Islamic true stories in Urdu || mard e momin || Hazrat Ali as ke faisle

 Nijat e Mard e Momin


Safiya ek jawan aur khubsurat ladki thi. Wo ek shakhs se mohabbat karne lagi aur chahti thi ke ye shakhs us se fayl e haram ka murtakab(mujrim) ho, magar wo ek paak seerat aur ba'taqwa insan tha. 


us ladki ne bahot koshishe ki k wo shakhs 

uski giraft me aa jaye, magar wo kisi taraha bhi is baat par tayyar na hua ke wo fayl e haram anjam de. Ek din us ladki ne usse badla lene ki thaan li aur darbar e khilafat me warid hui.


Darbar me aane se pehle usne ande ki safedi apne kapde par daal li aur darbar e khilafat me shikayat ki. Is ansari ne mere sath zabardasti karne ki koshish ki hai aur iski daleel mere kapde ke dagh hain. Umar ne jab ye sara masla suna aur daawa o daleel ko samajh liya to saza ka hukm de diya.


Us mard ne kaha beshak mere pas koi daleel nahi hai lekin main begunah hu aur maine aisa koi jurm nahi anjam diya hai. Ye chahti thi magar mere inkar ki wajah se isne mujh par ye ilzam lagaya hai.


Umar ko jab ye pata chala to wo pareshan ho gaya k ek ke pas daleel hai, dusre ke pas daleel nahi aur wo apne paak daman hone par qasam bhi kha raha hai. Hazrat Ali as wahin par tashreef farma the. Umar ne lajwab ho kar pukara...


Ya Abul Hasan is mamle me aapki kya raaye hai?


Hazrat Ali as ne us aurat se poochha ke kya tu apne daawe me sachchi hai?


Usne kaha haa main sachchi hu.


Hazrat Ali as ne pani garam karne ka hukm diya. Jab pani garam ho gaya to Hazrat Ali as ne hukm diya ke isko le jao aur iske kapde par jahan jahan najasat ke aasaar hain usko garam pani me daal do.


Aisa hi kiya gaya aur ande ki safedi ubhar kar samne aai aur is tarah Hazrat Ali as ke is faisle se wo muttaqi shakhs saza se bach gaya.



Books for refrence:-


Khasais ul Aimah


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal