Islamic Question Answer in Hindi

 

 بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ 

As salam alaikum dosto...

 Jaisa ki aap sab dekh rahe hain ab har saal hi alag alag idare aur yahan tak ki bahot se youtube channels tak ramzan ke ba'barkat mahine me quiz rakhte hain. Aur us quiz me Quran aur Ahl e Bait se related bahot se sawal jawab puchhte hain. Jin me se kuchh ke jawab to sabko hi pata hote aur kuchh hamare liye ekdm naye hote hain aur samajh nahi aata ke aakhir in sawalo ka jawab kya hoga? 


Aur agar quiz ya competition hai to usme kisi se puchhna bhi sahi nahi lagta kyuki bhale hi koi nahi dekh rha lekin kahin aur se dekh aur puchh ke jawab dena aur jeetna pata nahi kyu sahi nahi lagta.

To bas isi baat ko zehen me rakhte hue maine socha kyu na jo sawalaat humse quiz me kiye gaye hain aur jinke jawabaat mil chuke hain kyu na unhe aap sabke sath bhi share kiya jaye taki aainda aane wale waqt me ho sakta hai agar kisi ko in sawalaat me se kisi ka jawaab dhundna ho to google pe asani se mil jaye....


To fir isi ke saath sawal jawab ka ye silsila shuru karte hain....



A - Hifazate Rasool me Hazrate Ali a.s ko 16 zakhm kis jung me Lage the❓

1 - Junge Badr me

2 - Junge Ohad me ✅

3 - Junge Khandak me


B - Makkah se Madina Hijrat karne ke baad Nabi s a.w.w ne kis sane Hijri me Hajj Baja laye❓

1 - 5 Hijri me

2 - 10 Hijri me ✅

3 - 11 Hijri me


C - Nabi s.a.w.w ki kis Zauja ka laqab "Ummul Masakeen" tha❓

1 - Janabe Khadija s.a

2 - Janabe Umme Salmah s.a

3 - Janabe Zainab binte Khuzaima ✅


D - Janabe Fatema Zahra s.a ke kull kitne bhai the❓

1 - 2

2 - 3 ✅ ( Janabe Qasim, Abdullah aur Ibraheem a.s)

3 - eik bhi nahi


E - Imam Zain ul Abdeen a.s ki wiladat kis sane Hijri me hui thi❓

1 - 26 Hijri

2 - 36 Hijri

3 - 38 Hijri ✅


F - Imam Sajjad a.s ki waledah janabe Shahar Bano s.a ka inteqal kab huwa❓

1 - Imam ki wiladat ke kuch din ke baad ✅(10 DIN KE ANDAR)

2 - Imam ki wiladat ke 2 saal baad

3 - Imam ki wiladat ke 5 saal baad


G - Imam Sajjad a.s ki jub wiladat hui to uss waqt kiski Hokumat ka daur chal raha tha❓

1 - Umar ibne Khattab ki

2 - Usman ibne Affan ki

3 - Hazrate Maula Ali a.s ki ✅


H - Imam Sajjad a.s ki Qabre Mubarak kaha hai❓

▪️ JAWAB : Jannat ul Baqi Madina me


I - Janabe Fatema Zahra s.a ki shahadat kis sane Hijri me hui❓

1 - 10 Hijri 

2 - 11 Hijri ✅

3 - 12 Hijri


J - Janabe Fatema Zahra s.a ne jub Musalmano ke janaze takht par le jane ka shikwa kiya to kis Bibi ne unhe Taboot ki shabeeh bana kar dikhai jo janabe Sayyadah s.a ko bahot pasand aayi❓

1 - Janabe Umme Aiman ne

2 - Janabe Salma zaujaye Abu Rafe

3 - Janabe Asma binte Umais ne ✅


K - Janabe Fizza s.a ko Rasoolallah s.a.w.w ne Janabe Fatema Zahra s.a ko kis sane Hijri me ata ki❓

1 - 2 Hijri

2 - 5 Hijri

3 - 7 Hijri ✅


L - Ayae Mubahela kis sane Hijri me nazil hui❓

1 - 7 Hijri

2 - 8 Hijri

3 - 9 Hijri✅


M - Janabe Fatema Zahra s.a ki shahadat kis Shahar me hui❓

▪️ JAWAB : Madina me


N - Janabe Fatema Zahra s.a ki shahadat ke waqt Imam Hasan a.s ki umre Mubarak kitni thi❓

▪️ JAWAB : 6 Saal kuch Mahina


O - Janabe Fatema Zahra s.a ne Hazrate Ali a.s se Qabr par khas kis surah ki Tilawat ke liye Guzarish ki thi❓

▪️ JAWAB : Shahzadi Hazrate Ali a.s se Qur'an padhne ki wasiyat ki thi lekin khas kar Surah Yaseen ki..


P - Hazrate Fatema Zahra s.a ke upar jalta huwa darwaza Rasoolallah s.a.w.w ki shahadat ke kitne din ke baad giraya gaya❓

▪️ JAWAB : 3 din (28 safar san 11 Hijri ko Rasoolallah s.a.w.w ki shahadat hui aur 1 Rabilawwal san 11 Hijri ko Darwaza giraya gaya, jiski wajah se Janabe Mohsin a.s Shaheed ho gaye😭)


Q - Mozaf Pani se Wazu ya Ghusl karna kaisa hai❓

1 - Bahot zyada sawab hai

2 - Batil hai✅ Masla no.55

3 - Makrooh hai


R - Machli aur Machchar ka khoon kaisa hai❓

1 - Najis

2 - Pak✅ Masla no.108


S - Agar Halal janwar ko sharai taur par Zibah kiya jaye aur baad me gosht katte ya kahi le jaye waqt wo khoon kapde par lag Jaye to kya hukm hai❓

1 - paak hai ✅ Masla no.109

2 - Najis hai


T - Haram tariqa se mujnib (halate Janabat) hone wale shakhs ka pasina kaisa hai❓

1 - Najis hai

2 - paak hai ✅ Masla no.131


U - Baitulkhala me jate aur waha se nikalte waqt hamara kaun sa pair pahle hona chahiye❓

1 - Dakhil hote waqt dahina(right) pair aur bahar nikalte waqt baya (left)

2 - Dakhil hote waqt Baya pair aur bahar nikalte waqt dahina par ✅


V - Baitulkhala me rafaehajat ke waqt Baat karna kaisa hai❓

1 - Haram

2 - Makrooh ✅


W - Baitulkhala me rafaehajat ke waqt kuch khana pina kaisa hai❓

1 - Haram hai

2 - Makrooh hai ✅


X - Baitulkhala me rafaehajat ke waqt qibla Rukh baitha haram hai lekin aur koi qibla ki taraf pusht karke baithe to❓

1 - Haram hai ✅

2 - Makrooh hai


Y - Ghusle Janabat ya Ghusle Haiz se pahle ya baad me wazu karna zaruri hai❓

1 - Ha

2 - Nahi ✅


Z - Kya Ghusl khade ho kar aur kapde pahan kar Kiya ja sakta hai❓

1 - Ha ✅(Kapda pahan ka Ghusl karte waqt khayal rahe ki Pani badan ke harr hisse Tak pahoche)

2 - Nahi


Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal