Posts

Showing posts from January, 2021

Hazrat Saleh A.s

Image
 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Saleh A.s Hazrat Saleh ka Shajrah:- Hazrat saleh a.s Hazrat Hood a.s k baad aaye the. Aur aap Hazrat Nooha.s ki 9wi pusht me se hain. Aapka shajrah yu hai:- Saleh bin obaid bin Aasif bin Naasikh bin Obaid bin Jaaraz bin Samood bin Aameer bin Saam bin Nooh. Qaum e Samood:- Hazrat Saleh a.s aur unki qaum Samood ki aulad se thi is wajah se unko qaum e Samood kehte hain. Ye log bhi Qaum e Aad ki tarah bahot maaldaar the. Daur e Nabuwat:- Hazrat Saleh a.s  ko jab Qaum e Samood ki hidayat k waste Nabi bana kar bheja gaya to apki umr 16 baras thi. Aur unhe hidayat karte karte samjhate samjhate aap 120 baras k ho gaye, lekin na unhe apki baat smajhni thi na unhone samjhi. Qaum e Samood pahaad k ek tukde ki pooja karte the aur har saaal us par qurbani dete the. Hazrat Saleh a.s ki oontni:-  Jab aap ne in logo ko ye sab karne se mana kiya to ye aapse kehne lage k hum ap par imaan le aaenge agar aap isi pahaad se ek haamila oontni nikal k...

Hazrat Hood A.s

Image
  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Hood A.s Aap Hazrat Nooh ki 8wi pusht me se the. Aap saam ki aulaad me se the.  Aapka shajrah yun hai:- Hood bin Abdullah bin Riyah bin Halus bin Aad bin Aws bin Saam bin Nooh. Apka daur e nabuwat:- Aapki nabuwat ki peshangoyi Hazrat Nooh A.s kar k gaye the.  Aap qaum e Aad ki hidayat k waste Paighambar bana kar bheje gaye the. Qaum e Aad ka us waqt bahot charcha tha. Us waqt sari duniya me unke barabar koi aur qaum na thi. Ye log bahot baland qad jaseem aur taweelul umr hote the. Aur ek but ki pooja me mashgool rehte the.  Hazrat Hood A.s ne inhe har tarah se hidayat ki lekin inhone unki ek na suni aur apni manmaniya karte rahe. Qaum e Aad pe Azab:- Aur jab qaum e Aad ki shararat aur nafarmaniya had se badh gayi to pehle in par paani band hua aur 3 baras tak pani ka ek qatra bhi nahi barsa.  Jab is par bhi ye log baaz nahi aye to Khuda ne ek siyaah baadal bheja jo in par chha gaya. Aur is qaum ne samjha k ab isme se...

Hazrat Nooh A.S

Image
 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Nooh A.S Hazrat Nooh as ka naam Abdul Ghaffar ya abdul malek ya Abdul Aala tha. Unhone 500 baras tak khauf e Khuda se giriya kiya tha is wajah se unhe Nooh kaha gaya yani ki 'Nauha karne wala'. aap pehli shari'at laye the aur aapka shumaar "ulul-Azm Ambiya me se hai.  Aapko  "Aadam e Saani" aur "Shaikhul Ambiya" bhi kehte hain Aap Hazrat Adam as ki wafaat k 126 baras k bad paida hue aur aap k qabl 10 paighambar wa awsiya guzre. Aapki zindagi 2500 baras ki thi. 850 baras qabl e nabuwat aur 950 baras baad e nabuwat taleem wa hidayat me aapne guzare. 200 baras kashti ki tayyari aur toofan, 500 baras toofan k bad shaher'on ko aabad karne aur logo ko basane me khatm hue.  Itni toolani umr hote hue bhi aapne apne liye makaan nahi banaya aur zindagi ek jhopdi me basar kar di jo ki itni chhoti thi k aapka ek pair bahar rehta tha. Aapne apni qaum ko 950 baras tak hidayat ki aur unke hatho aise masayab uthaye k...

Fazeelat e Ilm

  Fazeelat e Ilm Ilm hi ek aisi chiz hai jiske zariye Allah ka banda neki ki balandi tak pahonch kar aakhirat k ghar ko aabad kar sakta hai. Janab e Rasool e Khuda sw ne farmaya hai k Allah ki khushnoodi k liye jo ilm hasil karta hai wo neki ka kaam hai. Jo ilm ki guftgu karta hai wo Allah ki tareef karta hai, jo ilm ko dhundta hai wo Allah ko chahta hai, jo ilm ki taleem deta hai wo jaise k sakhawat karta hai aur jo sahi makaam par ilm ki sakhawat karta hai wo jaise ki Allah ki taraf mohabbat pesh karta hai. Ilm insan ko haraam aur halaal k darmiyan k fark ko samajhne ki salahiyat ata karta hai aur wo raah dikhata hai jo jannat tak le k jati hai. Ilm bayabaan me ek dost jaisa hai aur akelepan me mehfil jaisa hai. Dosto ki ghair hazri me sathi jaisa hai. Wo hame khushi deta hai aur musibat k waqt me himmat afzai karta hai. Talabul ilme fareezatun ala kulle muslemeen wa muslemah (Prophet Mohammad S.W) Ilm ka hasil karna har muslim mard aur aurat par farz kiya gaya hai.