as ne namaz e zohar qayam ki. Quran majeed me hai ki jab Ibrahim as apne bete Ismail as ko zibah karne ke liye zameen par litaya aur unke gale par chhuri rakhi aur jis waqt aap ne apni aankh ki patti kholi aur apne bete ko sahi aur salim dekha to wo waqt zohar ka tha. Is waqt Hazrat Ibrahim as ne
1. Tameel e hukm ki taufeeq ke shukrane me,
2. Khuda ki taraf se tameel e hukm ki tasdeeq ke shukrane me,
3. Tasdeeq ke silsile me jo awaz aasman se aai thi uske shukrane me,
4. Fidya ke aa jane ke shukrane me.
4 rakat namaz ada kar ke namaz e zohar ki buniyad rakhi.
Namaz e Asr:-
Hazrat Yunus as jab machhli ke pet pahoche aur wo unko liye hue pani ke chakkar lagane lagi to Yunus as ne la Ilaha Illa Anta Subhanka Inni Kunto Minazz zalimin ka vird shuru kar diya. Khuda ne machhli ke pet ko sheeshe ki taraf saaf au shaffaf kar diya aur is tarah Hazrat Yunus as ajaybaat aur pani ke janwaro ko dekhne lage. Fir jab hukm e Khuda se wo pani se bahar aaye to wo waqt asr ka tha. Unhone
1. Tariki raah
2.Tariki laghzaish
3. Tariki aab
4. Tariki shikam
se nijaat pane ke shukriya me 4 rakat namaz ada kar ke namaz e asr ki buniyad rakhi.
Namaz e Maghrib:-
Hazrat Isa as jab bina baap ke paida hue to logo ne pehle to unki maa par ilzam lagaya fir kuchh arse baad unhe Ibne Allah kehne lage. Fir unhe Khuda ka darja dene lage. Jis waqt Janab Mariyam aur Isa as ko sataya gaya tha wo waqt maghrib ka tha. Hazrat Isa as ne
1. Dafa e Ilzam ke liye
2. Apni maa ki taraf se shukrana e wiladat ke liye
3. Iqrar e wahdaniyat aur asbaat e tauheed ke liye
3 rakat namaz ada kar ke namaz e maghrib ki buniyad rakhi.
Namaz e Isha:-
Hazrat Moosa as jab Janab Shoaib as ki wafat ke bad azam e watan hue to raste me raat aa gayi. Is raat me bado baran bhi tha aur bijli bhi chanak rahi thi. Is waqt Hazrat Moosa as 4 ghamo me mubtila the.
1. Gham e ayaal
2. Gham e farzand
3. Gham e baradar
4. Gham e dushamn
Awaz aai ayy Moosa ghabrao nahi aur kisi qism ka gham na karo. Main maujud hu aur main tumhe har gham se nijat dilaunga aur tumhari har mushkil me mushkil kushai karunga. Ye sun kar Moosa as ko tasalli ho gayi aur unhone 4 rakat namaz ada ki aur wo waqt namaz e isha ka tha.
Wazu ke aaza:-
Allama Majlisi tehreer farmate hain ki Imam Hasan as se ek shakhs ne sawal kiya k wazu ka ta'alluk 4 aaza se kyu makhsus qarar diya gaya hai. Imam Hasan as ne farmaya ke Hazrat Adam as ke gandum khane ka ta'lluk muh, hatth aur pair se hai, jab gandum kha chuke aur kapde badan se utar gaye to sar par dahina hath rakh kar roye the. Isliye inhi aaza ko taa qayamat tak ke liye unki aulad par wazu ke istemal ko wajib qarar diya hai. { Hayat ul Qulub}
Ayyam e Baiz ke roze:-
kaseer riwayat aur tarikh me hai ki jab hazrat Adam as jannat se zameen par bheje gaye to unke jism se safedi salab kar li gayi aur unka jism siyaah kar diya gaya. Jab Hazrat Adam as ne zameen par pahochne ke baad Jibreel se iska ilaj puchha tokaha gaya ke roze rakho.
Jab unhone roza rakha to 1\3 jism se siyahi zayel ho gayi. Fir kaha gaya ki ek aur roza rakho. Is bar jab unhone roza rakha to 2\3 jism saaf ho gaya. Fir hukm hua ke ek dn aur roza rakho aur is roze ke baad unka pura jism pehle jaisa gora aur saaf ho gaya.
Lihaza in ayyam ko Ayyam e Baiz kaha gaya aur Adam as par in Ayyam ke roze wajib qarar diye gaye aur unhe btaya gaya ke in Ayyam me tumhari aulad me se jo roze rakhega goya usne zamane bhar ka roza rakh liya.
Allama Jazayeri ba'hawala e Rasool e Kareem sw likhte hain ki in Ayyam ka jab hisab kiya gaya to ye 13, 14, aur 15 tarikh ko pade the isliye har momin ko chahiye ki mahine ki in tarikho ko roze rakhe. {Anwar al Mubeen}
Hazrat Adam as aur zindagi jeene ke naye usool aur tariqe:-
Hazrat Adam as ka duniya e arzi me aane ke baad yaha ki aab o hawa aur maadi(jismani) tassurat se mutasir hona lazmi tha. Duniya e arzi me aane ke 300 saal tak wo rote rahe lekin isi dauran unme maadi tassurat bhi runuma hue.
Dhire dhire unhe khana, kapda aur jeene ke deegar asbaab ki zarurat mehsus hona shuru hui. Wo 40 shab o roz bhukhe rahe fir unke jism me khujli aur pet me bhookh mehsus hui jis wo samajh nahi sake ki aakhir ye kya hai?
Itne me Jibreel aa gaye aur puchha kaho Adam as kaisi guzri?
Unhone jawab diya jaisi bhi guzri wo to guzri hi lekin ab ye batao ke jism ke zahir aur baatin me jo ek bechaini payi jati hai aur aisa maloom hota hai ke jism ke andar aur bahar zarraat daud rahe hain ye kya hain?
Jibreel ne kaha k jism ke andar jo kaifiyat mehsus ho rahi hai use bhookh kehte hain aur jism ke bahar jo kuchh mehsus ho raha hai use khujli kehte hain.
Adam as ne puchha to fir batao iska ilaaj kya hai?
Jibreel ne kaha ke main wapas jaa raha hu aur abhi thodi der me wapas aata hu fir tumhe sab kuchh bataunga.
Jibreel wapas aaye aur ba'riwayat e Imam Salbi do Bail, Loha, kuchh Auzaar aur Aag le aaye aur Adam as ke hawale kiya.
.
Aag jab Adam as ke haath par rakhi gayi to usne Adam as ko aziyat di. Adam as ne Jibreel se shikayat ki. Jibreel ne aag ko hidayat ki aur ita'at ke liye kaha lekin aag ne kaha ke main iski ita'at nahi karungi kyuki main jahannam se layi gayi hu aur jahannam jahannam iski aulaad ke gunahgaro ke liye banaya gaya hai. isiliye jo bhi mujhe chhuega main use jala dungi. Ye sun kar Jibreel ne use lohe aur patthar me samo kar qaid kar diya. Yahi wajah hai ke jab patthar se patthar takrata hai aur lohe se loha takrata hai to aag nikalti hai.
Fir Jibreel gandum ke 3 daane laye jisme se do Adam as ke liye aur ek HAwwa ke liye tha. Yahi wajah hai ki mard ka do aur aurat ka ek hissa hai.
Iske bad Jibreel ne Adam as ke hatho hal tayyar karay. Adam as ne puchha ye sab kya hai aur hamare kis kaam ayega?
Jibreel ne kaha ke isi se tumhari bhookh ka ilaj hoga. hal banane ke baad fir jotna aur bona sikhaya. Fir use saaf karna aur do pattharo se peesna sikhaya. Fir aata gundhna bataya aur iske baad tandoor ki tarkeeb batai fir roti pakana sikhaya aur khana bataya.
Jab unhone ne roti kha li to unke andar ek kaifiyat paida hui jise wo samajh na sake ke ye kya hai? Jibreel se puchha to unhone kaha ke ise pyaas kehte hain.
Puchha ise kaise door kiya jaye ?
Jibreel ne ek kuddal la kar diya aur kaha ke zameen ko khodo. jab khoda to pani nikla. Jibreel ne kaha ke is paani ko pi lo.
Thodi der ke baad ghiza ne pet me haijaan paida kiya aur tehleel ke baad ki fazla ki zarurat mehsus hui. Jibreel ne ek Malak ke zariye iska rasta bataya. Jab naak me badbu gayi to Adam as ro pade aur 70 saal tak rote rahe. Unhe khyaal aa gaya ki agar tark e aula na karte to jannat se nikale na jate aur in masayeb me mubtila na hote
Ek riwayat me hai ki Khuda Wande alam ne Adam as ke humrah 30 qism ke phal bheje the jisme Seb, Anaar, Angoor, Akhrot, Badaam, Unnab, Khajoor, Shahtoot aur amrood ko numaya haisiyat hasil hai.
Ek riwayat me hai ki Adam as ke humrah kuchh dawa'en bhi bheji gayi thi jaise Zaitoon, halila aur Balila.
Tarikh e tabri me hai ki Halila, Balila aur Amla un phalo ke naam hain jinke darakht Adam as ke ansuo se paida hue the.
Aur ek riwayat me hai ki Sona bhi jannat se bheja gaya tha yahi wjaah hai ke wo kisi haal me bhi purana nahi hota.
Maulana Abdul Wahid Hanfi likhte hain ki HAzrat Adam as ne jo gandum boye usme se unke hisse se gandum hi paida hua aur Hawwa ke hisse se Jaw ugaa tha.
ek riwayat me hai ki Adam as ne roti tayyar kar ke Hawwa ke liye Jeddah bheji thi yah wajah hai ki aurat ke khane pine ki zimmedari mard ke supurd hui hai. { Arais al Salbi, Ajaib al Qasas}
Khane ki mushkil hal hone ke baad pehenne ki zarurat ko pura karna tha. Lihaza Khuda ne do Oont, do Bakri, do Bhaind aur do Gaaye nar aur mada bhej diye. Inke baalo se oon ke kapde banae aur un logo ne unse Jhabba aur Pairhan tayyar kiya. { Ajaib al Qasas}.
Comments
Post a Comment