Hazrat Ali Quotes
بسم الله الرحمن الرحيم
Hazrat Ali as Quotes
Hazrat Ali as ki zindagi aur wajood beshak is duniya e faani ke liye nemat o barkat o rehmat thi jisse us daur se le kar aaj ke daur tak ke insano ko bahot kuchh sikhne ko mila hai aur Insha Allah milta rahega.
Ye nayi post Hazrat Ali as ke 50 Aqwaal e Zarreen ka maj'mua hai. Ummid hai ki aapko ye aqwaal (Quotes) pasand ayenge aur ap in se apni malumaat me izafa kar sakenge.
1. Fitna aur fasad me us tarah raho jis tarah oont(camel) ka bachcha jisne abhi apni umr ke do saal khatm kiye hain ki naa to uski peeth pe sawari ki ja sakti hai na to uske thano se dudh nikala ja sakta hai. Hazrat Ali as
2.Jisne lalach ko apni adat banaya usne apne ko halka kiya, Jisne pareshan haali ka izhaar kiya wo zillat par aamada ho gaya aur jisne apni zaban ko qabu me na rakha usne khud apni be'waqti ka samaan kar liya. Hazrat Ali as
3. Jo shakhs apne aapko bahot pasand karta hai wo dusro ko na'pasnd ho jata hai.
Hazrat Ali as
4. Jise karibi chhod de use begane mil jayenge. Hazrat Ali as
5. zaban ki hifazat daulat se zada mushkil hai. Hazrat Ali as
6. Gareeb logo par ehsan karo kyuki gareeb hone me waqt nahi lagta. Hazrat Ali as
7. Agar ibadat nahi kar sakte to gunah bhi mat karo. Hazrat Ali as
8. Jahan apni baat ki qadar na ho wahan chup rehna hi behtar hai. Hazrat Ali as
9. Insaf karo kyuki yaad rakho hazrat saleh As ki Oontni ke qatil sirf 4 log the lekin gharq puri qaum ho gayi kyuki baqiyo ka jurm khamosh rehna tha. Hazrat Ali as
10. Ek ghadi ki zillat tamam umr ki izzat ko barbad kar deti hai. Hazrat Ali as
11. Jab bhi kisi ke sath neki karo to aise bhool jaya karo jaise gunaah karte waqt Allah ko bhool jate ho. Hazrat Ali as
12. Rizq sakhawat me poshida hai lekin log ise mehnat me talash karte hain. Hazrat Ali as
13. Bahot se insan aise hain jinhe unki zaban ne maut ke ghat utara hai. Hazrat Ali as
14. Jo zulm ke zariye izzat chahta hai Allah use insaf ke zarye zaleel karta hai. Hazrat Ali as
15. Jo zara si baat pe dost na rahe samajh lena wo kabhi dost tha hi nahi. Hazrat Ali as
16.Gheebat karna kamzor aadmi ki aakhri koshish hoti hai. Hazrat Ali as
17. Namaz ki firk apne upar farz kar lo Khuda ki kasam har fikr se aazad ho jaoge aur kamyabi tumhare kadam chumegi. Hazrat Ali as
18. Koi tum se bhalayi ki ummid rakhta hai to use kabhi mayoos nahi karo kyuki logo ki tum se ummide wabasta hona Allah ki tum par inayat hai. Hazrat Ali as
19. Khaliq se mangna sunnat hai ,
Agar de to rehmat na de to hikmat.
