Waqya Hazrat Ali as ka || Khushk Jungle me ek chashmah
Khushk jungle me ek chashmah
Hazrat Ali as ka lashkar muawiya se jung karne siffeenn ki taraf jaa raha tha k ek aise jungle me pahocha jahan aab wa gyaah bhi maujud na the. Majburan lashkar ko is jungle me qayaam karna pada. Malik e Ashtar jo is lashkar sardar the qarib aye aur arz kiya ki ay Aaqa ye waadi khushk hai aur pani nahi hai. Dar raha hu ki lashkar wale oont aur ghode pyas se mar jayenge.
Hazrat Ali as ne farmaya ki achi tarah se charo taraf talash karo. Lashkar wale pani me talash me kayi kilometer tak gaye lekin koi chiz mayassar na hui. Fir na'ummid aur mayoos ho kar Imam as ke pas aye to is dafa Hazrat Ali as khud pani ki talash me nikle. Chand kadam aage badhe ek jaagh pahoche aur thaher gaye aur farmaya,
Yahan khodo, lashkar walo ne fawde aur kudaal se zameen khodna shuru kar di. Rait balu ko hataya aur mitti ko bahar nikala yahan tak ki ek bahot bada sa siyah patthar dikhai diya. 100 taqatwar logo ne koshish ki patthar hatane ki lekin hata na sake. Fir sab Hazrat Ali as ke pas gaye aur waqiya bayan kiya.
Hazrat Ali as khud wahan tashrif le gaye aur apna ek hath patthar ke niche rakha aur ek hi harkat se use utha diya aur kinare dal diya. Ek chashmah thande aur khushgwar pani ka zameen se josh marne laga. Hazrat Ali as ne farmaya ki jitna pina chahte ho pi lo aur apni apni mashko ko pani se bhar lo.
Jab sab log sairab ho gaye to Hazrat Ali as ne dobara patthar ko uthaya aur uski jagah par rakh diya aur fir lashkar walo ne khaak aur rait us siyah patthar par dal kar use chhupa diya.
Lashkar chala chand kilometer dur tak gaya tha ki Hazrat Ali as ne farmaya tum logo me se kaun hai jo chashmah ki jagah janta hai? Sab logo ne kaha ki hum jante hain ki chashmah kis jagah par hai.
Hazrat Ali as ne farmaya ke aao chale aur tum mujhe us chashmah ka nishan batao. Lashkar palta lekin logo ne jitna bhi talash kiya chashmah naa pa sake.
Is jungle me ek Isai Rahib rehta tha jab usne mojize ko dur se dekha to khud lashkar ke pas gaya aur kaha k aap logo me se kisne patthar ko uthaya tha?
Logo ne kaha ki hamare Maula Hazrat Ali as me is kaam ko anjam diya tha.
Rahib ne puchha ye kaun Aaqa hain?
Lashkar walo ne kaha wo wasi aur janasheen e Rasool e Khuda sw hain.
Ye jumle sunte hi Rahib Hazrat Ali as ke pas aya aur unke pairo par gir pada aur arz kiya ki Aaqa ye sauma mera nahi hai balki kayi 100 saal pehle ek Rahib ne suna tha ki yahan par ek chashmah hai jise koi kashf nahi kar sakta siwae Wasi e Mohammad sw ke. Wo Rahib chala aur yahan tak aaya aur is daer ko banaya aur Wali e Khuda ke intezar me baitha hua tha. Lekin use ye sa'adat nasib nahi hui thi aur us Rahib ke bad bhi bahot se Rahib aye lekin apki ziyarat karne me kamyab na hue.
Main bhi chand sal pehle yahan aya aur raat din dekhta tha ki koi buzurgwar aye aur is mojize ko anjam de. Aur ab main apni murad paa chuka hu aur musalaman hone ke unwan se aapki bayyat karta hu.
Fir Rahib ne Hazrat Ali as se khwahish ki k mujhe bhi apne sath le chale. Hazrat Ali as ne farmaya ke hum maidan e jung ki taraf jaa rahe hain. Rahib ne arz kiya ki main bhi aarzu rakhta hu k apni jaan ko dost ki raah me fida kar du. Bil'akhir wo bhi Jung e Siffeen me lashkar ke sath shareek hua aur uss shahdat naseeb hui aur khud Hazrat Ali as ne use kafan o dafan diya
Book for refrence:-
Maulai Dastane

Comments
Post a Comment