Namrood kaun tha

Namrood Kaun Tha?

Namrood Babil (Babylon) ka badshah tha. Wo duniya ka azeem tareen badshah tha. Usne Khuda'ii ka daawa kiya aur sari duniya par ye sabit karne ki koshish ki wahi KHuda hai aur uske siwa dusra koi 'Mabood ' nahi hai

Mu'arrikhin (historians) ke mutabiq aaj tak duniya par sirf 4 logo ne hi hukumat ki hai jin me se 2 Musalman aur 2 Kafir the.

Musalman me ,

1. Hazrat Zulqarnain as

2. Hazrat Sulaiman as

Kafir me,

1. Namrood

2. Bakht Nasar



Namrood ki Shahi aur uski Shaan o Shaukat

Namrood roo e zameen par hukumat kar raha tha aur bawajood iske ke wo kafir tha aur apne baap aur dada ki tarah 'but parasti' karta tha lekin apni ri'aaya ke sath insaaf karta tha aur unki khush'haali ke liye apni taraf se koshish karta rehta tha. 

Shaitan jo shuru se hi insano ka dushman hai usne namrood ke dil o dimag me fitna dalna shuru kiya aur use behkane laga ki jiski itni azeem saltanat ho use is baat ka haq hai ke log uska sajda kare aur uske aage apni peshani jhukaye.

Aur shaitan ki koshish kamyab hui aur Namrood uske behkawe me aa gaya aur usne apni shakal ke 'Butt' banwa kar har taraf faila diye aur hukm diya ki inhi ki parastish(pooja) ki jaye aur meri 'Khuda'ii' ko tasleem kiya jaye. Aur is tarah use Khuda maan liya gaya aur uske 'Butt' ki parastish (pooja) ki jane lagi.


Namrood ne Khuda'ii ka daawa karne ke sath sath hi apne liye ek markaz banwaya tha aur use is qadar sajaya sanwara tha ki duniya uski shan o shaukat dekh ke hairan thi.

Riwayat ke hawale se bayan kiya jata hai ki Namrood ke takh ki hudood me "hashrat ul arz" (insects) dakhil nahi ho sakte the aur koi bhi janwar uske qareeb nahi ja sakta tha. Makkhi aur Machchhar ka wahan koi guzar tak nahi tha.

Riwayat me ye bhi bayan kiya jata hai ki Namrood ne ek bahot bada 'Hauz' (pool) tayyar karwaya tha aur sal me ek baar uske gird bahot bada jashn hota tha aur Namrood ka hukm tha ki us jashn me shamil hona wala jis maqaam se bhi aaye apne humraah kuchh na kuchh 'mashroobat' (drinks) zarur le ke aaye
aur jab sab 'mashroobat' jama ho jati thi to wo saqi'yon  ko hukm deta tha ki in sabko hauz me daal me dal do. Fir jab jashn khatm ho jata tha to wo saqi'yon se kehta tha ke jo jis qism ka mashroob laya hai use wahi mashbroob hauz me se nikal kar diya jaye.

Riwayat me ye bhi bayan kiya jata hai ki usne itna bada hauz bana rakha tha ki uske pani se ilaqe ka ilaqa gharq ho jaya karta tha. Yani wo hauz aisa tha ki us ka har ilaqe se ta'alluq tha. Jab Namrood kisi ilaqe aur us tabqe ke logo se naraz hota tha to us ilaqe ke hauz ka nal(tap) khol deta tha aur wo ilaqa paani me doob jaya karta tha.

Mu'arrikhin likhte hain ki Namrood ne 1700 saal hukumat ki thi. 

Riwayat me bayan kiya gaya hai ki Namrood ne apne darwaze par ek tilismi Battakh banwa kar rakhi thi. Jab koi ajnabi uske shaher me pahochta tha to battakh shor machati thi aur tamam log uski awaz sunte the aur muhafizeen daud padte the. Fir us ajnabi se sawal jawab hota tha ki tum kaun ho? Kahan se aye ho? Kyu aye ho wagairah wagairah...


















Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal