Ameer ul Momineen Hazrat Ali As || Wiladat e Ali as || Islam par Ehsanaat || Duniya Ali as ki nazar me || Chand Waqiyaat

                  بسم الله الرحمن الرحيم 

As Salam Alaikum...

Ye kehna galat nahi hoga ki Ali as paida hi kiye gaye the Islam aur Paighambar e Islam ke liye. 

Aur isi baat ko zehen me rakhte hue is new post me Ali ibn e Abu Talib ki zindagi ke sabhi pehlu ko numaya kiya jayega aur mukhtalif kitabo aur hadeeso ke zariye un pe roshni dali jayegi.

Maulood e Kaaba Hazrat Ali As kull e imaan Abu Talib aur Fatima bint e Asad ke bete, Rasool e Khuda Sw ke bhai, janasheen aur damad, Fatima zehra sa ke shauhar, Imam Hasan as, Imam Hussain as , Hazrat Abbas as aur Zainab o Umm e Kulsum sa ke walid the.

Hazrat Ali As ne yaum e wiladat se le kar apni puri zindagi Rasool e Khuda sw ke sath kaar e Khudai me unki madad karte huye guzari.

Islam ki pehli manzil Dawat e Zul Ashira ho ya Umoor e Mamlekat ya fir jang ka maidan Hazrat Ali As Paighambar e Islam Hazrat Mohammad Mustafa sw ke sath har marhale par pesh pesh rahe.

Wiladat e Hazrat Ali As:-

Hazrat Ali as ki wiladat aur unki noori takhleeq, khilqat e Sarwar e Qayenat sw ke sath sath paidaish e Alam aur Adam as se bahot pehle hi ho chuki thi lekin insani shakal o surat me aapka zuhoor 13 rajab 30 Aamul Feel 600 CE me Juma ke din Khana e Kaaba me hua tha.

Aapki maa Fatima Bint e Asad aur baap Abu Talib the. Aap dono taraf se Hashmi the.

Tarikh likhne walo me aapki wiladat aur uske maqaam ko le kar kabhi koi ikhtelaf nahi hua balki sab hi bil ittefaq kehte hain ki Hazrat Ali As se pehle na koi Khana e Kaaba me paida hua hai aur na hoga.

Tarikh e islam me Imam Ali as ka waqiya e wladat yu bayan kiya gaya hai ki...

Fatima Bint e Asad ko jab dard e zeh ki takleef mehsus hui to wo Rasool e Khuda sw ke mashware ke mutabiq Khana e Kaaba ke karib gayi aur uska tawaaf karne ke baad deewar se tek laga kar khadi ho gayi aur bargaah e Khuda me dua ki,

"Ay mere Khudaya main Momina hu. Tujhe Ibrahim as baani e Kaaba aur is malood ka wasta jo is waqt mere pet me hai mri mushkil door kar de."

Abhi dua ke jumle khatm na hone paye the ki deewar e Kaaba tutna shuru hui aur fatima Bint e Asad KAaba ke andar dakhil ho gayi aur deewar e Kaba fir se pehle jaisi ho gayi.

Aur is tarah Hazrat Ali as ki wiladat Khana e Kaaba ke andar hui.  

Ali as paida to huye lekin aankh nahi kholi aur ye dekh kar maa ye samjhi ki shyad bachcha be'noor hai. Magar jab teesre din Sarwar e Qayenat tashrif laye aur Ali as ko apni aagosh me liya to unhone ankhe khol di aur jamal e Risalat sw par pehli nazar dali. Salam kar ke tilawat e Sahifa e Aasmani shuru ki. Bhai ne gale lagaya aur ye keh kar ki Ay Ali as jab tum hamare ho to main tumhara hu fauran muh me zaban de di.

Zaban e Risalat sw se Dahan e Imamat me 12 chashme jaari ho gaye aur Ali as sairaab ho gaye.

Hazrat Ali as Khana e Kaaba se 4the roz bahar laye gaye aur us darwaze par Ali as ke nam ki takhti laga di gayi jo Hashsham Ibn e Abdul Malik ka zamane tak lagi rahi.