Makhlooq se mangna zillat hai,
Agar de to ehsaan na de to sharmindagi Hazrat Ali as
20. Jo tumhari khamoshi se tumhari takleef ka andaza na kar le uske samne zaban se izhar karna sirf apne lafzo ko zaya karna hai. Hazrat Ali as
21. Hamesha sach bolo taki kabhi kasam khane ki zarurat na pade. Hazrat Ali as
22. Jab tum bina kisi wajah ke khushi mehsus karo to yaqeen kar lo ki koi n koi kahin na kahin tumhare liye dua kar raha hai. Hazrat Ali as
23. Do aamal aise hain jinka sawab kabhi taula nahi ja sakta,
1. Maaf Karna
2. Insaaf karna Hazrat Ali as
24. Sirf paise ka hona rizq nahi hai, nek aulad, achcha akhlaaq aur mukhlis dost ka milna bhi rizq hai. Hazrat Ali as
25. Kameeno ki daulat tamam makhlooq ke liye musibat hai. Hazrat Ali as
26. Jis insan ki zaban kharab ho jati hai uska naseeb bhi kharab ho jata hai. Hazrat Ali as
27. Jab bhi farigh waqt mil kare to apni maa ke pas ja kar baith jaya karo kyuki maa ke sath guzara hua waqt qayamat ke din najaat ka bayes banega. Hazrat Ali as
28. Logo ke akhlaaq ke mutabik unse mel jol rakho aur aamal me unse al'ahda raho.
Hazrat Ali as
29. Allah us shakhs ko apna dushman manta hai jo be'haya ho aur bar bar gunaho ko anjaam deta ho. Hazrat Ali as
30. Khuda ko jab apne kisi bande ki islaah karni hoti hai to use kam bolne, kam khane aur kam sone par aamada kar deta hai. Hazrat Ali as
31. Dosti ka bharam sirf wo log rakh sakte hain jinke wajood me samandar jitna bada dil ho.
Hazrat Ali as
32. Hamesha samjhauta karna sikho kyuki thoda sa jhuk jana kisi bhi rishte ko hamesha ke liye tod dene se behtar hai. Hazrat Ali as
33. Jo dukh de use chhod do lekin jise chhod do use dukh kabhi mat do. Hazrat Ali as
34. Tang'dasti me sakhawat karna, gusse me sach bolna aur taqat hote huye bhi maaf kar dena behtareen neki hai. Hazrat Ali as
35. Jo jadd o jehad karta hai wo yaqeenan kamyab ho jata hai. Hazrat Ali as
36. Jahil ki baat ko bardasht karna aqal ka sadqa hai. Hazrat Ali as
37. Agar tum apne ilm par maghroor ho jao to jahalat ke liye yahi kafi hai. Hazrat Ali as
38. Sabse bada gunah wo hai jo gunah karne wale ki nazar me chhota ho. Hazrat Ali as
39. Wuzu jawano ki tarah karo, namaz buddho ki tarah padho aur dua bachcho ki tarah mango. Hazrat Ali as
40.Insaniyat bahot bada khazana hai use libaas me nahi insan me talash karo. Hazrat Ali as
41. Aurat ke liye sharm se badh kar koi zewar nahi aur chadar se badh kar koi nemat nahi.
Hazrat Ali as
42. Jhooth bol kar jeetne se behtar hai ki tum sach bol kar haar jao. Hazrat Ali as
43. Shak ko apne upar ghalib mat aane do warna tumhe duniya me koi hamdard nahi mil sakega. Hazrat Ali as
44. Ghar me gussa karna goya use veeran karna hai. Hazrat Ali as
45. Apne din ka aaghaz sadqa dene se kiya karo. Hazrat Ali as
46. Nek banne ke liye aise koshish karo jaise haseen banne ke liye karte ho. Hazrat Ali as
47. Naa'mukammal ilm fasaad paida karta hai. Hazrat Ali as
48. Insan ko beemar kar dene wali cheezo me se ek cheez dosto ko judayi hai. Hazrat Ali as
49. Ghurbat insan ko apne hi shaher me ajnabi bana deti hai. Hazrat Ali as
50. 3 muke par 3 rishte be'naqab ho jate hain. .
1. Budhape me aulad
2.Musibat me dost
3. Ghurbat me biwi Hazrat Ali as

Comments
Post a Comment