Quran quiz questions and answers

 بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

As salam alaikum dosto...

 Jaisa ki aap sab dekh rahe hain ab har saal hi alag alag idare aur yahan tak ki bahot se youtube channels tak ramzan ke ba'barkat mahine me quiz rakhte hain. Aur us quiz me Quran aur Ahl e Bait se related bahot se sawal jawab puchhte hain. Jin me se kuchh ke jawab to sabko hi pata hote aur kuchh hamare liye ekdm naye hote hain aur samajh nahi aata ke aakhir in sawalo ka jawab kya hoga? 


Aur agar quiz ya competition hai to usme kisi se puchhna bhi sahi nahi lagta kyuki bhale hi koi nahi dekh rha lekin kahin aur se dekh aur puchh ke jawab dena aur jeetna pata nahi kyu sahi nahi lagta.




 Aur is saal maine bhi isi tarah ke ek quiz me part liya tha aur jab sawal samne aaye mere to samajh aya ke bahot se sawalo k jawab to ab tak Google par bhi nahi hain aur isi chiz ne mujhe motivate kiya ke nahi ab kam se kam jin sawalo ke jawab mujhe pata chal gaye hain wo mera farz hai k main apne bhai behno tak pahocha du.


Is post me aapko Surah Baqrah se related aur Quran se related bahot se sawal jawab milenge jo aapke aur aapki family aur friends ke liye naye ho sakte hain aur ho sakta hai aapke kabhi kaam aa jaen.


Chaliye to fir sawal jawab ka silsila shuru karte hain...


Q.1 Surah e Hamd kiske barabar hai?

Ans. Poora Quran


Q.2 Wo kaun se giroh hain jinki pairawi karni chahiye?

Ans. Ambiya, Siddiqeen, Shohda, Saleheen


Q.3  Surah e baqrah ki shuru ki ayato ke mutabiq kaun si nishani sahebaan e taqwa ki nahi hai?

Ans. Be'namazi


4.Jab janab e Musa As ne bada chashma jari kar diya to Allah ne kya hukm diya? [ Surah Baqrah ayat no 60]

Ans. Allah ki di hui rozi se khao piyo aur zameen pe fasaad na phailao.


5. Iblees ke sajde se inkar karne ki wajah kya thi?[Surah Baqrah ayat no 34]

Ans. Ghuroor


6.Ladkon par chhuri pherna aur aurton ko khidmat ke liye zinda rakhna kiski sifaat hai? [Surah Baqrah ayat 49]

Ans. Fir'aun ki


7.Wo kaun log hain jinko parwardigar ke yahan na koi khauf hai na koi huzn?[Surah Baqrah ayat 112]

Ans. Achche kaam karne wale


8. Jab zalemeen se puchha jata hai ke tum zameen par fasaad kyu karte ho to wo kehte hain ki? [ Surah Baqrah ayat11]

Ans. Hum islaah kar rahe hain


9. Yahoodi(jews) aur nasara(christians) tum se kab tak raazi nahi honge?[Surah Baqrah ayat 120]

Ans. Jab tak tum unke mazhab ki parawi na kar lo


10.Aye mere farzando us waqt tak duniya se na jana jab tak musalman na ho jana. Ye kiski wasiyat thi?[Surah Baqrah ayat132]

Ans. Hazrat Ibrahem aur Hazrat Yaqoob as ki


 11.Jiske paas gawahi maujood ho aur wo use chhupaye to use kya kehte hain?[Surah Baqrah ayat 140]

Ans. Zalim


12. Aur wo kehte hain ki ginti ke chand dino ke siwa jahannam ki aag hame chhuwegi bhi nahi, Ye kiska aqeeda hai? [Surah Baqrah ayat 80]

Ans. Yahoodi


13. Shadi ke liye sabse behtareen aurat kaun hai?

Ans.Saheb e imaan


14. Musibat ke waqt sahiban e imaan kis chiz ke zariye Khuda se madad mangte hain? [Surah Baqrah ayat153]

Ans. Sabr aur namaz ke zariye


15. Surah Baqrah ayat 217 me allah ne qatl o khoon se bhi bada gunah kis chiz ko bataya hai?

Ans. Fitna Pardai ko


16. Surah Baqrah ki ayat 183 ke mutabiq roza rakhne ka maqsad Allah ne kya bayan farmaya hai?

Ans.Gunaho se bachna


17. Surah Baqrah ki ayat no 186 ke mutabiq Ay rasool S.w jab mera banda tum se mere bare me puchhe to keh do...?

Ans. Main unke paas hi hu, Main har dua karne walo ki dua sun leta hu, Mera kaha mane aur mujh pe imaan rakhe.


