Islamic real stories in Urdu || Hazrat Ali ke Faisle

Ek bachcha do maa



Do aurate darbar me aati hain aur Umar ibn Khattab se kehti hain ke hamare darmiyan faisla karo. Khalifa e waqt ne poochha masla kya hai?


Ek ne kaha ye bachcha mera hai aur dusri ne kaha nahi ye bachcha mera hai. Umar ne poochha ke tum logo ke pas kya daleel hai ki ye bachcha tumhara hai? Jawab mila ki kisi ke pas koi daleel nahi hai.


Ab sare darbari pareshan ho gaye ke faisla kaise kiya jaye? Khud khalifa bhi pareshan hai k kya faisla kiya jaye? Isliye ke daawa hai par daleel nahi hai.


Bil'aakhir Hazrat Ali as ki taraf rukh kiya gaya ayy Abul Hasan aap hi is masle ko hal farmaiye.


Ajab masla hai do aurate hain aur ek bachcha hai, daawa dono kar rahi hain daleel kisi ke pas bhi nahi hai. 


Hazrat Ali as ne sara masla suna aur sab se pehle aapne nasihat wa talqeeb ki k maan jao, jiska bachcha asal me hai use de do. Magar dono nahi maani. Aakhirkar Hazrat Ali as ne kaha agar tum dono mahi manogi to main wahi faisla karunga jo haq hai. 


Aapne Qambar se talwar mangwai aur kaha ke is bachche ke do hisse kar ke ek ek dono aurato ko de do. 


Jab baat yahan tak aa gayi to ek aurat khamosh rahi jabki dusri fauran bol padi main apna daawa wapas leti hu mujhe bachcha nahi chahiye aap bachcha dusri aurat ko de dijiye. 


Ameerul Momineen ne kaha bachcha isi aurat ko de diya jaye. Isliye ke ye bachcha isi aurat ka hai. 


Daleel ye hai ki jo haqiqi maa hai wo ye chahegi ke bachcha zinda rahe chahe kisi ke pas rahe.


Ye ek aisa nafsiyati faisla tha jo tarikh e Adam wa Alam me pehli bar kiya gaya. Hazrat Ali as jante the ke jo asal maa hogi wo kabhi nahi chahegi k mera bachcha maar diya jaye. 


Ye faisla sun kar Umar bahot khush hue aur kaha beshak agar Ali as na hote to Umar halaak ho jata. 

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal