Tehzeeb e Zindagi || Baaz Gunah e Kabira || Jhuth || Sharab || Gana Bajana || Gheebat || Hasad o Takabbur || Qata e Rahem
TEHZEEB E ZINDAGI
GUNAH E KABIRA
Sabko hi ilm hai ki ye duniyawi zindagi chand roz ki hai. Jisko khatm karne ke liye aakhirat ka marhala darpesh hai jahan par aamal ki jaza o saza ka milna zaruri hai. Har shakhs ye liye ye lazim hai k apni zindagi ko umda zindagi banaye, Khuda ke wajib kiye huye kaamo ko baja laye, jin bato se use mana kiya gaya hai usse parhez kare aur qanoon e shariyat ko samjhe taki zindagibke farayez ka ilm ho aur halal o haram me tamiz ho.
Baaz Gunah e Kabira:-
- Walidain ki nafarmani
- zina
- Aghlam
- Sood
- Jhooth
- Sharab
- Juwa
- Gana bajana
- Gheebat
- Hasad o Takabbur
- Qata e Rahem
Walidain ki nafarmani:-
Maa baap ko aziyat dena aur unka kaha na manna, unke khilaf koi kaam karna gunah e azeem hai. Maa baap ki khushi se Khuda aur Rasool sw bhi khush hote hain aur unki narazgi se wo bhi naraz hote hain.
Walidain ki ita'at jannat me aur unki nafarmani jahannum me pahochati hai.
Quran majeed me hai k maa baap se uff na kaho.
Unke kehne ko radd na karo.
Unke sath shaista tarike se baat chit karo.
Maa baap ki aisi azmat hai ke Khuda Wande Alam apni ibadat ke sath sath unki ita'at ka bhi hukm deta hai.
Hadees me hai ki maa baap ki awaz par apni awaz buland na karo. Unke aage ho kar mat chalo. Tez nigah se unko mat dekho. Agar wo tumhe maare to tum unke liye bakhshish ki dua mango. Unke samne aajizi se baitho. Aur koi aisa kaam na karo jisse log unko bura kahe.
Unke marne ke bad unke liye namaz padho, roze rakho, hajj karo.
Agar tum unke nafarman the to in kaamo se fir unke farmabardar me shumar kiye jaoge.
Zina:-
Zina ki mumaniyat aur mazammat Quran majeed ki kayi ayato aur hadeeso me hai.
Janab Rasool e Khuda sw irshad farmate hain ki jab meri ummat me zina phail jayega to nagahani maute zada hongi.
Zaani aurto aur mardo ke liye 6 qism ka azab hai. 3 qism ka duniya me aur 3 qism ka aakhirat me.
Duniya me ek to chehre ka noor chala jata hai.
Dusre muflisi gher leti hai.
Teesre maut qareeb ho jati hai.
Aur aakhirat me ek Khuda ka ghazab, dusre hisab ki sakhti aur teesre dozakh ki aag me hamesha jalte rehna.
Riwayat me hai ki jab ba roz e mahshar zina karne wale mard aur aurat maidan e hashr me laye jayenge to unke maqam e peshab se aisi sakht badbu aayegi ki jis se tamam ahl e mahshar izza payenge aur un sab par lanat karenge.
Biwi wale mard aur shauhar wali aurat ka zina aur bhi badtar hai aur uski duniya aur aakhirat dono me hi bahot sakht saza hai.
Aghlam:-
Mardo ka apas me behuda aur khilaf e fitrat amal zina se bhi badtar hai kyu ki is harkat ki wajah se Khuda Wande Alam ne ek puri ummat ko tabah o barbad kar diya tha.
Aur aise hi aurto ka apas me ta'alluk bhi bahot hi sharmnak amal hai.
Shariyat me Aghlam ki dunyawi saza ye hai ki agar dono baligh aur ba'aql hain to qatl kiye jayenge chahe kisi bhi tariqe se ho.
Sood:-
Ye bhi gunah e kabira hai k Quran majeed me chand jagah iski mazammat bayan ki gayi hai.
Ek jagah to Khuda irshad farmata hai ki sood ka mamla karne wale log Khuda aur Rasool sw se ladne ke waste tayyar rahe.
Hadees me hai ki sood ke ek dirham ka gunah 70 bar zina karne se bhi zada sangeen hai.
Jo shakhs sood le aur de aur jo koi us ko likhe aur jo koi us par gawah ho, Khuda Wande Alam un sab par lanat farmata hai.
Chand maqamaat par sood haraam nahi hai balki wo sood hai hi nahi.
- Baap aur bete ke darmiyan
- Shauhar aur zauja ke darmiyan
- Aaqa aur ghulam ke darmiyan
Jhooth:-
Chahe musalman ho ya kafir har shakhs aur har qaum hi jhooth ko bura samajhte hain. Ye tamam buraiyo ki jadd hai.
Jhooth bolne walo par Quran majeed me Khuda Wande Alam ne jaa baja lanat farmai hai.
Jhooth imaan ko kharab karne wali chiz hai.
Isse chehre ki raunak chali jati hai.
Hafiza kamzor ho jata hai.
Jo shakhs jhoothi qasme khaye wo Khuda ki rehmat se mehroom rahega.
Aur jo jhoothi gawahi de wo munafiqeen ke sath jahannam ke nichle hisse me hoga.
Sharab:-
Sharab insan ki aql ko zayel kar deti hai aur insan insaniyat se bahar ho jata hai.
Khuda Wande Alam ne Quran majeed me sharab ko haram qarar diya hai.
Aur kasrat se hadeeso me iski mazammat bayan ki gayi hai.
Jo shakhs sharab ya koi dusri nashe ki chiz pita hai 40 din tak uski namaz qubul nahi hoti. Aur agar is darmiyan wo bina tauba kiye mar jaye to uski maut kufr ki maut hogi.
Rasool e Khuda sw irshad farmate hain ki Khuda ki qasam jo shakhs koi nashe ki chiz istemal karta hai main uski shafa'at nahi karunga aur na hi wo Hauz e Kausar par aane payega.
Shariyat ne sharabi ki saza 80 kode muqarrar ki hai jo ki jism ko nanga kar ke mare jayenge.
Aur teesri aur chauthi dafa me qatl kar dene ka hukm hai.
Juwa:-
Har wo khel jisme baazi ho juwa hai. Jiske haraam hone ka tazkira Quran me jaa baja maujood hai.
Sirf Ghode ki daud aur Teer andazi me baazi lagana jayez hai.
Baqi tamam khel maslan Shatranj, Chausar, Taash waghairah sab haraam hain.
Shatranj ke bare me kisi ne Imam Jafar Sadiq as se daryaft kiya to aap ne farmaya,
Khuda us par lanat kare.
Dusri hadees me ye hai ke Shyranj ko bechna aur uski qeemat lena bhi haraam hai. Uski hifazat karna kufr hai aur uska khelna shirk hai aur uske khelne wale ki salam karna gunah hai aur use chhoona suwar ke gosht ko chhune k manind hai.
Gana Bajana:-
Quran majeed ki ayat aur Paighambar e Islam ki hadees se gana bajana haram hai.
Imam Jafar Sadiq as irshad farmate hain,
Jis ghar me gana hota hai wo ghar na to dardnak balao se mehfuz rehta hai na hi usme dua qubul hoti hai aur naa rehmat ke farishte wahan nazil hote hain.
Ek hadees me hai ki gaane wali aurat mal'oona hai aur uski kamai khane wala mal'oon hai.
Hazrat Mohammad Mustafa sw farmate hain ki,
Gana zina ke barabar hai.
Imam Mohammad Baqir as farmate hain ki,
Gana bajana un buraiyo me se hai jinke liye Allah ne Jahannum ka waada kiya hai.
Imam Jafar Sadiq as farmate hain k,
Gana zina se badtar hai aur uske sath jo chize jaise k sitar, sarangi. harmonium, tabla, dhol wagairah bajayi jati hain unka sunna bhi haram hai. Fir wo shadiya kis tarah mubarak ho sakti hain jin me nach gaane ka intezam kiya gaya ho.
Gheebat (Chughli):-
Ye ek bahot bada gunah hai jiske bare me Allah irshad farmate hain k,
Tum me se koi ek dusre ki gheebat na kare . Kya tum me se koi te baat pasand karega ki wo apne murda bhai ka gosht khaye?
Gheebat wo gunah hai jiski tauba tab hi qubul hoti hai jab jiske gheebat ki gayi ho wo shakhs bhi apko maaf kar de.
Rasool e Khuda se farmate hain k,
Gheebat zina se bhi badtar gunah hai.
Bahot se logo ko agar toka jaye to kehte hain k ye gheebat nahi hai hum to uske muh par keh de ke ha tumne ye kiya hai.
Aisa samajhna unki bahot badi galti hai. Gheebat ke ma'ani ye hai k apne baradar e momin ke bare me uski pith pichhe kisi aise amr ka zikr kiya jaye jiski khabar jab uske kaan me pahoche to use sadma ho. Khwaab wo uske jismani aib ho ya akhlaqi.
Kisi kaafir, munafiq ya dushman e Ahl e bait ke aib bayan karna gheebat nahi hai. Isi tarah kisi mazloom ka zalim ke mut'allik faryaad karna ya koi nek momin jo ek badkaar ke paas uthta baithta hai uske aib zahir kar ke us momin ko us badkar se dur kar dena bhi gheebat nahi hai.
Aur jis tarah gheebat karna haraam hai usi tarah gheebat sunna nhi haraam hai.
Hasad o Takabbur:-
Momin se hasad rakhna rakhna gunah hai kyuki apne kisi momin bhai se un nemato ke zayel tamanna karna jo Khuda Wande alam ne us momin ko ata farmai hain usi ka naam hasad hai.
Hasad karne wale ki duniya bhi kharab hoti hai aur aakhirat bhi kharab hoti hai aur us momin ka kuchh nahi bigadta jisse hasad ki jaye balki uske hasnaat me izafa hota jata hai aur uske darje baland hote jate hain.
Rasool e Khuda Sw irshad farmate hain ki kuchh log Khuda ki nemato ke dushman hain.
Kisi ne puchha ke wo kaun log hain?
Aap ne farmaya ke wo haasid hain jo Khuda ke fazl o ata par logo se hasad karte hain.
Hasad bhi usi tarah nekiyo ko barbad karta hai jaise aag lakdi ko..
Ghurur o tkabbur yaani apne aapko bada samajhna aur dusre ko zaleel o haqeer janna. Ye ek bahot hi buri adat hai. Khuda Wande alam ne aise logo ka thikana jahannam qarar diya hai.
Sab se pehla takabbur Shaitan ne kiya tha. Usne Hazrat Adam As ko sajda karne se inkar kar diya tha aur isi takabbur ki wajah se bargah e Khuda se be dakhl kiya gaya.
Qata e Rahem:-
Apne rishtedaro ke sath nek salook karna aur unke huqooq ada karte rehna ye sila rehmi hai.
Aur apne rishtedaro ki haq talfi karna aur unki hajto ko thukrana qata rehmi hai.
Aise logo par yani qata rehem karne walo par Khuda ne lanar farmai hai.
Janab Rasool e Khuda Sw ne irshad farmaya hai ki,
Sabse badtar amal shirk hai aur uske bad aur uske bad qata rehem hai.
Hazrat Ali as irshad farmate hain ki,
3 khaslate aisi hain ki insan marne se pehle hi unka wabaal dekh leta hai:-
1. Sarkashi
2.Qata e rehem
3. Jhoothi kasam khana
Imam Jafar e Sadiq as irshad farmate hain,
Mere nazdik sila e rehem se badh kar koi dusri chiz umr me zyadti karne wali nahi hai.

Comments
Post a Comment