Posts

Showing posts from February, 2021

Toofan e Nooh As

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Qaum ko aagah karna:- Hazrat Nooh As ne jab darakht e khurma ki kaasht ki thi to logo se kaha tha k toofan ayega aur sari duniya gharq ho jayegi. To logo ne mazak udate huye kaha k is shakhs ka dimag kharab ho gaya hai aur ye behki behki baate karta hai. Fir jab darakht tayyar hue aur arse tak takhte khushk hote rahe. Uske bad kashti tayyar hone lagi to logo ko mazak udane ka aur mauka mil gaya wo kehne lage k dekho ye kya ho raha hai pani ka nam o nishan tak nahi hai aur itni badi kashti tayyar ho rahi hai. Hazrat Nooh As un se kehte the, mazak na karo aur imaan le aao warna apni sarkashi ka maza khud chakhoge. Toofan ayega aur sab k sab doob jaoge. Magar koi aap ki baat pe dhyan na deta tha aur apki bat ko bakwas se zada nahi samjha jata tha. Bil'akhir wo waqt aa hi gaya jiska zikr Hazrat e Nooh As kiya karte the. Tandoor se pani ka ubalna:- Hazrat Nooh As ki biwi maqam e Masjid e Kufa par us tandoor me roti paka rahi thi jo bibi Hawwa ka tha ...

Hazrat Nooh As ki Kashti

Image
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ye zahir hai k Nooh As ko us qaum se shikayat thi jo us waqt maujud thi lekin un logo se filhal shikayat na thi jo paida na huye the. Is liye unhone darkhwast ki k ab se aurto ko aqeem(baanjh) kar diya jaye taaki aane wali musibato me bachche mubtila na ho. Lihaza Khuda Wande Alam ne aurto ko aqeem kar diya aur unke yahan bachche paida hone band ho gaye. Kashti ki Tayyari ka Hukm:- Iske baad Khaliq e Alam ne Nooh As ko hukm diya k tum khurme k darakht lagao. Ek riwayat me hai k Khuda Wande Alam ne janab e Jibrail as k hatho kuchh darakht lagwaye the. Hazrat Nooh As ne darakht laga diye. Yahan tak k 40 saal guzarne ke baad darakht tayyar ho gaye.  Ek riwayat me hai k Khuda ne kayi baar darakht lagane aur tayyar karne ka hukm diya. Is tarah wo azaab ko talta raha aur darakht ki tayyari k dauran Nooh As tableegh par zor dete rahe aur unhe toofan ke aane se aagah karte rahe aur unhe samjhate rahe k dekho imaan le aao warna gharq ho jaoge. Magar kisi...

Hazrat Nooh As Gardab e Masayeb me

Image
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat e Nooh As Gardab e Masayeb me :- Murrikhin ka kehna hai k Hazrat Nooh As 'Besat' k bad se har waqt tableegh me masroof rehte the aur is maqsad k liye na din dekhte the na raat. Unhe jab kisi jagah majmaa nazar aata tha wo waha chale jate the aur aisa bhi karte the k raat me darwaza khatkhata kar kehte the k "tum log is amr ka iqrar karo k Allah k siwa koi maa'bood nahi hai". Hazrat Nooh As ki tableegh k radd e amal me log unhe deewana kehte the aur unhe pattharo se mar mar kar zakhmi kar dete the. Aisa bhi aksar hua k unhe dande se mar mar k apne khyal me halaak kar k taat me lapet kar unke ghar me daal aate the. Par Ba hukm e Khuda se wo fir se sehatamand ho jate the aur fir se logo ko tableegh karne me mashghool ho jate the. Aksar aisa bhi hota tha k baap apne beto ko humrah le ja kar Nooh As ko dikhlate the aur wasiyat'en karte the k ye deewana hai, bakwas kiya karta hai, iski baat na tum kabhi manna aur na apni a...

Kis Nabi k bete ne islam qubul nahi kiya?

  Kis Nabi ke bete ne Islam qubul nahi kiya?  Hazrat Nooh As k bete ne islam qubul nahi kiya.

kufey mai muslim.bin aqeel k kitny bety shaheed hue they

 Kufe me Muslim Bin Aqeel k do bete shaheed hue the.

Hazrat Shaiya aur Haiqooq As

Hazrat Shaiya aur Haiqooq As بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Shaiya bhi "Bani Israil" k nabi me se ek the. Inka zamana ba'riwayat e "Rauzat us Safa" Hazrat Suleman As k bad tha. Daur e Nabuwat:- Wo jis zamane me mab'oos hue us zamane me "Bani Israil" me ek numaya qism ka badshah tha. Wo un par hukumat karta tha aur aise halat the k badshah aur riaya dono hi Khuda Wande Alam k tabedar aur farmabardar the. Sarkashi nahi karte the aur ibadat-guzari ko apne shewa samajh kar use har kaam me awwaliyat dete the. Shaitan ka un par koi qaabu nahi chalta tha. Lekin kuchh arse bad Shaitan un par ghalib aa gaya aur ye log bid'aton me masroof o mashgool ho gaye aur bad'failo me is had tak aage badh gaye k Khuda Wande Alam ko tawajjoh deni padi. Usne apni nabi Hazrat Shaiya As ko tableegh karne ki hidayat ki. Hazrat Shaiya As ne unhe samjhane ki kafi tadbeer ki, tabligh ki magar unhone ek na suni aur apne kaamo me mashgool rahe. Bil'aakhi...

Hazrat Shees As

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Shees As   Shees k maa'ni hote hain "Atiya e Khuda". Hazrat Adam As ko qatl e Habeel As k ek arse bad Allah ne ek farzand ata kiya jiska naam Hazrat Adam As ne ba'riwayat e Allama Majlisi 7 din k baad "Shees" rakha. Shees As k bade hone k baad Hazrat Adam As ne unki shadi ek hooriya se ki jise Khuda ne Shees As k liye jannat se bheja tha. Apni umr k aakhri hisse me Hazrat Adam As ne ba hukm e Khuda Hazrat Shees As ko apna wasi aur janasheen bana kar tamam jinn o ins par unhe haakim bana diya aur zameen ki milkiyat aur hukumat unke supurd kar di. Hazrat Adam As ki wafat k waqt unki nasl 40 hazar ki tadaad tak pahoch chuki thi. Un 40 hazar me Hazrat Shees As hi sab se layak, aalim, fazil, ibadat guzaar aur muttaqi the. "Ek riwayat me hai ki Hazrat Adam As ne apne inteqal k chand yaum qabl apni tamam aulad ko jama kar k unhe hidayat ki aur khususi taur par ye kaha k maine ba'hukm e Khuda "Shees" ko ...

Hazrat Hanzala Bin Safwan As

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Hanzala Bin Safwan As Hazrat Hanzala as Khuda k bheje hue nabi the aur unme wo tamam sifaat maujud thi jo kisi bhi nabi me hona lazmi hoti hai.  Wo bahot hi nek seerat, khush akhlaq, mehman nawaz, aur narm tabiyat k the. Khuda wande aalam ne unhe Azerbaijan me bheja tha.  Ashaab e Rass:- Wahan ek nahar thi jise "Rass" kehte the. Yahan k log ek "Sanobar" k darakht ki parstish karte the. Inke mard mardo se aur aurat'en aurat'on se ta'alluqat qayam karti thi. Inki aurat'en mard'on se aur mard aurat'on se beniyaz rehte the.  Inka tarika tha k ye apni maa, beti, behno ko apne padosiyo aur dosto ko istemal k liye de dete the. Ek riwayat me ye bhi hai k ye log bakrah ladkiyo ko poojte the. Jab ek ladki 30 saal ki ho jati thi to use maar ka dusri ko uski jagah rakh liya jata tha. Ashaab e Rass k mut'allik Ameer ul Momineen As ka bayaan:- Hazrat Imam Ali Raza As tehreer farmate hain k "Qabila e Bani...