Namrood ki Beti
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Mu'arrikhin ka bayan hai ki 'aatish e namrood' ke gulzaar banne ke waqiya aur us waqy ke aur bahot e waqiyaat dekh kar Hazrat Loot as aur Bibi Sara ne Iaan zaahir kiya aur Ra'aza inte Namrood imaan layi.
Hazrat Loot as Hazrat Ibrahim as ke chacha'zaad bhai aur Bibi Sara unki Chacha'zaad behen thi.
Ra'aza binte Namrood ke Imaan lane ke mut'allik Alama Abdul Wahid bin Mohammad al Mufti ba'hawala e Meraaj al Nabuwat likhte hain ki,
Ra'aza binte Namrood bahot hi hoshiyar ladki thi. Usne jab Hazrat Ibrahim as ke aag me daale jane ko dekha to bade israar se apne walif ko is baat par raazi kiya ki use us minaare par jane ki ijazat di jaye jis par sab log baith kar Hazrat Ibrahim as ko dekh rahe hain.
Namrood ne ijazat de di aur wo us minare par ja pahochi aur wahan pahoch kar usne haalat dekhe. Use ye dekh kar bada ta'ajjub hua ki aag gulzaar ban gayi aur Baloor ka takht unke liye laya gaya hai.
Usne be'saakhta aawaz di 'Aye Ibrahim as main ye kya dekh rahi hu?'
'Aye Ibrahim as ye haalat kyu kar paida huye?'
Khuda ne uski aawaz Ibrahim as tak pahocha di aur unhone jawab diya'
"Aye Sara Jiske Dil me Allah Ki Marefat Ho USe Koi Bhi Aag Nahi Jala Sakti"
Usne kaha kya ,mujhe ijazat hai ki main aag me aap tak aa jaun?
Hazrat Ibrahim as ne farmaya,
"Tu Agar Kalma Padh Le To Hamare Paas aa Sakti Hai"
Usne Kalma padha aur chupke se utar kar Hazrat Ibrahim as ke paas ja pahochi. Jab wo aag ke pas gayi to aag ke kisi bhi hisse ne use takleef na pahochai aur wo Hazrat Ibrahim as tak ba'aasani ja pahochi aur wahan ja kar usne apne imaan ki tajdeed ki aur wapas apne baap Namrood ke ghar laut aayi.
Namrood ko jab apni beti ke imaan lane ka waqiya maloom hua to wo bahot naraaz hua aur usne bahot tariqo se dara dhamka kar apni beti ko wapas use hi Khuda manne pe majboor kiya. Lekin uski beti ne kisi bhi dhamki ki koi parwaah nahi ki aur apne imaan par rahi.
Aakhir kar Namrood ne apni beti ko Jallado ke hawale kar diya. jallado ne use dhoop me latka kar uske hath pairo me kheel thok di.
Idhar Jallado ne use saza di udhar Allah ne Jibreel as ko hukm diya ki'
" Aye Jibreel meri is kaneez ko sahi salamat aur tandurust kar Ibrahim as tak pahoch do"
Ye waqiya Hazrat Ibrahim as ke aag se nikalne ke baad ka hai.
Hazrat Jibreel As ne Ra'aza binte Namrood ko Hazrat Ibrahim as ki khidmat me pahocha diya aur wo unke sath hi rehne lagi. Bil'akhir Ibrahim as ne Namrood ki beti ki shadi apne ek bete se kar di aur Allah ne apni us kaneez ko itni izzat bakshi ke uske silsila e reham(pet) se bahot se "Ambiya" ko paida kiya.
Books for refrence:-

Comments
Post a Comment