Surah Dahr benefits in Hindi
Surah Dahr ki Fazilat in Hindi
Janab e Rasool e Khuda sw se manqool hai ki,
jo shakhs is surah ka pani dum kar ke piyega
to wo apne marz se shifa payega
Aur jo shakhs bhi is
Surah ki tilawat karega use jaza ke taur pe jannat hasil hogi
Aur jo koi is Surah
dahr ki ba’kasrat tilawat karega to uska zaeef nafs qawi hoga.
Hazrat Imam Jafar e Sadiq as se marwi hai ki ,
Surah dahr ki tilawat
nafs ko qawi karta hai.
Agar padhne se aajiz
ho to likhwa le aur dho kar us pani ko piye
Aur jo shakhs Surah Dahr
ko ladayi me padhe to uska dushman zerr hoga
Hazrat Imam Ali Naqi As ne farmaya ki,
Jo shakhs roz e
do’shamba (Monday) ke shar se mehfooz rehna chahe wo subah ki namaz ki pehli
rak’aat me Surah Dahr ko padhe

Comments
Post a Comment