18. Surah Baqrah Ayat no 177 ke mutabiq kaun sa amal neki ka hissa nahi hai?

Ans. Apni biwi ka khyaal rakhna.


19. Jo log ye kehte hain ki ' Ay mere parwardigar humko jo dena hai, duniya me hi de de' unka aakhirat me kya hoga?

Ans. Aakhirat me unka koi hissa nahi hoga.


20. Surah BAqrah ki Ayat no 204 aur 205 ke mutabiq munafiq ki kya kya sifat bayan ki gayi hai?

Ans. Mulk me fasaad failate hain,

 zara'at aur maweshi(kheti aur janwaro) ko barbad karte hain, 

Sabse zada jhagdale hote hain.


21. Surah Baqrah Ayat no 222 ke mutabiq Allah tauba karne walo ke ssth kya karta hai?

Ans. Unhe pasand karta hai.


22. Surah Baqrah ayat no 247 ke mutabiq Allah ne Taloot ko badshah kyu banaya?

Ans. Kyu ki wo ilm aur jism me ba'fazilat the.


23.Surah Baqrah Ayat no 213 ke mutabiq Allah ne Paighambar'on ko khushkhabri dene wale aur azab se darane wale bana kar kyu bheja?

Ans. Taki kitaab e Khuda(QuranMajeed) se unka faisla karen.


24.Surah Baqrah Ayat no 234 ke mutabiq Shauhar ke marne ke baad, Aurat kitne din iddat rakhegi?

Ans. 4 Mahina 10 din.


25. Surah Baqrah Ayat no 154 ke mutabiq Jo log Khuda ki raah me mar gaye unka martaba kya hai?

Ans. Unko hatgiz murda na samjho aur wo zinda hain.


26.Kaaba se kisne tableegh ka aagahaz kiya tha aur kaun karega?

Ans. Kaabe se tableegh ka aaghaz Hazrat Mohammad sw ne kiya tha aur Imam Mehdi as karenge.


27.Rishwat lene wale aur dene wale ke liye kya hukm bayan kiya gaya hai?

Ans. Rishwat lena aur dena haram hai aur lene aur dene dono hi wale par Allah ki lanat hai.


28. Surah Maida Ayat no 112 ke mutabiq Hawari'yon ne Janab e Isa as se kya farmaish ki thi?

Ans. Khwaan e Nemat naazil hone ki farmaish ki thi.


29.Surah An'aam Ayat no. 20 ke mutabiq  Yahood aur Nasara, Paighambar ko Kis tarah pehchante the?

Ans.   Wo Paighambar sw ko apni aulad ki tarah pehchante the.


30. Surah An'aam Ayat no. 32 me Parwardigar e Alam ne duniyawi zindagi ki misaal kis chiz se di hai?

Ans. Khel tamashe se di hai.


31. Surah An'aam Ayat no. 34 ke mutabiq Jab log Rasool'on sw ko jhuthlate the to Rasool sw kya radd e amal(reaction) dikhlate the?

Ans. Wo sabr karte the.


32. Surah An'aam Ayat no. 54 ke mutabiq Allah ne paighambar ko kin logo ko Salamun Alaikum kehne ka hukm diya hai?

Ans. Jo Khuda ki ayat'on par imaan laye.


33. Surah An'aam ki Ayat no. 54 ke mutabiq agar koi nadani se koi gnah kar le to prwardigar kis shart par uske gunah'on ko bakhsh dega?

Ans. Tauba kare aur apni halat ki islah kare.


34. Surah An'aam ki Ayat no. 97 ke mutabiq Allah ne Sitar'on ko kyun paida kiya?

Ans. Taki jangalo aur daryaon ki tareeki me rasta maloom kar sako.


35. Surah An'aam ki Ayat no. 108 ke mutabiq Khuda ne Mushrekeen jiski ibadat karte hain unko bura kehne se kyu mana kiya hai?

Ans. Warna wo bhi bina samjhe Khuda ko adawat me bura bhala kehne lagenge.


36. Surah An'aam ki Ayat no. 93 ke mutabiq Zalim'on ke liye maut  ke waqt ki sakhtiya  kyun hain?

Ans. Kyu ki wo Khuda par jhuth jodte the aur uski Ayat'on ko sun kar akadte the.


37. Jo Khuda ki banayi hui paak chiz'on ko apne upar haram kar lete hain o log kya hain?

Ans. Wo log hadd se badhne wale logo me se hain.


38. Surah Maida Ayat no 83 ke mutabiq Jab Isai(Christian) QUran majeed ko sunte hain to unka kya radd e amal hota hai?

Ans. Wo be'sakhta rone lagte hain.


39. Surah Maida Ayat no. 91 ke mutabiq Shaitaan kis chiz ke zariye momineen ke darmiyan dushmani dalta hai?

Ans. Sharab aur juwe ke zariye.


40. Surah Maida Ayat no 89 ke mutabiq Qasam ki mukhalefat ka kaffar kya hai?

Ans. 10 miskeeno ko khana khilaya jaye

1 gulam azad kiya jaye

3 roze rakh jaye.


41. Agar koi ye kasam khaye ki wo apne bhai behno se rabta khatm kar lega tod dega to aisi kasam ke liye kya hukm hai?

Ans. Aisi kasam baatil hai.


42. Yeh hadees kis Imam se hai? " Agar log hamare kalaam ki khubsurti ko pehchante to zarur uski pairawi karte."

Ans. Ye hadees Imam Ali raza As se hai.


43.Khuda kis jurm ko hargiz maaf nahi kar sakta?

Ans. Shirk


44.Agar koi apne aapsi jhagdo me Rasool sw ko apna hakim banaye aur unke faisle par khushi khushi raazi ho to aisa shakhs kya hoga?

Ans. Sachcha momin


45.Surah Nisa Ayat no 58 me Allah ne kya do hukm diye hain?

Ans. Amanat'en lauta do aur insaf se faisla karo.


46.Jannat me insaan, Ambiya, siddiqeen, shohda aur saleheen jaise maqbool bandon  ke sath kaise ho sakta hai?

Ans. Jo Khuda aur Rasool sw ki ita'at karen


47. Khuda ki raah me jaan o maal se jehaad karne wale ko Allah ne kin par fazilat di hai?

Ans. Ghar baithne wale momineen par.


48. Surah Nisa ki Ayat no 28 ke mutabiq insan ko kaisa paida kiya gaya hai?

Ans. Kamzor


49.Quran ke Khuda ke janib se aane ki daleel kya hai?

Ans. Ikhtelaaf na hona.


50. Surah e Nisa Ayat no 34 ke mutabiq nek aurat'en kaun hain?

Ans. Shauhar'on ki ita'at karne wali aur unki ghair maujudgi me un chizo ki hifazat karne wali ho jinki hifazat ka Allah ne hukm diya hai.


51. Allah ne kiske saath ehsaan ka hukm diya hai?

Ans. Maa baap ke sath.


52. Surah Nisa Ayat 38 ke mutabiq kuchh log, logo ko dikhane ke liye apna maal kyu kharch karte hain?

Ans. Kyu ki wo mash'hoor hona chahte hain.


53. Surah Nisa Ayat no 135 me Allah ne imaan walo ko kya hukm diya hai?

Ans. Mazbooti se insaaf par qayam raho aur Khuda lagti(sachchi) gawahi do.


54. Surah Nisa Ayat no 120 ke mutabiq Shaitan kis tarah logo ko gumrah karta hai?

Ans. Achche waade aur badi ummid'en dila kar.


55. Surah Maida ki pehli ayat me kya paigham hai?

Ans. Apne iqraar(waado) ko pura karo.


56. Allah ne gawahi dene ki shart kya qarar di hai?

Ans. Insaaf ke sath gawahi do.


57. Allah ne Yahudiyo par lanat aur unke dil ko sakht kyu kiya?

Ans. Ahad shikni(Waado ko todne) ki wajah se.


58. Isai'yon(Christians) ki apas me dushmani ki wajah kya hai?

Ans.Allah ki nasihat'on ka ek bada hissa(Rasool e Khuda sw) ko bhula baithne ki wajah se.


59. Zameen me fasad karne walo ki saza kya hai?

Ans. Aise logo ke liye bahot sakht azaab hain, jaise ki sooli par chaadha diye jayen aur qatl kar diye jayen.


60. Mukhtalif shariyat'on ke aane ke maqsad kya hai?

Ans. Taaki insaan ko aazmaya ja sake aur unka imtihaan liya ja sake.


61. Khullam khulla kiski burai ki ja sakti hai?

Ans. Mazloom, zalim ki burai kar sakta hai.


62. Asal me kafir kaun hain?

Ans. Wo log jo Khuda aur Rasool sw ke darmiyan tafarqa dalna chahte hain

Wo log jo baaz Paighambar par imaan late hain aur baaz se inkaar karte hain,

Jo Khuda aur Rasool sw ka inkar karte hain.


63. Momineen ke wali, waris aur sar'parast kaun hain?

Ans. Allah , Rasool sw aur wo Momineen jo halat e ruku me zakaat dete hain.


64.Allah ne Bahisht(Jannat) ko kin logo par haraam kiya hai?

Ans. Mushrik.


65.Ahl e imaan ke sab se shadeed dushman kaun log hain aur unke sabse qareeb kaun log hain?

Ans. Yahoodi aur Mushrik sabse bade dushman hain aur Isai(Christians) qareeb hain.


66. Allah ne insano ke darjaat ko kis cheez ke mutabiq qarar diya hai?

Ans. Jisne jaisa kiya ho.


67. Quran ki nigah me kun sa libaas sabse behtar hai?

Ans. Parhezgari ka libas


68. Allah ne Sura e Aa'raaf ki Ayat no 31 me kya kaha hai?

Ans. Khao piyo lekin fuzool kharchi na karo.


69. Shaitaan ke rafeeq aur dost kaun log hain?

Ans. Wo log jo imaan nahi rakhte.


70. Surah e An'aam ki Ayat no 135 ke mutabiq Khuda ki nigah me kaun log kamyaab nahi honge?

Ans.Zalim log


71. Allah ne muflisi ke khauf se kis amal ko anjaam dene se mana kiya hai?

Ans. Apni aulaad ko qatl karne se


72.Surah Aa'raaf ki Ayat 56 ke mutabiq Allah ki rehmat kin logo ke qareeb hai?

Ans. Jo log neki karne wale hain.


73. Allah ne kis cheez ko imaan walo ke liye rehmat aur hidayat banaya hai?

Ans.Quran ko


74. Allah ne kin logo ke liye apni Aayaat ko tafseel se bayan kiya hai?

Ans. Ibrat haasil karne walo ke liye.


75. Qayamat ke din Jinnat aur Insaan pne khilaaf khud gawahi deneg kyuki....?

Ans. Unko duniya ki zindagi ne dhokhe me daal rakha tha.


76. Surah Aa'raaf Ayat 44-45 ke mutabiq Ahl e jahannam duniya me kya karte the?

Ans. Logo ko Khuda ki raah se rokte the aur roz e aakhirat se inkar karte the.


77. Allah ne har basti me uske qasoor waron ko sardar kyu banaya?

Ans. Taki unme makkari kiya kare.


78. Khuda ki janib se bheje huye Rasool ka kaam kya hai?

Ans. Allah ke paighamaat ko logo tak pahochate hain

Logo ki khair khwahi karte hain

Khuda ki taraf se wo baate jante hain jo dusre nahi jante


79. Wo kaun si cheez hai jiski wajah se maal me barkat nahi hoti?

Ans. Israaf.


80. Misr ke sakht halaat dekhte huye Hazrat Musa as ne qaum ko kya naseehat ki?

Ans. Sabr karne ki.


81. Sabr karne ki surat me Hazrat Musa as ne apni qaum ko kya basharat di?

Ans. Allah tumhare dushman ko halaaq karega aur tumhe zameen par jaa'nasheen banayega.


82. Surah Aa'raaf ke mutabiq agar Quran Majeed ki tilawat ho rahi ho to kya karna chahiye?

Ans. Chup chaap reh kar kaan laga kar sunna chahiye.


83. Allah ko kis andaaz me yaad karna chahiye?

Ans. Gidgida kar, dar-dar kar aur dheemi awaz me.


84. Allah ke nazdeek tamam janwaro se badtar kaun log hain?

Ans. Jo kuchh nahi samajhte.


85.Allah aur Rssool sw jis chiz ki taraf dawat dete hain uski khususiyat kya hai?

Ans. Usme zindagi hoti hai.


86.Surah Anfaal ayat 28 ke mutabiq Allah ne kis cheez ko aazmaish ka zariya qarar diya hai?

Ans. Maal aur aulaad ko.


87. Kaafir azaab ki dua karte the lekin fir bhi allah ne azaab naazil kyu nahi kiya?

Ans. Hazrat Mohammad Mustafa Sw ke maujood hone ki wajah se.


88. Taqwe ka fayeda kya hai?

Ans.Allah haq aur batil ke darmiyan farq karne ki salahiyat paida kar deta hai, Allah gunaho ko maaf kar deta hai aur taqwe ko gunaho ka kaffara qarar deta hai.


89. Jaadugar'on ke imaan lane ke baad Fir'aun ne unse kya kaha?

Ans.Tum meri ijazat ke bina Musa as par imaan laye

Tum zameen par makkari faila rahe ho

 Haath pair kaat denge aur sooli pe latka denge.


90.Khuda ne Surah e Aa'raaf me kis qaum ki missal kutte se di hai?

Ans. Jo apni nafsaani khwahish ka tabedaar hai.


91. Jang e Badr me agar Musalman Dushman'on ko zyada dekh lete to kya ho jata?

Ans. Himmat haar kar wo apas me jhagadne lagte.


92. Surah Anfaal ki ayat 45-46 ke mutabiq Dushman par falah o kamyabi ke liye kya zaruri hai?

Ans. Kadam jamaye rakhna aur Khuda ko bahot yaad karna aur Khuda aur rasool ki ita'at karna aur sabr karna.


93. Kaun log ghalib rehte hain?

Ans. Jo Khuda par bharosa karte hain.


94. Allah ne Musalmano ko dushman'on ke muqable me jahan tak ho sake samaan mohayya karne ko kyu kaha hai?

Ans. Taki dushman par apni dhaak bitha lo.


95. Kab 20 Musalman 200 Dushmna par ghalib aa skate hain?

Ans. Agar wo sabit kadam rahe to.


96. Sachche imaandar kaun hain?

Ans. Jo imaan laye aur hijrat kare, jo Khuda ki raah me lade aur jo mohajir'on ko jagah de aur unki khabar giri kare.


97. Surah Tauba ki ayat 16 ke mutabiq Khuda kis tarah ke logo ko mumtz karta hai?

Ans. Jo sirf Khuda, Rasool sw aur momineen ko raazdar dost banate hain.


98. Kaun masjid'on ko aabad nahi karte?

Ans. Mushrekeen


99. Kis jung me Allah ne farishto ke zariye Musalmano ki madad ki?

Ans. Jung e Badr aur Jung e Honain me


100. Ahl e Imaan ko jab kaha jata hai ki jehaad ke liye niklo to wo kyu zameen ki taraf jhuk jate hain?

Ans. Kyuki aakhirat ke muqable unhe duniya se zyada mohabbat hai.


Is nayi post ke zariye main ummid karti hu ke aapke kaam aa saku aur apki malumaat me izafe ka sabab banu. 

Is post me maujood sabhi sawal jawab ke sath Surah  ka naam aur ayat ka number maujud hai. 





Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal