Qatl e Habeel | Duniya ki pehli mayyat | Zameen ke khoon na choosne ki wajah | Habeel ibne habeel | Wiladat e Shees
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Qatl e Habeel ka waqiya:- Qurbani qubul ho jane ke baad Hazrat Adam as mutmayeen ho gaye aur unhe laga ki Qabeel ko ab pura itminan ho gaya hoga lihaza wo Hajj ke liye rawana ho gaye. Arais al Salbi me hai ki Hazrat Adam as jab hajj ko jane age to unhone ne aasman se kaha ke mere bete Habeel ki amanat ke taur par hifazat karna lekin aasman ne inkar kar diya. Fir zameen se kaha aur usne bhi inkar kar diya. Fir pahado se kaha usne bhi inkar kar diya. Fir Qabeel se kaha aur usne apne maqsad ke tahat iqrar kar liya. Hazrat Adm as ke chale jane ke baad shaitan Qabeel ke pas aya aur kehne laga k ye to bahot bura hua k Habeel ki Qurbani qubul ho gayi aur tumhari nahi. Ab to ye hoga ki jab tumhri aulad paida hogi to Habeel ki aulad tumhari aulad ka mazak udayegi aur kahegi ki hum Habeel ki nasl se hain jiski Qurbani qubul hui thi aur jo Adam as ke Khlifa the aur tum log uski nasl se ho jo har tarah se mehroom raha tha. Qabeel ne kaha ye hai to bilkul ...