Hazrat Adam as | Hawwa sw | Zindagi ka naya daur | Silsila e nasl

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


 Hazrat Adam | Hawwa sw | Zindagi ka naya daur | Wajah e Tasmia | Alqab | Kunniyat | Qad o Qamat | Silsila e Nasl

Muarrikhin ka bayan hai ki Hazrat Adam aur Hawwa sari zameen ki milkiyat hasil karne ke baad nihayat aaram se zindagi basar karne lage. Khud zara'at karte the aur Hazrat Hawwa unke kapde bunti thi tamam janwar matii the. Har chiz par tasarruf hasil tha, sukoon aur itminan tha. Is tarah unki zindagi ka naya daur shuru hua.

..

Hazrat Adam aur Hawwa ke asmaa aur wajah e tasmia:-

Hazrat Adam as ka naam Adam hi tha. Ye naam Khuda ne khud rakha tha au isi naam par wiladat e Hawwa ke baad jo Adam as ki hi tarah jawan paida ki gayi thi, Nikah bhi hua tha.

Hawwa ka naam bhi Hawwa hi tha. Ye naam Khuda ne rakha tha. Quran Majeed me in dono ka zikr inhi naamo se kiya gaya hai. 

Lekin adam ko Adam aur Hawwa ko Hawwa kyu kaha gaya?

Iske mut'alliq arz hai ki Adam chunki Adeem e Arz yani roo e zameen ki khaak se banaye gaye the isliye unka naam Adam rakha gaya.

Aur Hawwa chunki Hayy (zinda) ki bachi hui mitti se paida ki gayi thi isliye unhe Hawwa kaha gaya.

Yahi wajah hai ki hadees me aaya hai ki mardo ki tawajjoh ka markaz zameen hai aur aurato ki tawajjoh ka markaz mard hota hai. yani ki mard ka tamam ta'alluk zameen se hai aur aurat ka har ta'alluk mard se hai.

Malik e Ashtar

Mard zameen ko chahta hai, use istemal karta hai, use jot'ta hai us par beej bota hai, us par imarat banata hai aur use khareed aur farokht karta hai.

Aur aurat mard ko chahti hai, uski aagosh me zindagi ko khushgawar zindagi samajhti hai aur usse puri mohabbat rakhti hai.

Hazrat Adam as ke alqab:-

Kaseer muarrikhin ne tahreer kiya hai ki Hazrat Adam as ka laqab Khalifatullah aur safwatulllah tha.

Hazrat Adam as ki kunniyat:-

Aapki kunniyat Abul Bashar aur Abu Mohammad thi.

Ek riwayat me hai ki ye kunniyat Hazrat adam as ke siwa aur kisi ko naseeb nahi hui.

Ek riwayat me hai ki Adam as ko jannat me bhi isi kunniyat Abu Mohammad se puakara jata tha. {Meraj al Nabuwat}

Qad o Qamat:-

Hazrat Adam as ka qad ba'riwayat Allama Majlisi 60 hath yanki ki 30 gazz aur hawwa ka qad 35 hath yanki ki 17.5 gazz tha. { Hayat al Qulub}


Hazrat Adam ke yahan wiladat e farzand:-

Hazrat Adam as aur Hawwa ka nikah jannat me hi ho chuka tha lekin qurbat ki naubat nahi aai thi. Tauba qubul hone ke baad jab Adam as aur Hawwa sw maqam e Arfat par mile aur unka qayaam ek khayme me hua to wo ek dusre ke qarib aaye. 

Ek riwayat me hai ki jab ye dono Hajj waghairah se faraghat ke baad Sarandeep wapas aaye tab ye silsila shuru hua tha. Algharaz Janab e Hawwa ka iske baad hamal zahir hua aur unke batan se ek farzand paida hua. Jiska naam Qabeel rakha gaya. 

Ek riwayat me hai ki shajar e mamnu se Adam as ne jo gandum khaya tha usi ke ajza se iska nutfa qarar paya tha. Qabeel ke thode dino ke baad Adam as ke yahan ek aur farzand paida hua jiska naam Habeel rakha gaya.

Nasik al Tawarikh me hai ki Hazrat Adam as ke yahan ek ladki bhi paida hui thi jiska naam Anaq tha aur uski shadi ek jinn se hui thi.

Habeel me qudrat ne kuchh aisi salahiyat'en di thi jo Qabeel me nahi thi. 

Habeel nek, layeq, fayeq aur waledain ke behad farmabardar the. Wo had darja muttaqi aur parhezgar aur ibadatguzar the

Jabki Qabeel in sab chizo se bahot door tha. Na akhlaq samajhta tha na neki ko ahmiyat deta tha aur naa hi ita'at e waledain ko zaruri samajhta tha.

Habeel aur Qabeel ki shadi:-

Jab Habeel aur Qabeel bade ho gaye to unke waledain ko dono ki shadi ki fikr hui. Hazrat Adam as ne bargah e Ahdiyat me is bare me dua ki. Khuda Wande alam ne insan ki surat me ek Jinniya ko Qabeel ke liye bhej diya jiska naam ba'riwayat e Imam Salbi 'Amalah' tha. Hazrat Adam as ne Qabeel ki shadi uske sath kar di aur wo dono miya biwi ayyam e hayat guzar rahe the ki Khuda Wande Alam ne ek hoor ko insan ki surat me Habeel ke liye bhej diya jiska naam "Nazlah" tha. Aur fir Hazrat Adam as ne Habeel ki shadi uske sath kar di.

Qabeel ne apni biwi ke Jinniya hone aur Habeel ki biwi ke Hooriya hone ko mehsoos to kiya lekin ise zada ahmiyat nahi di. 

Isi dauran hazrat Adam as ne Habeel ki salahiyat'on ki roshni me hukm e Khuda se Habeel ko apna ja'nasheen baane ka izhar kar diya. Qabeel ko jaise hi is bat ka ilm hua wo bhadak hua aur gusse ki halat me Adam as ke paas aa kar bola pehle to aapne ye na'insafi ki k mujhe ek Jinniya di aur Habeel ko Hooriya. Aur ab isse bhi bada zulm ye karne ja rahe hain ki mere bade hone ke baad bhi aap Habeel ko Khalifa bana rahe hain. Aapke is faisle ko main kisi haal me tasleem nahi karunga.

Iske baad wo fir bola k acha ye bataiye k ye faisla aapne apni taraf se kiya hai ya fir ye hukm e Khuda hai?

Adam as ne kaha meri taraf se is chiz ka koi sawal hi paida nahi hota. Khilafat ka faisla Khuda ke hath me hai wo jise chahta hai ataa karta hai. Mera is mamle me kooi dhakal nahi hai.

Qabeel ne kaha ye sab kehne ki baate hain. Main to inme se ek bhi baat nahi manunga. Mujhe maloom hai ki aap khud mujh par mere chhote bhai ko tarjih de rahe hain. Aap habeel ko zada chahte hain aur meri taraf aapki tawajjoh khud kam hai aur aapne jo kuchh kiya hai khud kiya hai.

Adam as ne farmaya ke agar tumko ghalatfehmi hai aur tum mere kehne par yaqeen nahi rakhte to fir dono bhai Khuda ki bargah me Qurbani pesh karo. Jiski Qurbani qubul ho jayegi wahi afzal qarar diya jayega.

Qabeel ne Qurbani pesh karne ki baat maan li aur ek din dono ne pahad par apni qurbani rakh di. Qabeel Zara'at karta tha usne raddi qism ke gandum laa kar pahad par rakhe. Habeel ne dumbe paale hue the. Unhone behtareen qism ka dumba la kar pahad par rakha.

Us zamane me Qurabni qubul hone hone ka tariqa ye tha ki aasman se ek aag ka shola aata tha aur jiski Qurbani qubul karni hoti thi use jala kar khaak kar deta tha. Aur jisko qubul nahi karna hota tha wo chiz waisi ki waisi hi padi rehti thi.

Qurbani ko pahad par rakhne ke baad aag ka shola aaya aur usne Habeel ke dumbe ko kha liya. Tabri me hai ki ye Qurbani qubul hone ka tariqa ahad e Bani Israil tak baqi tha.

Comments

Popular posts from this blog

Aadmiyo ki qisme

Adam as | Bibi Hawwa | Shaitan ka tarz e amal