Imam Ali as pak o pakiza aur tahir paida hue aur unhone kabhi bhi butt parasti nahi ki aur apni peshani kabhi kisi butt ke aage nahi jhukayi isi wajah se unke naam ke sath Karam Allah Wajaha kaha jata hai.

Imam ALi as ka ek mash'hoor naam HAider bhi hai jo ki unki maa ne rakha tha aur uski tasdeeq Ali as ke is jumle se hui jo unhone ne marhab ke muqable me kaha tha,

"Anal Lazi Sammatni Ummie Haidera"

(Main wo hu ke jiski maa ne uska naam Haider rakha hai).

Riwayato me hai ki jab Ali as jhule me the to ek din unki maa kahin gayi hui thi usi dauran jhule par ek sanp chadh aaya, Ali as ne hath badha kar uske muh k pakad liya aur kalle ko cheer ke fek diya. Maa ne wapasi par jab ye manzar dekha to be'saakhta keh uthi ke mera ye bachcha Haider hai.

Hazrat Ali as ki kunniyat aur alqaab be'shumar hain.  Kunniyat me Abul Hasan aur Abu Turab aur Alqaab me Ameer ul Momineen, Al Murtuza, Asad ullah, Yadullah, Nafsullah,  Haider e Karrar, Nafs e rasool sw aur Saqi e Kausar sab se zada mash'hoor hain.

Hazrat Ali As ki Parwarish:-

Imam Ali as ki parwarish Rasool e Khuda sw ne ki. Ek bar Makkah me shadeed qahat pada. Abu talib as ki aulade zada thi isliye Rasool e Khuda sw unke pas tashreef le gaye aur unhe raazi kar ke Hazrat Ali as ko mustaqil taur par apne pas le aaye. Hazrat Ali as Rasool e Khuda sw ke pas din raat rehne lage aur is dauran Rasool e Akram sw ne unhe nemat e Ilahi se behr'aawar kar liya aur har kism ki talimat se bharpoor bana diya. Yahan tak ki Ali as naam e Khuda kuwwat ebazu ban kar yaum e Besat 27 Rajab ko Kulle Imaan ki surat me ubhre aur rasool e Akram ki taa'eed kar ke Islam ka sikka bitha diya.

Hazrat Ali As ka Huliya:- 

Aapka rang gandumi, aankhe badi, seene par baal, qad miyana, daadhi badi aur dono shaane, kohniya aur pindliya pur gosht thi, kandho ki haddiya chaudi thi, gardan surahidaar aur shakal bahot hi khubsurat thi, labo par hamesha muskurahat rehti thi aur aap khizaab nahi lagate the.

Hazrat Ali As ki Shadi:-

Imam Ali as ki shadi 2 Hijri me Sarwar e Qayenat sw ki dukhtar Fatima Zahra sa se hui.

rasool e Khuda sw irshad farmate hain ki,

Har Nabi ki nasl uske sulb se hoti hai lekin meri nasl Sulb e Ali as se qarar di gayi hai.

Hazrat Ali As ke ghar me koi ghulam aur khidmatguzar nahi the lihaza ghar ke bahar ke kaam Ali as khud aur andar ke kaam Bibi Fatima Zahra sa anjaam deti thi.

Hazrat Ali As ke Jungi Kaarname:-

Ulema ka ittefaq hai ki Ilm aur Shuja'at kabhi ikattha nahi ho sakte lekin Hazrat Ali as ki zaat ne is baat ko wazeh kar diya ki Ilm aur Shuja'at dono par hi ek sath kaabu kiya ja sakta hai.

2 Hijri se le kar ahde wafat e Paighambar e Islam sw par nazar dali jaye toAli as ke jungi kaarname tarikh k awraaq par likhe hue nazar ayenge.

Jung e Ohad ho ya Jung e Badr, Jung e Khandaq ho ya Jung e Honain,  Jung e siffeen ho ya koi aur maareka Ali as kabhi bhi kisi bhi marhale par pichhe nahi hate aur unki zulfiqaar hamesha hi chamakti hui nazar aai. tarikh is baat ki gawah hai ki Ali as ke muqable me koi bhi bahadur kabhi tika hi nahi. Ali as ki Zulfiqar ne Marhab, Antar aur Haris jaise bahaduro ko fana k ghaat utar diya.

Islam par Ali as ke Ehsanaat:-

Islam par Ali as ke ehsanaat ki fehrist itni mukhtasar nahi hai ki use chand jumlo me bayan kiya ja sake lekin fir bhi chand qabil e bayaan waqye aise hain ki jin par nazar daalna bahot zaruri hai jaise ki...

1. Dawat e Zul Ashira:-

Dawat e Zul Ashira ke mauke par jahan Paighambar e Islam sw ko taqreer karne ka mauka nahi mil raha tha wahan aapne apni jurrat aur himmat ka wo muzahira kiya ki Rasool e Khuda sw kaamyab ho gaye aur Islam ke naam ka danka baja diya.

2. Shab e Hijrat:- 

Hazrat Ali as ne shab e hijrat bistar e rasool sw par so kar Islam ki kismat bedaar kar di aur apni jaan ko jokhim me daal kar lagatar 3 roz tak ghaar me khana pahochaya.

3. Jung e Badr:-

Jung e Badr me jabki Musalaman sirf 313 the aur Kuffar beshumar the aise mauke par Hazrat Ali as ne apni Shuja'at aur Himmat ke jauhar dikha kar kamyabi hsil kar li.

4. Jung e Ohad:-

Jung e Ohad me jab Musalman Sarwar e Qayenat ko maidan e jung me chhod kar bhag gaye the us dauran Hazrat Ali as ne hi Sarwar e Do Alam ki jaan bachai aur ISlam ki izzat mehfooz kar li.

5. Kuffar jinke dil me badl ki aag bhadak rahi thi, Umro bil Abd Wud jaise bahadur ko muqable me le kar aaye aur ISlam ko challenge kar diya. Piaghambar e Islam sw pareshan the aur musalmano ko bar bar ubhaar rahe the lekin koi bhi samne nahi aa raha tha muqable ko. Lekin is sakht marhale par bhi HAzrat Ali as ne aage badh kar Sarwar e Ambiya sw ki madad ki aur Rasool e Akram sw ko kehna pada ki " Aaj Ali as ki zarbat Ibadat e Saqlain se behtar hai".

6. Isi tarah Jung e Khibar me bhi fatah hasil kar ke aapne Islam par ehsaan kiya.

7.Islam par hazrat ali As ka sabse bada ehsaan ye hai ki baad e wafaat e Rasool e Khuda sw jo jo bhi bure aur dukh bhare  waqeyaat unki zauja Bibi fatima zahra sa aur un par pesh aaye uske baad bhi aapne talwaar nahi uthai warna Islam manzil e awwal par hi khatm ho gaya hota.

Duniya Hazrat Ali as ki nigah me:-

Ye bhi ek haqiqat hai ki Imam Ali as duniya aur duniya ke kaamo se had darja bezaar the. Unhone baarha duniya ko mukhatib kar ke kaha ki ayy duniya jaa kisi aur ko dhokha de, maine tujhe talaq e Bain de di hai jiske baad rujuu ka koi sawal hi paida nahi hota hai.

Ibne Talha Shafi'i likhte hain ki,

Ek din Hazrat Ali as ne Jabir ibne Abdullah Ansari ko lambi lambi sans lete dekha to puchha ki ay Jabir kya tumhari ye thandi sans duniya ke liye hai?

Jabir ne arz kiya haa Maula duniya ke liye hi hai.

To fir Hazrat Ali as ne farmaya suno Jabir insan ki zindagi ka daro'madaar 7 chiz'on par hai aur yahi wo 7 chize hain jin par duniya ki tamam lazzato ka khatma hai. Jinki tafseel ye hai,

1. Khane wali chize (Shahed Honey)

2. Peene wali chize (Pani)

3. Pehenne wali chize ( Resham silk)

4. Lazzat e nikaah wali chize

5. Sawari wali chize ( Ghoda Horse)

6. Sunghne wali chize ( Mushk )

7. Sunne wali chize (Ghina song)

To fir ay Jabir aisi chizo ke liye koi bhi aaqil bhala thandi sans kyu le?

Jabir kehte hain ki is irshad ke bad fir maine kabhi duniya ka khyal tak nahi kiya.

Kasbe Halal ki Jaddo Jehad:-

Hazrat Ali as ke nazdeek Kasbe Halal se behtareen koi sifat nahi thi jis par aap khud bhi amal karte the. aap rozi kamane ko aib nahi samajhte the aur mazdoori ko bahot hi achi nigaah se dekhte the.

Mohaddis Dehlvi ka bayan hai ki,

Hazrat Ali as ne ek dafa Kuwe se pani khinchne ki mazduri ki aur ujrat me har dol pani par ek khurme ka faisla hua. Aapne 16 dol pani nikala aur 16 khurme le kar Paighmbar e Islam ki khidmat me aaye aur un khumro ko aap dono ne mil kar nosh farmaya.

Isi tarah aapne mitti khodne aur baag me pani dene ki bhi mazduri ki thi.

Gharz ye ki aap kisi bhi kaam ko chhota nahi samajhte the aur mehnat mazduri khud bhi karte the aur logo ko bhi iska dars dete the.

Hazrat Ali as Akhlaaq ke maidan me:-

Aap bahot hi khush akhlaaq the aur hamesha hi muskurate raha karte the. Yateem nawaz the aur faqeero me baith kar khushi mehsus karte the. momin me khud ko haqeer aur dushmano me khud ko baa'rob rakhte the.

 Mehmano ki khidmat khud kiya karte the. Kaar e khair me lage rehte the aur jung me dadu kar shamil hote the. Har mustahaq ki imdad karte the aur har kaafir ke qatl par takbeer kehte the.

 Apni raato ko Ibadat e Khuda me guzar dete the, ghar ke kaamo me bhi madad kiya karte the aur ghar ka har samaan khud bazaar se laya karte the. Apne kapdo me khud pewand lagate the aur apne aur rasool e Khuda sw ke jute khud tankte the. Ghulamo ko apni mazduri ke paiso se kharid kar khud aazad kar diya karte the.

Hazrat Ali as aur Insan ki shakal badal dene ka waqiya:-

Asbagh bin Nabata ka bayan hai ki,

Ek shakhs Quraish se Hazrat Ali as ki khidmat me hazir ho kar kehne laga ki main wo hu jisne beshumaar insano ko qatl kiya hai aur bahot se atfaal ko yateem kiya hai. 

Hazrat Ali as ne jab uska ye ta'arruf suna to apko bahot gussa aya aur "Akhsaya Qalb e Kutte" mere paas se dur ho ja. 

Hazrat Ali as ke muh se ye alfaz nikalne ki der thi ki us shakhs ki shakl o surat badal gayi aur wo kutte ki shakal me ho kar dum hilane laga aur sath hi sath fariyad o fugaa karte hue lotne laga.

Ye dekh kar Imam Ali as ko rehem aya aur unhone Khuda se dua ki uske haq me aur uski shakal fir se insani shakal wali ho gayi.

Ainullah:- 

Abdullah bin Yunus ka bayan hai ki,

Main ek saal Hajj e Baitullah ke liye ghar se rawana ho kar ja raha tha to raste me meri mulaqat ek nabina habshiya aurat se hui jo apne hatho ko utha kar is tarah dua kar rhi thi,

"Ayy Allah ba'haqq e Ali ibne Abu talib mujhe chashm e beena de de".

Ye dekh kar main uske kareeb gaya aur usse puchha kya tu waqayi Ali ibne Abu talib se mohabbat karti hai?

Usne jawab diya haa beshak meri jaan un par se qurban ho jaye mai  unse behad mohabbat karti hu.

Ye sun kar maine use bahot se dirham odinaar dene chahe lekin usne lene se inkaar kar diya aur kaha nahi main ye dirham o dinar nahi chahti main sirf aur sirf chashm e beena ki talabgaar hu. 

Fir iske baad main wapas hajj ke liye rawana ho gaya aur Hajj se faraghat ke bad jab wapsi me usi maqam par aya jahan us nabina aurat se mila tha to kya dekhta hu ki uski ankho ki roshni ekdam sahi ho chuki hai aur wo har chiz ko dekh sakti hai.

Ye dekh kar maine us aurat se sawal kiya bata ye kya maajra hai?

To usne jawab diya main hasb e mamool dua me mashghool thi ke ek din ek muqaddas tareen shakhs namudar huye aur unhone mujh se sawal kiya bata kya tu sach me Ali ibne Abu talib as se sachi mohabbat karti hai? 

Maine kaha haa ye sahi baat hai.

Ye sun kar us shakhs ne kaha Ayy Khuda agar ye aurat apne daawa e mohabbat me sachchi hai to fir ise beenai ata farma de aur unki dua khatm bhi na hone payi thi ki meri beenai laut aai.

Main fauran hi unke kadmo me gir gayi aur puchha bataiye ke aap kaun hain?

To ye sun kar unhone jawab diya main wahi Ali ibne Abu Talib hu jiske waste se tu mashghool e dua thi.

Mushkil Kusha Ali as:-

Riwayat me hai ki Ali As ek din Madina ki ek gali se guzar rahe the to unki nazar apne ek momin par padi jise ek shakhs ne apni guraft me liya hua tha.

Aapne kareeb ja kar puchha batao ki aakhir kya mamla hai aur tumne is momin ko aakhir kyu pakda hai?

Jawab me us momin ne kaha Maula main is shakhs ka 1700 deenar ka karzdaar hu aur ye mujhe itni mohlat bhi nahi deta ki main jaa kar iske karz ko chukane ka kuchh intezaam kar saku.

Hazrat Ali as ne farmaya ay momin sun tu zameen ki janib rukh kar aur jo bhi ptthar wagairah haath lage use utha le. usne aisa hi kiya aur jab usne dekha to wo sab patthar sone ke the.

Hazrat Ali as ne farmaya ki iska karz ada karne ke baad jo bhi raqam bache use apne kaam me laa. 

Raawi kehta hai ki Jibrail as ke kehne se dusre din rasool e Khuda sw ne is waqiye ko ashaab ke majme me bayan kiya.

Ek mashlool ki shifayabi:-

Abdullah bin Abbas ka bayan hai ki,

Ek roz namaz e subah ke baad Hazrat Mohammad Mustafa sw Masjid e Madina me baithe huye Salman, Abuzar, Miqdad aur Huzaifa se mehwe guftagu the ki achanak se masjid ke bahar ek shor utha aur us shor ko sun kar log bahar gaye to dekha ki 40 aadmi khade hain jo Musallah hain aur unke aage ek bahot hi khubsurat naujawan khada hai.

Huzaifa ne rasool e Khuda sw ko halaat se aagah kiya.

Aapne farmaya ki un logo ko mere paas le aao. Jab wo log a gaye to Rasool sw ne kaha ki jao Ali as ko bula lao.

Huzifa gaye, Ameer ul Momineen as ne farmaya Ayy hHuzaifa mjhe pata hai k kya majra hai aur ek giroh Qaum e aad se aaya hai aur main unki hajat se bhi aagah hu. 

Iske baad aap hazir e khidmat e rasool sw huye aur aapka samna un logo se karwaya gaya.

Hazrat Ali as ne us khubsurat naujawan se kaha ki Ay Hajjaj bin Kha;za bin Abil Asaf bin Saeed bin Mamta bin Alaaq bin Wahab bin Sa'ab bata teri  kya hajat hai? 

Usne jab apna naam aur pura shajra suna to hairan reh gaya aur kehne laga huzoor mere bhai ko shikaar ka bada shauk hai. Usne ek din jungle me shikar khelte huye ek janwar ke pichhe ghoda dala aur us par teer chalaya aur iske baad hi uska aadha badal shal ho gaya. 

Bada ilaaj kiya gaya lekin koi fayeda nahi hua. Hazrat Ali as ne farmaya ki use mere samne laya jaye. Wo shakhs ek oont ke upar laya gaya. 

Hazrat Ali as ne hukm diya ay shakh uth k baith jaa. Aur is hukm ke sath hi wo shakhs tandurust ho kar uth baitha. ye majra dekhne ke sath hi wo shakhs aur uske qabile ke 70 hazar log Musalman ho gaye.


Books for reference:- 

Noor ul Absaar 

Kashaf ul Ghamma  

Noor ul Anwaar


Mataleb ul Sool

Arzahul Matalib




Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal